Tere gumnam ager naam
kmanay lag jayen
Sharf o shewa tasleem thikanay lag jayen
Sharf o shewa tasleem thikanay lag jayen
Jis trah noor se
payda hain jahane ishiya
Ik nazar dal ker hum bhi nazar anay lag jayen
Ik nazar dal ker hum bhi nazar anay lag jayen
Ye bhi mumkin hai koi
roknay wala he na ho
Ye bhi mumkin hai yaha muj ko zamanay lag jayen
Ye bhi mumkin hai yaha muj ko zamanay lag jayen
Dekh ay husney frawan
ye bhi mumkin hai
Mera del tak na lagay tere khazanay lag jayen
Mera del tak na lagay tere khazanay lag jayen
Jin k honay se hai
mashrot hamara hona
Apnay honay ka na ahsas dilanay lag jayen
Apnay honay ka na ahsas dilanay lag jayen
To muhabat ki gharz
lamha mojood main rakh
Tere zimay na mere dard poranay lag jayen
Tere zimay na mere dard poranay lag jayen
Ye muhabat na kahen
rad e amal ban jayen
Hum tere bad na koi zulm dhanay lag jayen
Hum tere bad na koi zulm dhanay lag jayen
Kar e duniya bhi ajab
hai k meray ghar walay
Din niklatay he meri khabar manany lag jayen
Din niklatay he meri khabar manany lag jayen
Pass he doob rahi hai
koi kashti tabish
Khod nahi bachti ager is ko bachanay lg jayen
Khod nahi bachti ager is ko bachanay lg jayen
No comments:
Post a Comment
My Sweet Visitor, Comments are always appreciated. If you have any suggestion to make this website more better then please share your suggestion here......... Keep visiting babarhussain.com