Welcome to the world of poetry

Join us for Awesome Poetry Collection

Click Here to Join

Saturday 30 April 2016

Duniya Jisey Kehtey Hai Jadoo Ka Khilouna Hai


Mil Jaey To Matti Hai Kho Jaay To Souna Hai
Ankhoun Ki Khirki Par Aik Saya Sa Lehrata Hai
Dil Ke Darwazey Par Koi Dastak De Kar Jata Hai

Gehri Gehri Kali Ankhein Mujh Sey Mujh Ko Poochti Hain
Hathoun Ki Raikhaoun Par Aik Chehra Sa Bun Jata Hai

Uss Ki Sansein Resham Jaisi Galoun Ko Chhoo Jati Hain
Uss Ke Hathoun Ki Khushboo Hai Ab Tak Merey Baloun Mein
Tune Bhi Mere Sath Uthay Hain Dukh Bohat

Khush Hun K Rah-E-Shoq Mein Tanha Nahi Hun Mein 
Ab Jis K Jee Mein Aye Wohi Roshni Pay

Hum Ne Tou Jee Jala K Sar-E-Am Rakh Dia
Uss Ki Akhari Nazar Mein Ajeeb Dard Tha Munir

Jane Ka Is K Ranj Mujhe Umer Bhar Raha 
Apna Zamana Ap Banate Hain Ahal-E-Dil


Hum Wo Nahi Hain Jin Ko Zamana Bana Gaya
Apne Gham Se Kaho Her Waqt Mere Sath Rahay


Ek Ehsan Karo Isko Musalsal Kar Do
Ajj Wo Mudatat Bad Ayi Hai Bhi
Bas Yeh Kehne Jana
Mere Sare Khat Louta Do
Sab Tasveerin Qalmkitbayn
Wapas Kr Do Sare Tohfay
Muj Se Sab Kuch Mang Ne Wali
Jate Jate
Mere Kamre Ki Chokhat Per
Chor Gai Hai
 Apna Ap
Ab Shehar Mein Iska Badal Hi Nahi Koi Ersa Jan-E-Ghazal Hi Nahi

Eiwan-E- Ghazal Mein Lafzun K Guldan Sajaoun Kis K Liay 
Ankhen To Pyar Mein Dil Ki Zuban Hoti Hai
Sachi Chahat Tau Sada Bezuban Hoti Hai


Pyar Mein Dard Bhi Mile To Kya Ghabrana
Suna Hai Dard Se Chahat Aur Jawan Hoti Hai
Jin Ka Taluq Ho Dil Ki Dharkan Se

Wo Loog Lajawab Hote Hain
Suboot-E-Ishq Ki Yeh Bhi Tou Ek Surat Hai

K Jis Se Pyar Karin Uspe Tahumatin Bhi Dharin
Phir Chand Niklaphir Rat Thami
Phir Dil Ne Kaha Han Uski Kami

Phir Yad K Jhounkay Mahak Gay
Phir Pagal Arman Bahak Gay
Phir Janat Se Lagi Yehe Zamee
Phir Dil Ne Kaha Han Uski Kami


Phir Jagi Jagi Si Ratein
Phir Guzre Lamhun Ki Batein
Phir Thar Gai Palko Pe Nami
Phir Dil Ne Han Uski Kami
Bohat Ghoomi Jhana Bhar Mein
Mujhe Awargi Le Kar
Kabhi Sehra Samandar Mein
Kabhi Duniya K Maluun Mein

Kabhi Jungle Mein Bhatkaya
Ajeeb Wehshat Lahu Mein Thi
Nazar Bhi Justuju Mein Thi
Kai Chehray Thay Ankhu Mein
Unhai Chehrun Ki Khuaish Mein

Her Ek Manzil Ko Thukraya
Sakooun Phr Bhi Nahee Aya
Bohat Ghooma Jahan Bhar Mein

Toh Phr Akhir Khula Muj Per
Wo Jis Ko Chor Aya Tha
Mein Apne Hijar Mein Jalta
Wohi Sachi Muhabbat Thi

Ussi Ki Yad K Mooti
Bany Jeewan Ka Sarmaya
Muhabbat Akhari Mazil
Muhabbat Akhari Saya
Yeh Zaroori Toh Nhe K
Sooraj Sawa Naizy Pe Hi Aye Mohsin

Koi Apna Jab Badal Jay
Toh Qayamat Ho Hi Jati Hai
Barisho Say Dosti Achi Nahi Faraz


Kucha Tera Makan Hay Kuch Tu Khayal Kur
Toot Tay Huay Sapnay Is Tarha Nahi Jurtay
Muskuratay Chehray Yeh Yunhi To Nahi Rotay

Kitnay Zamany Lagtay Hain Phool Ko Uganay May
Raitli Zameeno Per Baghban Nahi Miltay

Ashain Ujartay Hain Nafratoun Ky Hounay Say
Bijlioun Kay Girnay Say Saiban Nahi Girtay
Unsa Y Bichray Dil Ko Ujray Barso Beet Gaye


Ankhoo Ka Ye Hall Abhi Tak Kal Ki Bat Lagay
Badal Orh K Guzrooun Ga Main Teray Angan Se
Qaus O Qazah K Sab Rangounmain Tujh Ko Bhiega Dekhooun Ga

Rat Gaye Jab Chand Sitaray Lukan Meeti Khelein Gay
Adhi Rat Ka Sapna Ban Kar Main Bhi Tum Ko Chuu Looun Ga

Be-Mausam Barish Ki Soorat Der Talak Aur Door Talak
Teray Diyar-E-Husn Pe Main Bhi Kin Min Kin Min Barsooun Ga

Sharam Se Dohra Ho Jaye Ga Kan Para Wo Bunda Bhi
Bad-E Saba K Lehjay Main Ek Bat Main Aisee Poochooun Ga

Safha Safha Ek Kitab Husn Si Khultee Jaye Gi
Aur Usi Ko Lau Main Phir Main Tum Ko Azbar Kar Looun Ga

Waqt K Ek Kankar Nay Jis Ko Aksoun Main Taqseem Kia
Ab-E-Rawan Main Kaisay Amjad Ab Wo Chehra Jorooun Ga
Ankhoun Ki Rim Jhim Ka

Suna Hoga Bohat Tum Ne …
Kahin Ankhoun Ki Rim Jhim Ka
Kahin Palkoun Ki Shabnam Ka…
Parha Hoga Bohat Tumne …
Kahin Lehjay Ki Barish Ka
Kahin Sagar Ke Ansoo Ka…
Magar Tum Ne Kabhi Humdam …
Kahin Daikhay? Kahin Parkhay?
Kisi Tehreer Ke Ansoo??…
Mujhe Teri Judai Ne …
Yehi Mairaj Bakhshi Hai…
Ke Main Jo Lafz Likhta Hooun …
Woh Saray Lafz Rotay Hain
Ke Main Jo Harf Bunta Hooun …
Woh Saray Bain Kartay Hain
Mere Sang Is Judai Main …
Mere Alfaz Martay Hain
Sabhi Tareef Kartay Hain …
Meri Tehreer Ki Lekin
Kabhi Koi Nahin Sunta …
Mere Alfaz Ki Siski…
Falak Bhi Jo Hila Dalay
Mere Lafzoun Main Hain Shamil …
Usi Taseer Ke Ansoo…
Kabhi Daikho Mere Humdam…
Meri Tehreer Ke Ansoo
Dayr-E-Noor Mein Tera Shouboun Ka Sathi Ho
Koi Tou Ho Jo Meri Washitun Ka Sathi Ho

Mein Is Se Jhut Bhi Bolun Wo Muj Se Sach Bolay
Mere Mizaj K Sabhi Mousmo Ka Sathi Ho

Wo Mere Nam Ki Nisbat Se Mubatibir Tharay
Gali Gali Meri Rusiyun Ka Sathi Ho

Kare Kalam Jo Muj Se Tou Mere Lajhay Mein
Mein Chup Rahun Tou Mere Tavarun Ka Sathi Ho

Mein Apny Ap Ko Dekhun Wo Muj Ko Dekhay Jay
Wo Mere Nafas K Ghumriyehiyun Ka Sathi Ho

Wo Khoab Dekhay Tou Dekhay Mere Hawlay Se
Mere Khayal K Sabhi Manzrun Ka Sathi Ho
Kisi Din Tez Barish Main
Agar Tum Bhieg Jao To

Agar Barish K Ye Qatray
Tumhari Zulf Ko Chu Kar

Tumharay Galoun Ko Chumen
Agar Barish K Pani Say

Agar Thandi Hawaoun Say
Kisi Purzor Jhounkay Say

Meri Jan Jhoom Jao To
Mujhy Tum Yad Kar Lena

Agar Khwahish Ho Aisay Main
Koi Sathi Ho Bahoun Main

Jo Chheray Zulf Ko Teri
Teray Rukhsar Ko Choomay

Tu Jhoomay Us Ki Bahoun Main
Teri Bahoun Main Wo Jhoomay
Mujhy Tum Yad Kar Lena……
Ajh Jab Barish Hui
Yeh Bhi Aik Khiyal Aya

Kiun Na Aik Badal Ko
Razdan Banaooun Main

Jo Bi Mujh Pe Guzri Hae
Ous Ko Sab Sunaooun Main

Tum Say Jo Kehna Hai
Ous Ko Sab Sunaoun Main

Phir Tumhare Dil Pe
Ajh He Barass Jaye
Ghum Ki Barish Ne Bhi Teray Naqsh Ko Dhoya Nahi
Tu Ne Ne Mujh Ko Kho Diya Mein Ne Tujhay Khoya Nahi

Neend Ka Halka Gulabi Sa Khumar Ankhoun Mein Tha
Yun Laga Jaisay Woh Shab Ko Dairr Tak Soya Nahi Tha

Har Taraf Deewar O Dar Aur Unn Mein Ankhoun K Hujoom
Keh Sakay Jo Dil Ki Halat Woh Lab Giya Nahi

Juram Adam Ne Kiya Aur Nasal E Adam Ko Saza
Kat-Ta Houn Zindagi Bhar Mein Ne Jo Boya Nahi

Janta Houn Aik Aisay Shakhs Ko Mein Bhi Munir
Ghum Se Pathar Hogeya Lakin Kabhie Roya Nahi
Tu Jab Band Kawaroun Aur Diloun Per Dastak Deti Hai
Sari Baten Keh Janey Ko Dil Karta Hai

Terey Sath Hi Beh Janey Ko Dil Karta Hai
Woh Kagaz Ki Kashtiwoh Barish Ka Pani


Ye Daulat Bhi Le Lo Ye Shoharat Bhi Le Lo
Bhale Chhin Lo Mujhase Meri Javani
Magar Mujhako Lauta Do Bachapan Ka Savan
Vo Kagaz Ki Kashti Vo Barish Ka Pani

Muhalle Ki Sabase Nishani Purani
Vo Budhiya Jise Bachche Kahate The Nani
Vo Nani Ki Batoun Mein Pariyoun Ka Dera
Vo Chahare Ki Jhuriryoun Mein Sadiyoun Ka Phera
Bhulae Nahin Bhuul Sakata Hai Koi
Vo Chhoti Si Raten Vo Lambi Kahani

Kadi Dhuup Mein Apane Ghar Se Nikalana
Vo Chidiya Vo Bulabul Vo Titali Pakadana
Vo Gudiya Ki Shadi Mein Ladana Jhagadana
Vo Jhuuloun Se Girana Vo Gir Ke Sambhalana
Vo Pital Ke Chhalloun Ke Pyare Se Tohafe
Vo Tuuti Hui Chuudiyoun Ki Nishani

Kabhi Ret Ke Unche Tiloun Pe Jana
Gharaunde Banana Banake Mitana
Vo Masuum Chahat Ki Tasvir Apani
Vo Kvaboun Khilaunoun Ki Jagir Apani
Na Duniya Ka Gam Tha Na Rishtoun Ke Bandhan
Badi Khuubasuurat Thi Vo Zindagani
Kal Halki Halki Barish Thi
Kal Sard Hawa Ka Raqs Bhi Tha

Kal Phool Bhi Nikhray Nikhray Thay
Kal Un Pe Ap Ka Aks Bhi Tha

Kal Badal Kalay Gehray Thay
Kal Chand Pay Lakhoun Pahray Thay

Kuch Tukray Ap Ki Yad Kay
Bari Dair Say Dil Main Thehray Thay

Kal Yadain Uljhi Uljhi Thin
Aur Kal Tak Yeh Na Suljhi Thin

Kal Yad Bohut Tum Aye Thay
Kal Yad Bohut Tum Aye Thay
Ek Din Is Trah Bhi Hota Hai
Aise Chehrun Ki Kami Toh Nhe

Jese Taza Gulab Hote Hain
Mahtab Aftab Hote Hain

Jese Shair K Khuab Hote Hain
Yeh Zarori Nhe K In Mein Se

Ap K Dil Mein Bhi Koi Utre
Ek Din Is Trah Bhi Hota Hai

Am Meyar E Husn Se Hat Kar
Koi Nazuk Se Purkashish Larki

Apni Masum Si Shararat Se
Dil Mein Chupk Se Yun Utarti Hai

Ap Be Ikhtiar Ho Kar
Ishq Mein Is K Kho Se Jate Hain

Sare Mahtab Dhal Se Jate Hain
Sare Khursheed Doob Jate Hain

Phool Shakhun Pe Sookh Jate Hain
Sirf Ek Dilnawazsa Chehra

Surakh Taza Gulab Bankar
Mahtab Aftab Se Barh Kar

Ek Shair K Khoab Se Barh Kar
Har Taraf Is Trah Damakta Hai

Ap Kuch Aur Dekhte Hi Nhe
Ap Kuch Aur Sochte Hi Nhe

Is Ki Ankhun Se Jam Pite Hain
Bas Usy Dekh Dekh Jeete Han

Ek Din Istrah Bhi Hota Hai
Tum Gay Dino Mein Jo Sath Thay
Mere Qalb-O-Jan Ka Saboot Thay

Yeh Bilawaja Tere Roothna
Meri Zindagi Komita Na De

Tere Samne Mere Humsafar
Meri Dharkno Kibisat Kia

Tera Is Trah Mujhe Dekhna
Kahin Meri Umar Ghata Na De

Tujhe Elmhaiay Tabeeb-E-Jan?
Tera Pyar Hi Meri Hayat Hai

Mein Mareez Hun Tere Qurb Ka
Mujhe Duur Ja Kdawa Na De

Yahan Sab Andhair - Parast Hain
Roshni Ki Majal Kia?

Yeh Charagh Phr Charagh Hai
Koi Ate Jate Bhuja Na De
Teri Sansu Mein Gulabu Se Mahak Lagti Hai
Husn Jis Rang Mein Ho Teri Jhalak Lagti Hai

Sham Hote Hi Neghaun Mein Utar Aty Ho
Dil Ki Dharkan Tere Paru Ki Dhamaklagti Hai

Jese Guzra Ho Tu Abhi Mere Darwaze Se
Ab Hawa Bhi Teripayalki Khanak Lagti Hai

Kabhi Barish K Baraste Hi Jo Ghar Ati Hai
Teri Ankhun Mein Wo Rangun Ki Wo Dhanak Lagti Hai

Islaiy Bhi Chand Tere Husn Ka Girweda Hun
Tere Pekar Mein Unki Ankhun Ki Chamak Lagti Hai


Jis Ki Awaz Mujhe Had Se Bhali Lagti Hi
Ab Wohansi Tere Lejy Ki Kasak Lagti Hai
Nakam Nhe Nashad Bhi Nahi
Mein Qas Bhi Nahe Farhad Bhi Nahe

Puunu Bhi Nahe Ranjha Bhi Nahe
Wamik Bhi Nahe Mirza Bhi Nahe

Wo Loog Toh Bas Afsana Hain
Is Shidat Se Begana Hain

Mein Zinda Ek Haqeqat Hun
Ser Ta Pa Jaba E Ulfat Hun

Mein Tum Ko Dekh Kar Jeeta Hun
Her Lamha Tum Pe Marta Hun

Mein Aisi Muhabbat Karta Hun
Tum Kesee Muhabbat Karte Ho?

Tum Jahan Pe Beith K Jate Ho
Jis Cheez Ko Hath Lagaty Ho

Mein Wahin Pe Beith Rehta Hun
Is Cheez Ko Chuta Rehta Hun

Mein Aisee Muhabbat Karta Hun
Tum Kesee Muhabbat Karte Ho

Tum Jis Se Hans K Milte Ho
Mein Usko Dost Banata Hun

Tum Jis Raste Pe Chalte Ho
Mein Is Raste Se Ata Jata Hun

Mein Aisee Muhabbat Karta Hun
Tum Kesee Muhabbat Karte Ho

Tum Jioun Ko Dekhte Rehte Ho
Wo Khoab Serhane Rakhta Hun

Mein Tum Se Milne Julne K
Kitne Hi Bahane Rakhta Hun

Mein Aisee Muhabbat Karta Hun
Tum Kesee Muhabbat Karte Ho?

Kuch Khoab Saja Kar Ankhun K
Palkun Se Moti Chunta Hun

Koi Lams Agar Cho Jay Toh
Mein Pehrun Tum Ko Sochta Hun

Mein Aisee Muhabbat Karta Hun
Tum Kesee Muhabbat Karte Ho?

Jis Bagh Mein Subah Ko Jati Ho
Jis Sabze Pe Tum Chalti Ho

Jo Shakh Tumhain Cho Jati Hai
Jo Khushboo Tum Ko Bhati Hai

Wo Oos Tumhare Chehre Per
Jo Qatra Qatra Girti Hai

Wo Titlee K Phulooun Ko
Jo Tum Se Milne Ati Hai

Jo Tum Ko Chooune Ati Hai
In Sab K Nazuk Jazbu Mein

Mere Dil Ki Dhahrkan Basti Hai
Mere Rooh Bhi Shamil Rehti Hai

Tum Pass Raho Yeh Duur Raho
Nazru Mein Samai Rehti Ho

Mein Tum Ko Takta Rehta Hun
Mein Tum Ko Sochta Rehta Hun

Mein Aisee Muhabbat Karta Hun
Tum Kesee Muhabbat Karte Ho?

Mein Aisee Muhabbat Karta Hun
Tum Kesee Muhabbat Karte Ho????
Rukh Jab Hawaoun Ka Badalta Hi Gaya
Pyar Jab Dil Mein Utarta Hi Gaya

Jab Saba Ne Kiya Izher - Wafa
Phool Chup Chap Bikhrta Hi Gaya

Ag Bhujne Lagi Jab Seene Mein
Toh Dhuan Ankh Mein Bharta Hi Gaya

Ap Ne Sirf Maseehai Ki
Dard Kiun Had Se Guzarta Hi Gaya

Jis Ne Bhi Manga Muhabbat Ka Sila
Dil Ko Hathun Se Wo Malta Hi Gaya

Koi Tufan Toh Aya Hi Nahee
Shehr -E- Jan Phir Bhi Ujarta Hi Gaya

Jis Ne Bhi Ishq Ki Rahun Ko Chuna
Dasht Abad Wo Karta Hi Gaya
Mein Apni Ratun Ki Fursatun Mein
Tujhe Manaun Toh Man Jana

Agar Kisee Din Mein Apne Ansu
Jo Le Bhi Aoun Toh Man Jana

Tu Khush Nahi Hai Meri Baqa Per
Toh Sirf Itna Bata??

Teri Khushi K Liay Soli Pe Jo Charh Jaoun
Toh Man Jana

Tu Badgum Hai Meri Wafa Per
Toh Sirf Ek Bar Azma Le

Jo Har Jaoun Toh Loat Jana
Jo Jeet Jaoun Toh Man Jana
Jab Tere Dil Se Meri Jan Mein Utar Jaoun Ga
Toot Kar Surat-E-Ayena Mein Bikhar Jaoun Ga

Mein Kahan Aur Kahan Dasht-E-Judai Ka Safar
Aisa Lagta Hai K Say Se Bhi Dar Jaoun Ga

Koun Hai Tere Siwa Moounes O Gham Khoar Mera
Mein Tujhe Chor K A Dost Kidhr Jaoun Ga?

Waqat K Sath Badal Jayin Ge Halat Mere
Charta Drya Hun Kisee Rooz Utar Jaoun Ga
Yeh Din Yeh Rat Yeh Lamhe Achay Lagte Hain
Tumhain Sochun Tou Sare Silsilay Achay Lagte Hain

Bohat Duur Tak Chalna Phr Bhi Wahin Rehna
Mujhe Tum Se Tumhain Tak K Fasle Achay Lagte Hain



Mein Apni Zat Mein Neelam Ho Raha Hun Qateel


Gham-E- Hayat Se Keh Do Khareed Laye Mujhe
Kisi K Ishq Mein Be Khud
Kisi Ki Chha Mein Bebas

Kisi Izhar Ki Khatir

Muhabbat Kal Hoi Thi Jo
Muhabbat Ab Nahi Hogi
Mein Ne Her Bar Tuj Se Milte Waqt
Tuj Se Milne Ki Arzoo Ki Hai

Tere Jane K Bad Bhi Mein Ne
Teri Khushbo Se Ghftugu Ki Hai

Monday 25 April 2016

Mairaj E Muhammad (SAWW) Ny Kia Raaz Jo Afshaan

Mairaj E Muhammad (SAWW) Ny Kia Raaz Jo Afshaan
Wo Raaz Khalaoun Sy Hawa Pooch Rahi Hai

Phelaye Huy Gosha E Daman E Tajassus

Science Bi Muhammad (SAWW) Ka Pata Pooch Rahi Hai

Tuesday 19 April 2016

Khuda Ki Muhabbat Dil Mein Basi Hai

Khuda Ki Muhabbat Dil Mein Basi Hai
Dunya Se Dil Lagana Dil Lagi Hai

Mein Kia Hun Kuch Bhi Nahi
Her Hukam Tera Manna Hi Bandagi Hai

Yehe Jo Noor Phala Hai Char Soo
Tere Dam Se Yehe Roshni Hai

Tere Samne Jab Sar Jhukaya
Toh Cha Gai Ajeeb See Bekhudi Hai

Tere Pyar Mein Jeena Marna
Yahi Toh Meri Ashqi Hai

Apne Bas Mein Nahi Yehe Dil
Yehe Bhi Kaisee Bebasi Hai

Apne Liay Hi Nahi
Aurun K Liay Jeena Zindagi Hai

Duniya Ki Har Khushi Arzi Hai
Tere Gham Mein Bhi Duniya Ki Khushi Hai

Duniya Mein Koi Kisee Ko Kia De Ga
Bas Tu Hi Toh Ek Sakhi Hai

Yehe Thaka Thka Sa Jo Chand Hai

Yehe Thaka Thka Sa Jo Chand Hai
Wohi Khoab Hai Kisee Ki Ankh Ka
Jisee Jagne Ki Saza Mili

Yehe Jo Chand Hai Yehe Azab Hai
Kisee Iss Tra K Sawal Ka
K Jo Aj Tak Na Uth Saka Kisee K Zahan Mein

Yehe Jo Chand Hai Yehe Toh Bar Hai
Kisee Dard Kakisee Hijar Kakisee Wasal Ka

Kabhi Ban Pare Toh Yehe Puchna
Isee Gehri Gehri Si Neend Se

Bhala Kis Ne Jaga Dia?
Isee Roog Kis Ne Laga Dia?

Mein Sumandarun Ka Mizaj Hun Abhi Is Nadi Ko Pata Nahi

Mein Sumandarun Ka Mizaj Hun Abhi Is Nadi Ko Pata Nahi
Sabhi Nadiyan Muj Se Milen Magar Mein Kisee Se Ja Kar Mila Nahi

Mere Dil Ki Simat Na Dekh Tu Kisee Aur Ka Yehe Maqam Hai
Yahan Iski Yadein Muqeem Hain Yehe Kisee Ko Mein Ne Dia Nahi

Mere Dil Ko Khushboo Se Bhar Gaya Wo Qareeb Se Yun Guzar Gaya
Wo Meri Nazar Mein Toh Phool Hai Usse Kia Laga Mein Pata Nahi

Yehe Muqadrun Ki Likhawatin Jo Chamak Gain Wo Phari Gain
Jo Mere Qalam Se Likha Gaya Usse Kiun Kisee Ne Phara Nahi?

Yehe Badar Ab Bhi Sawal Hai K Berukhi Hai K Pyar Hai
Kabhi Pass Is K Gaya Nahi Kabhi Durr Uss Se Raha Nahi

Hum K Chehray Pe Na Lay Kabhi Weerani Ko

Hum K Chehray Pe Na Lay Kabhi Weerani Ko
Kia Yehe Kafi Nahi Zalim Teri Hayrani Ko

Kar-E- Farhad Se Yehe Kam Tu Nahi Jo Hum Ne
Ankh Se Dil Ki Taraf Moor Dia Pani Ko

Sheesha-E-Shok Pe Tou Sang-E-Mumlamat Na Gira
Aks Kalring Hi Kafi Hai Giran Jani Ko

Tu Ruke Yeh Na Ruke Faisla Tuj Pe Chora
Dil Ne Dar Khool Diye Teri Asani Ko

Muj Se Mill Kar Juda Na Ho Jaye, Phir Koi Hadsa Na Ho Jaye

Muj Se Mill Kar Juda Na Ho Jaye
Phir Koi Hadsa Na Ho Jaye

Her Sitam Inka Seh Raha Hun Magar
Ab Yehe Rasm-E-Wafa Na Ho Jaye

Hasa Aur Hass K Qatal Kar Dena
Khas Inki Ada Na Ho Jaye

Zulm Se Kaise Rookin Inko Hum
Dar Yehe Hai K Wo Khafa Na Ho Jaye

Durri Kar De Na Kam Muhabbat Ko
Namuwaqif Fiza Na Ho Jaye

Zindagi Thi Mohal Pehle Hi
Wo Sitamger Khuda Na Ho Jaye

Rah Ro Hoisyar Rehna Tum
Rahzan Rahnuma Na Ho Jaye


Jurm Nakarda Bhi Hai Jurm Waheed
Dekh Tuj Ko Saza Na Hi Jaye

Kya Zamee kia Asman kuch Bhi Nahi

Kya Zamee kia Asman kuch Bhi Nahi
Hum Na Hun Toh Yehe Jahan Kuch Bhi Nahi

Deeda-O-Dil Ki Rafaqat K Bighar
Fasal-E-Gul Ho Yeh Khizakuch Bhi Nahi

Pathrooun Meinab Hum Bhi Phatar Ho Gay
Ab Gham-E-Sood-O-Zia Kuch Bhi Nahi

Kia Qayamat Hai Apne Shahar Mein
Aitbar -E-Jism-O-Jankuch Bhi Nahi

Ek Ahsas-E-Muhabbat K Siwa
Hisal-E-Umar-E-Rawan Kuch Bhi Nahi

Kaise Kaise Sir Koshida Loog Thay
Jin Ka Ab Nam O Nishan Kuch Bhi Nahi


Koi Moozu Sukhan Hi Jab Na Ho
Sirf Andaz-E-Biyan Kuch Bhi Nahi

Kisi K Zikar Ka Jab Hum Irada Rakhtay Hain

Kisi K Zikar Ka Jab Hum Irada Rakhtay Hain
Toh Hassne Wale Bhi Ansoo Zaida Rakhtay Hain

Jo Apne Gulshan -E-Hasti Se Phool Chunte Rahay
Lahu Mein Age Ki Gardish Zaida Rakhtay Hain

Hamesha Rahtay Hain Khush Poosh Uski Yadoun Se
Hum Eihal-E-Ishq Mahakta Libada Rakhtay Hain

Sitarawar Sajatay Hain Ashq Ankhun Mein
Hunar Yehe Khak Nashee Kuch Zaida Rakhaty Hain

Jo Chahay Ay Muhabbat K Phool Le Jay
Hum Aihal-E-Khair Bohat Dil Koshida Rakhatay Hain

Wo Inqlab Jo Uthtay Hain In Nighaoun Se
Humare Dil Se Taluq Zaida Rakhaty Hain


Wafa Ki Rah Mein Dhoka Howa Jo Phir Adil
Toh Wapasi Ka Musafi Irada Rakhatay Hain

Iss Qadar Gor Se Uss Shakas Ko Dekha Na Karo

Iss Qadar Gor Se Uss Shakas Ko Dekha Na Karo
Wo Bhare Ghar Ka Adi Hai Usse Tanha Na Karo

Shor Mein Dab Na Rah Jay Tumhari Awaz
Shahr Mein Agar Khao Zakham Toh Chikha Na Karo

Gar Wo Adi Na Raha Dhoop Na Seh Pay Ga
Chand Lamhun Ka Kisee Shaks Pe Saya Na Karo

Dostooun Ne Jo Diay Hain Tumhain Palkun K Liay
Aisee Moti Ser-E-Mehfil Toh Lutaya Na Karo

Zard Chehray Per Jo Ghazay Ka Gulabi Pan Hai
Bhiegi Ankhooun Se Tum Isko Rang Ko Ruswa Na Karo

Sookhay Patun Ki Sadaoun Se Karo Samjhota
Waqt Se Pehle Bahroun Ki Tamana Na Karo


Mand Par Jay Humera Na Damak Chehrooun Ki
Pichlay Khoaboun Ko Ser-E-Bazm Sunaya Na Karo

Jo Achi Cheez Hoti Hai Wo Aksar Kho Bhi Jati Hai

Jo Achi Cheez Hoti Hai Wo Aksar Kho Bhi Jati Hai
Kabhi Koi Angothi Jo Nishani Hoti Hai Uski
Makeen Hota Hai Jo Dil Mein
Kahin Goom Ho Hi Jati Hai
Kabhi Guldan Latay Hain Bare Hi Shol Se Ghar Mein
Wo Anjane Mein
Mamoli Se Ek Thokar Se Aksar Toot Jata Hai
Bare Hi Chao Sele Ate Hain Koi Naya Malboos
Apne Chahne Wale Ka
Iaka Koi Hisa Jal Hi Jata Hai
Wohijisk Liay Ratoun Mein Jagain
Aur Din Mein Khoab Dekhin Jisk
Jo Ankhun Mein Basta Hai
Isee Apna Bna K Koi Dooja Le Hi Jata Hai
Na Jane Kaise Kaise Khoab Apne Toot Jate Hain
Toh Janaisqadar Tum Pyar Karna Chor Do Muj Ko
Mujhe Dharka Laga Rehta Hai Her Lamhe
Jo Achi Cheez Hoti Hai Wo Aksar Kho Bhi Jati Hai

Barsooun K Bad Dekha Ek Shaks Dil Ruba Sa

Barsooun K Bad Dekha Ek Shaks Dil Ruba Sa
Ab Zahan Mein Nahi Hai Per Nam Tha Bhala Sa

Abroo Khiche Khiche Seankhin Jhuki Jhuki See
Batein Ruki Ruki Seelajha Thaka Thaka Sa

Alfaz K Thay Jugnooawaz K Safar Mein
Ban Jay Junglo Mein Jistra Rasta Sa

Khoaboun Mein Khoab Uskyadun Mein Yad Uski
Neendun Mein Ghul Gaya Ho Jaise K Rat Jaga Sa

Pehle Bhi Loog Kitne Hi Zindagi Mein
Wo Har Tra Se Lakin Aurun Se Tha Juda Sa

Kuch Yehe K Mudatun Se Hum Bhi Nahi Thay Rooay
Kuch Zaher Mein Bujha Tha Ahbab Ka Dilasa

Phir Yun K Sawan Ankhun Mein Abase
Phir Yun Howa K Jaise Dil Bhi Tha Abla Pa Sa

Ab Sach Kahin Toh Yarunhumko Khabar Nahi Thi
Ban Jay Ga Qaymat Ik Waqiya Zara Sa

Tawar Thay Berukhi K Andaz Disti Ka
Wo Ajnabi Tha Lakin Lagta Tha Ashana Sa

Hum Dasht Thay K Daryahum Zaher Thay K Imrat
Nahaq Thay Zaym Humkojab Wo Nahi Tha Pyasa


Hum Ne Usse Dekha Kal Sham Itfaqan
Apna Bhi Hal Hai Ab Loogun Faraz Ka Sa

Kia Bat Hai Jis Ka Gham Bohat Hai

Kia Bat Hai Jis Ka Gham Bohat Hai
Kuch Din Se Yehe Ankh Nam Bohat Hai

Mill Leti Hai Guftugu Kia Had Tak
Itna Hi Tera Karam Bohat Hai

Ghar Ap Ki Jagmaga Uthay Ga
Dehleez Pe Ek Qadam Hi Bohat Hai

Mill Jay Agar Teri Rafaqat
Muj Ko Toh Yahi Janab Bohat Hai

Kiun Bujhne Lage Chiragh Mere
Ab K Toh Hawa Bhi Kam Hai

Chup Kiun Tujhe Lag Gai
Sunte Thay K Tuj Mein Dam Bohat Hai

Ujharay Howay Logoun Se Gurazan Na Howa Kar

Ujharay Howay Logoun Se Gurazan Na Howa Kar
Halat Ki Qabrun K Yehe Kutbay Bhi Paraha Kar

Her Waqt Ka Hasna Tujhe Barbad Na Kar De
Tanhai K Lamhun Mein Kabhi Ro Bhi Lia Kar

Is Shaks K Tum Se Bhi Marasam Tou Hun Ge
Wo Jhut Na Bole Ga Mere Samne Akar

Wo Ajj Bhi Sadyun Ki Musafat Pe Khara Hai
Dhunda Tha Jise Waqt Ki Deewar Gira Kar

Khushun Ki Ek Tahreer Bohat Tareek Jungle Mein

Khushun Ki Ek Tahreer
Bohat Tareek Jungle Mein

Samatee Roshni Mein Ne
Bohat Gumnam Rastun Se

Utha Li Zindagi Mein Ne
Bohat Khamosh Loogun Se

Suni Hai Unkahi Mein Ne
Bohat Mushkil Zamne Se

Rakhi Hai Dosti Mein Ne

Hun Ajeeb Kashumash Mein Hoi Zindagi Parai

Hun Ajeeb Kashumash Mein Hoi Zindagi Parai
Mere Pass Teri Yadein Tere Pass Bewafai

Mere Il Ko Tuunee Cheena Meri Preet Jag Ne Luti
Mera Dil Bhi Hai Parya Meri Preet Bhi Parai

Tujhe Khoab Hi Mein Dekhun Yehe Bharam Bhi Ajj Toota
Tere Khoab Kaise Dekhun Mujhe Neend Bhi Na Ayi

Main Nay Iss Toor Say Chaha Tujhay Aksar Janan

Main Nay Iss Toor Say Chaha Tujhay Aksar Janan
Jaisay Mehtab Ko Bay Antt Samandar Chahay
Jaisay Sooraj Ki Kiran Seep K Dil Main Utray
Jaisay Khushboo Ko Hawa Rang Say Hat Ker Chahay

Jaisay Pathar K Kalaijay Say Kiran Pothtee Hay
Jaisay Gunchay Khulay Musam Say Hina Mangtay Hain
Jaisay Khaboun Main Khayaloun Ki Kaman Toot Tee Hay
Jaisay Barish Ki Dua Abla Pa Mangtay Hain

Maira Har Khab Mairay Sach Ki Gawahi Day Ga
Wusatedeed Nay Tujh Say Tairee Khahish Ki Hay
Mairee Sochoun Main Kabhi Daikh Sarapa Apna
Main Nay Duniya Say Alag Tairee Parastish Ki Hay

Khahishedeed Ka Musam Kabhi Dundhla Jo Hua
Nooch Dali Hain Zamanoun Ki Naqabain Main Nay
Tairee Palkoun Pay Utartee Hoie Subhoun K Liye
Tood Dali Hain Sitaroun Ki Tanabain Main Nay

Main Nay Chaha Tairay Husn Ki Gulzar Fiza
Mairee Ghazloun Ki Qataroun Say Dakhaktee Jaye
Main Nay Chaha K Mairay Fan K Gulsitan Ki Bahar
Tairee Ankhoun K Gulaboun Say Mahaktee Jaye

Tay To Ye Tha K Sajata Rahay Lafzoun K Kanwal
Mairay Khamosh Khayaloun Main Takalum Taira
Raqs Kerta Rahay Bhirta Rahay Khushboo Ka Khumar
Mairee Khahish K Jazeeroun Main Tabasum Taira


Tu Magar Ajnabi Mahool Ki Perwerda Kiran
Mairee Bhujhtee Hoie Ratoun Ko Sehar Kar Na Saki
Tairee Sansoun Main Maseehaie Thee Lekin Tu Bhi
Charaezakhumedeedaetar Kar Na Saki

Tujh Ko Ahsas Hi Kab Hay K Kisi Dard Ka Dagh
Ankh Say Dil Main Utar Jaye To Kiya Hota Hay ?
Tu K Seemab Tabiyat Hay Tujhay Kiya Maloom ??
Musamehijr Tahar Jaye To Kiya Hota Hay ??

Tu Nay Uss Moor Pay Toda Hay Taluq K Jahan
Daikh Sakta Nahin Koie Bhi Palay Ker Janan
Abb Ye Alam Ha K Ankhain Jo Khulain Ge Apnee
Yad Aye Ga Tairee Deed Ka Manzar Janan

Mujh Say Mangay Ga Tairay Ahedemuhubat Ka Hisab
Tairay Hijran Ka Dahkta Hua Mahshar Janan
Yooun Mairay Dil K Barabar Taira Gham Aya Hay
K Jaisay Shheshay K Muqabil Pathar Janan

Jaisay Mahtab Ko Bay Antt Samandar Chahay
Main Nay Iss Toor Say Chaha Tujhay Aksar Janan

Tazad-E-Jazbat Mein Yh Nazuk Maqam Aya Tou Kia Karo Gay?

Tazad-E-Jazbat Mein Yh Nazuk Maqam Aya Tou Kia Karo Gay?
Mein Ro Raha Hun Tum Hass Rahay Ho Mein Muskuraya Tou Kia Karo Gay

Mujhe Tou Is Darja Waqt-E Rukhsat Sukoo Ki Talkeen Kar Rahay Ho
Magar Apne Liay Bhe Soch Mein Yad Aya Tou Kia Karo Gay?

Kuch Apne Dil Pe Bhe Zakham Khao Mere Lahu Se Bahar Kab Tak?
Mujhe Sahra Banae Walun Mein Larkharaya Tou Kia Karo Gay?

Tumhare Jalwun Ki Roshni Mein Nazar Ki Haryaniyen Muslim
Magar Kisi Ne Nazar K Badle Dil Azmaya Tou Kia Karo Gay?

Abhe Tou Tanqeed Ho Rahi Hai Mere Mazaq-E- Junoo Pe Lakin
Tumhari Zulfoo Ki Berhami Ka Sawal Aya Tou Kia Karo Gay?

Abhe Tou Daman Chura Rahay Hobighar K Qabil Se Ja Rahay Ho
Magar Kabhe Dil Ki Dharkanu Mein Shareek Paya Tou Kia Karo Gay?

Bara Khatan Hai Yehe Rasta Jo Aa sako Tou Sath Do

Bara Khatan Hai Yehe Rasta Jo Aa sako Tou Sath Do
Yehe Zindagi Ka Fasla Mita Sako Tou Sath Do

Bare Fareeb Khao Ge Bare Sitam Uthao Ge
Yeh Umer Ka Fasla Mita Sako Tou Sath Do

Jo Tum Kaho Yeh Dil Tou Kia Mein Apni Jan Bicha Dun
Jo Mein Kahun Tou Bas Ek Naza Jo Luta Sako Tou Sath Do

Hazrooun Imthan Hazrooun Azmiyaishan Hain
Hazrooun Dukh Hazrooun Gham Jo Utha Sako Tou Sath Do

Usko Chaha Tha Bhulana Tou Bhula Bhe Na Saky

Usko Chaha Tha Bhulana Tou Bhula Bhe Na Saky
Dag-E-Dil Apna Zamane Ko Dikha Bhe Na Saky

Ek Janat Jo Khayalun Mein Basi Thi Mere
Khoobiyan Is Ki Zamane Ko Bata Bhe Na Saky

Ek Saya Tha Jise Choo Bhe Nahi Sakti Thi
Ek Khaka Tha Jis Ko Mein Bana Bhe Na Saky

Mere Aishar Ki Thakleeq Ka Bayis Wohi Thi
Jab Wo Aya Tou Ghazal Usko Suna Bhe Na Saky

Kis Ki Ahat Se Machi Dil Mein Yeh Halchal
Ek Jhounka Tha Hawa Ka Jise Mein Pa Bhe Na Saky

Mein Muhabbat Baray Ibadat Karoun

Mein Muhabbat Baray Ibadat Karoun
Ay Khuda Hounsla Kuch Aisa De Mujhe
Dushumunoo K Liay Muskuraya Karoun

Dosti Mein Jafa Ka Gila Na Karoun
Dostun Se Wafain Nibhaya Karoun1

Sukh Zara Bhe Mile Tou Yad Rakhun Usse
Dukh Bare Se Bare Bhool Jaya Karoun

Un K Paoun Tale Garam Sehraiun Mein
Apne Jazbun Ki Khunki Bichaya Karoun

Chand Jis Rat Chamk Na Un K Nagar
Apne Ashkun Se Deep Jalaya Karoun

Mein Muhabbat Baray Ibadat Karoun
Koi Shikwa Na Un Se Khuda Ya Karu

Safar Mein Ane Wali Her Azyet Farz Karte Hain

Safar Mein Ane Wali Her Azyet Farz Karte Hain
Chalo Kuch Duur Yunhi Rafaqat Farz Karte Hain

Dil E Betab Ko Jo Mutmain Kar De Judai Per
Teri Janib Se Ek Aisee Wazahat Farz Karte Hain

Wahin Shahyad Koi Rasta Nikal Ata Kahani Mein
Jahan Se Hum Tere Kehne Mein Hijrat Farz Karte Hain


Yeh Tere Qurb Mein Kis Narsai Ki Shabat Hai
K Jaise Hum Muhabbat Ko Muhabbat Farz Karte Hain

Kuch Door Humare Sath Chalo Hum Dil Ki Kahani Keh Dein Gy

Kuch Door Humare Sath Chalo
Hum Dil Ki Kahani Keh Dein Gy

Samjho Na Jise Tum Ankhun Se
Wo Bat Zubani Keh Dein Gy

Phoolun Ki Tra Hoountun Pe
Ek Shok-E- Tabussam Bikhray Gy

Hum Phir Se Tumhare Kanu Mein
Ek Bat Purni Keh Dein Gy

Izher-E-Wafa Tum Kia Jano
Iqrar-E- Wafa Tum Kia Jano


Hum Zikar Karin Gay Gehrun Ka
Aur Apni Kahni Keh Dein Gy

Apne Ehsas Se Choo Kar Mujhe Sandal Kar Do

Apne Ehsas Se Choo Kar Mujhe Sandal Kar Do
K Mein Sadyun Se Adhora Hun Mukamal Kar Do

Is K Say Mein Mere Khoab Dhak Uthayin Gay
Mere Chehray Pe Chamak Ta Howa Anchal Kar Do

Masla Hun Tou Nighain Na Chourao Muj Se
Apni Chahat Se Towja Se Mujhe Hal Kar Do


Apne Gham Se Kaho Her Waqt Mere Sath Rahay
Ek Ehsan Karo Isko Musalsal Kar Do

Yeh Kamyabien Yh Izet Yh Nam Tum Se Hai

Yeh Kamyabien Yh Izet Yh Nam Tum Se Hai
Khuda Ne Jo Bhe Dia Hai Makam Tum Se Hai

Tumhare Dam Se Mere Hain Mere Lahu Mein Khilty Goollab
Mere Wajood Ka Sara Nizam Tum Se Hai

Kahan Biset-E- Jan Kahan Mein Kamsen -O- Nadan
Yeh Meri Jeet Ka Sab Ehtmam Tum Se Hai


Jahan Jahan Hai Meri Dushumani Ka Sabab Mein Hun
Jahan Jahan Hai Mera Eithram Tum Se Hai

Wo Nazuk Si Larki Jo Duniya Mein Akar Bohat Roi Thi

Wo Nazuk Si Larki Jo Duniya Mein Akar Bohat Roi Thi
Mujhe Apni Ek Din Kahani Suna Kar Bohat Roi Thi

Wo Jo Tasveer K Chokhat Mein Khari Ab Bhe Muska Rahi Hai
Suna Hai Yh Larki Kahin Duur Ja Kar Bohat Roi Thi

Khuda Jane Wi Kaise Hasas Jazbu Ki Deewangi Thi?
Zara Si Kisi Bat Pe Wo Muskura Bohat Roi Thi

Isee Mein Yadun Ki Almari Mein Chpa Kar Rakha Hai
Wo Jis Geet Ko Barha Gunguna Kar Bohat Roi Thi

Bohat Dar Tak Jisko Hasna Tha Jeevan K Lambe Safar Mein
Bohat Mukhtiser Si Zindagi Ko Bita Kar Bohat Roi Thi


Usee Shabanmi Makhumali Ghass Se Kisqadar Pyar Tha
Hawa Jis Ki Tarbat Ki Mitti Ura Kar Bohat Roi Thi

Yhe Mojza Bhe Muhabbat Kabhe Dekhiya Mujhe

Yhe Mojza Bhe Muhabbat Kabhe Dekhiya Mujhe
K Sang Tuj Pe Gire Aur Zakham Aye Mujhe

Mein Apny Paoun Talay Roundta Hun Saye Ko
Badan Mera Hi Sahi Dhoop Na Bhay Mujhe

Wohi Tou Sab Se Zaida Hai Nukta Chee Mera
Jo Muskara K Humasha Galay Lagay Mujhe

Mein Apni Zat Mein Neelam Ho Raha Hun Qateel
Gham-E- Hayat Se Keh Do Khareed Laye Mujhe

Wo Ishq Jo Hum Se Rooth Gaya

Wo Ishq Jo Hum Se Rooth Gaya
Ab Uska Hal Sunain Kia?

Koi Mahar Nahi Koi Qahar Nahi
Phir Sacha Sher Sunain Kia?

Ek Hijer Jo Hum Ko Lahaq Hai
Ta Dar Usse Duharain Kia?

Wo Zaher Jo Dil Mein Utar Lia
Phir Usk Naz Uthain Kia?

Phir Ankhain Lahoo Se Khali Hain
Yhe Shamin Bughane Wali Hain

Hum Khud Bhe Kisi K Sawali Hain
Is Bat Pe Hum Sharmayin Kia?

Ek Ag Gham-E-Tanhai Ki
Jo Sare Badan Mein Phall Gai

Jab Jism Hi Sara Jalta Ho
Phir Dama-E-Dil Ko Bachain Kia?

Hum Naghuma Sara Kuch Ghazalun K
Hum Surat Gar Kuch Khoabun K


Be Jazba -E- Shok Sunain Kia
Koi Khoab Na Ho Tou Batein Kia?

Mein Ne Her Bar Tuj Se Milte Waqt

Mein Ne Her Bar Tuj Se Milte Waqt
Tuj Se Milne Ki Arzoo Ki Hai


Tere Jane K Bad Bhe Mein Ne
Teri Khushbo Se Ghftugu Ki Hai

Kis Se Izher-E- Madua Kijeye

Kis Se Izher-E- Madua Kijeye
Ap Milte Nahi Kia Kijeye?

Ho Na Paya Yh Faisla Ab Tak
Ap Ki Kijeye Tou Ki Kijeye?

Ap Thay Jis K Chara Gar Wo Jawan
Sakhat Bemar Hai Dua Kijeye

Ek Hi Fun Tou Hum Ne Sikha Hai
Jis Se Mileye Usse Khafa Kijeye

Hai Takza Meri Tabyet Ka
Her Ksi Ko Charigh Pa Kijeye

Zindagi Ka Ajab Mamla Hai
Ek Lamhay Mein Faisla Kijeye

Milte Rahieye Isi Tapak K Sath
Be Wafai Ki Intha Kijeye

Kia Kahun Us Se K Jo Bat Samajta Hi Nahi

Kia Kahun Us Se K Jo Bat Samajta Hi Nahi
Wo Tou Milne Ko Mulaqat Samajta Hi Nahi

Hum Ne Dekha Hai Faqat Khoab Khuli Ankhun Se
Khoab Thi Wasal Ki Wo Rat Samajta Hi Nahi

Mein Ne Poanchya Usee Jeet K Har Khane Mein
Meri Bazi Meri Mat Samjhta Hi Nahi

Dukh Tou Muj Ko Bhe Judai Ki Ghari Ka Hai Magar
Ajj Kyun Sochain Her Ek Bat Samajta Hi Nahi

Rat Pawai Ne Usko Bhe Gaya Hi Nahi
Rat Kyun Na Kat Sakti Rat Samajta Hi Nahi

Shiree Ka Koi Andaz Samajta Hai Unhain
Wo Muhabbat Ki Rivayat Samajta Hi Nahi

Kuch Dostun Ka Karam Kam Kar Gaya

Kuch Dostun Ka Karam Kam Kar Gaya
Manzil Se Fasla Humain Gumnam Kar Gaya

Khush Bakhti-E-Naseeb Ka Tara Ajeeb Tha
Roshan Howa Tou Zindagi Ki Sham Kar Gaya

Kuch Zindagi Guzarne Ka Dhang Tha Mukhtilif
Kuch Nam Hum Ko Bewaja Bednam Kar Gaya

Wo Shaks Apne Ishq Ki Qimat Na De Saka
Aur Hum Ko Rastay Mein Hi Neelam Kar Gaya

Sang Apny Le Gaya Meri Duniya Ki Roshni
Aur Lamhe Be Basi K Mere Nam Kar Gaya

Farooqi Apni Oot Mein Chupty Rahao Gay Tum
Karna Tha Jis Ne Kam Sar-E-Am Kar Gaya

Wo Bhoolne K Taqzay Na Bhool Paya Koi

Wo Bhoolne K Taqzay Na Bhool Paya Koi
Kisi Ki Yad Mein Ro Ro K Muskuraya Koi

Dharaktay Dil Mein Yhe Ahat Sunai Deti Hai
Fareeb Kha K Koi Fareeb Khaya Koi

Andheeri Rat K Saay Ghanaray Ashak Rawan
Saray Chasham Se Moti Chrya Laya Koi


Mein Aitbarki Dehleez Pe Raha Barsoo
Tha Intezarmagar Loat K Na Aya Koi

Kabhe Kabhe Mere Dil Mein Khayal Ata Hai K

Kabhe Kabhe Mere Dil Mein Khayal Ata Hai
K Zindagi Teri Zulfooun Ki

Naram Chaown Mein Jo Guzarne Pati
Tou Shadab Ho Bhe Sakti Thi
Yh Ranj-O-Gham Ki Seyahi Jo Dil Pe Chai Hai
Teri Nazar Ki Showaun Mein Kho Bhe Sakti Thi
Magar Yh Ho Na Saka
Aur Ab Yh Alam Hai
K Tu Nahi Tera Gham Teri Justuju Bhe Nahi
Guzar Rahi Kuch Is Tra Zindagi Hai Jaise
Ise Kisi K Sahare Ki Arzoo Bhe Nahi
Na Koi Rastana Koi Manzilna Roshni Ka Suragh
Bhatak Rahi Meri Zindagi
Inhi Andharun Mein Reh Jaoun Ga Mein Kho Kar
Mein Janta Hun Meri Hum Nafas
Magar Yunhi Kabhe Kabhe
Mere Dil Mein

Us K Lehje Mein Aur Sab Kuch Tha

Us K Lehje Mein Aur Sab Kuch Tha


Bas Eik Sach Ki Kami Nikli

Meri Aur Uski Ankhein Kitni Milti Julti Hain

Meri Aur Uski Ankhein
Kitni Milti Julti Hain

Ik Jaisee Rengut Walee Hain
Farq Hai To Bus Itna Sa

Meri Ankhaoun Mein
Rung Hai Uska

Uski Ankhain Khalee Hain

Jin Ki Sadaqatoun Pe Koi Shak Na Kar Sake

Jin Ki Sadaqatoun Pe Koi Shak Na Kar Sake


Tum Bhi Kitab-E-Dil Ki Unhin Ayatoun Mein Ho

Ehsas Na Ker In Jazboun Ka Nazroun Se Gira Beshaq Lekin

Ehsas Na Ker In Jazboun Ka Nazroun Se Gira Beshaq Lekin


Jeena Bhi Mujhe Dushwar Lage Itna To Nazr Andaz Na Kar

Raiza Raiza Hai Mera Aks To Hairat Yeh Hai Mohsin

Raiza Raiza Hai Mera Aks To Hairat Yeh Hai Mohsin


Mera Ayina Salamat Hai To Phir Toota Kya Hai?

Puraney Rabtoun Ki Rakhh Ab Tak Dil May Baqi Hay

Puraney Rabtoun Ki Rakhh Ab Tak Dil May Baqi Hay
Meri Jalti Hatheli Par Naya Wada Nahi Likhna

Tumhray Ankh May Gar Mey Kabhi Chup Chap Jal Joan
Tum Apni Ankhooun Mey Lekin Mera Sadma Nahi Likhna

Gawahi Apney Dil Sey Lo Tumhara Dil Kya Kehta Hay
Mujhe Jhota Nahi Likhna Mujhe Saccha Nahi Likhna

Meri Ankhoun Mey Batain Hein Magar Chehrey Pey Gehri Chup
Meri Ankhain To Likh Dena Mera Chehra Nahi Likhna

Kahin Aisa Na Ho Meri Kasak Us Dil May Reh Jaye
Mera Dukh Dard Likh Dena Magar Gehra Nahi Likhna

Mujse Mat Pooch Ki Kyun Ankh Jhuka Li Maine

Mujse Mat Pooch Ki Kyun Ankh Jhuka Li Maine
Teri Tasveer Thi Jo Tujhse Chupa Li Maine

Jis Pe Likha Tha Ki Tu Mere Muqaddar Mein Nahi
Apne Mathe Ki Woh Tehreer Mita Li Meine

Har Janm Sabko Yahan Sachha Pyar Kahan Milta Hai
Teri Chahat Mein To Umr Bita Li Meine

Mujhko Jane Kahan Ehsas Mere Le Jayein
Waqt Ke Hathoun Se Ek Nazm Utha Li Meine

Ghere Rehti Hai Mujhe Ek Anokhi Khushbu
Teri Yadoun Se Har Ek Sans Saja Li Meine

Jiske Sheroun Ko Woh Sunke Bahut Roya Tha
Bas Wohi Ek Ghazal Sabse Chupa Li Meine

Itna Tau Hota Nahin Khandar Sham K Bad Jitna Veeran Hua Jata Hai Ghar Shham K Bad

Itna Tau Hota Nahin Khandar Sham K Bad
Jitna Veeran Hua Jata Hai Ghar Shham K Bad

Toot Parrti Hai Nayee Roz Khabar Sham K Bad
Waqt Hota Hai Azaboun Mein Basar Sham K Bad

Meri Ankhoun Se Barastay Huay Dariyaoun Mein
Doob Jati Hai Teri Rah Guzar Sham K Bad

Tere Bakhshay Huay Andoh Ki Ghabrahat Ka
Aur Hi Rang Se Hota Hai Asar Sham K Bad

Tum Nahin Hotay Tau Phir Dard Zamanay Bhar K
An Miltay Hain Mujhe Khak Ba Sar Sham K Bad

Mil K Ik Shehr Bhigo Daitay Hain Tanhai Ka
Aik Mainaik Mera Deeda-E-Tar Sham K Bad

Ghhair Laitay Hain Mujhe Rastay Teri Yadoun K
Jab Bhi Karta Hooun Tere Bad Safar Sham K Bad

Din Bhi Veeran Hi Guzarta Hai Humara Lekin
Aur Barrh Jata Hai Veerani Ka Darr Sham K Bad

Hijr K Saye Tau Har Roz Hi A Jatay Hain
Kiya Kabhi Ho Ga Tumhara Bhi Guzar Sham K Bad

Aik Bas Tum Hi Nahin Rat K Ghhayel Farhat
Khhak Urrti Hai Humari Bhi Idhar Sham K Bad

Hum Kahan Aur Tum Kahan Jana Hain Kayee Hijr Darmiyan Jana

Hum Kahan Aur Tum Kahan Jana
Hain Kayee Hijr Darmiyan Jana

Rayegan Wasl Mein Bhi Waqt Hua
Par Hua Khawab Rayegan Jana

Mere Andar Hi Tu Kaheen Gum Hai
Kiss Se Poochhooun Tera Nishan Jana

Alam-E-Baikaran-E-Rang Hai Tu
Tujh Mein Thehrooun Kahan Khan Jana

Roshni Bhar Gayee Nigahoun Mein
Ho Gaye Khawab Bay Aman Jana

Ab Bhi Jheeloun Mein Aks Parrtay Hain
Ab Bhi Neela Hai Asman Jana

Hai Jo Pur Khooun Tumhara Aks-E-Khayal
Zakhum Aye Kahan Kahan Jana

Woh Pani Ki Lehroun Pe Kiya Likh Raha Tha?

Woh Pani Ki Lehroun Pe Kiya Likh Raha Tha?
Khuda Janay Harf-E-Dua Likh Raha Tha


Likhay Thay Jisnay Wafa K Manay Adhuray
Woh Shakhs Pyar Ki Inteha Likh Raha Tha


Zara Uski Ankh Ek Ansu Na Nikla
Wo Jis Waqt Lafz-E-Saza Likh Raha Tha


Muhabbat Mein Nafrat Mili Thi Usay
Woh Har Shakhs Ko Bewafa Likh Raha Tha


Is Qadar Zamanay Waloun Nay Usay Sataya
Woh Pyar K Jazbay Ko Gunah Likh Raha Tha

Un Se Keh Do Toot Chuka Hooun Dniya Bhar Se

Un Se Keh Do Toot Chuka Hooun
Dniya Bhar Se Rooth Chuka Hooun
Na Ay Kabi Tanhaie Main
Kha Umar Kattay Ruswaie Main
Us Se Ab Kaisa Taluk
Us Se Ab Kaisa Rishta
Chore Gaya Tha Q Mujh Ko
Yun Tarptay Howay Sehraoun Main
Jaisay Punchi Urtay Urtay
Bichar Jain Fizaoun Main
Aghaz Main Khushi
Anjam Main Dukh Tha
Sab Jantay Howay B Kitna Sukh Tha
Gar Bicharna Hi Tha To Pehlay Batata
Na Khoud Ko Apna Mujrim Thehrata
Sapnoun Ki In Wadiuoun Main
Ab Raha Kya Hai Daikhnay Ko
Zahir B Hain Aur Khouch Chupay Howay
Khouch Zakham Hain Ab To Kuraidnay Ko
Na Tamana Marham Ki Hai Koi
Na Zakham Naya Koi Khana Hai
Beetay Tahy Din Jo Char Achay
Jeenay Ka Wahi Bahana Hai

Maine Poocha Kaise Ho Badley Ho Ya Waise Ho

Maine Poocha Kaise Ho
Badley Ho Ya Waise Ho

Roop Wohi Andaz Wohi
Ya Phir Is Mein Koi Kami

Hijr Ka Kuch Ehsas To Hoga
Koi Tumharey Pas To Hoga

Ham Bichre Ye Majboori Thi
Kab Manzoor Mujhey Doori Thi

Sath Hamara Kab Chhuta Hai
Rooh Ka Rishta Kab Toota Hai

Ankh Se Jo Ansu Behtey Hain
Tum Ko Khabar Hai Kya Kehtey Hain

Maine Kaha Awaz Tumhari
Aj Bhi Hai Humraz Hamari

Phool Wafa Ke Khil Jayenge
Ek Din Phir Ham Mil Jayenge

Sham E Gham Jab Bikhar Gaiee Hoo Gee

Sham E Gham Jab Bikhar Gaiee Hoo Gee
Janay Kis Kis Kay Ghar Gaiee Hoo Gee

Itni Larzan Na Thee Chiragh Ke Loo
Apnay Saye Say Dar Gayee Hoo Gee

Chandini Ik Shab Ke Mehuman Thee
Subah Hootay Hee Mar Gayee Hoo Gee

Dair Tuk Woh Khafa Rahay Mujh Say
Door Tuk Yeah Khabar Gayee Hoo Gee

Aik Darya Ka Rukh Badaltay Hee
Aik Nadee Phir Utar Gayee Hoo Gee

Jiss Tarhan Woh Safar Pay Nikla Tha
Saree Rounaq Udhar Gayee Hoo Gee

Rat Souraj Ko Dhooundnay Kay Liyeah
Ta Ba Hud E Sehar Gayee Hoo Gee

Mairee Yadooun Kee Dhoop Chaooun Mein
Uss Ke Sourat Nikhar Gayee Hoo Gee

Ya Taluq Na Nibh Saka Uss Say
Ya Tabiyat Hee Bhar Gayee Hoo Gee

Tairi Pal Bhar Ke Dosti Mohsin
Uss Ko Bad`Nam Kar Gayee Hoo Gee

Main Koun Hooun Gum Nam Hooun Wafa Ki Awaz Houn

Main Koun Houn
Gum Nam Houn
Wafa Ki Awaz Houn
Muhabbat Ka Parstar Houn
Mehroome Mohabat Houn
Kisi Dil Ki Dharkan Nahin
Kisi Anakh Ka Kajal Nahin
Veran Sehra Houn
Khzan Ka Guzr Bhi Nahin
Sulgta Huwa Endhan Houn
Jalta Hooun Na Bujhta Houn
Tarota Huwa Arman Houn
Jo Hasrtoounn Mein Dhal Gya Houn
Behta Huwa Ansoo Houn
Jo Daman Mein Sama Gya Houn
Main Mutlashi Houn
Muhabbat Ka Masrat Ka
Gumanam Spahi Houn
Jazbooun Ki Mnazal Ka
Main Koun Houn

Taluq Is Tarha Tora Nahi Kertay Ke Phir Say Jorna Dushwar Ho Jaye

Taluq Is Tarha Tora Nahi Kertay
Ke Phir Say Jorna Dushwar Ho Jaye
Hayat Ik Zehr Main Doobi Howe Talwar Ho Jaye

Muhabbat Is Tarha Chora Nahi Kertay

Khafa Houney Ki Rasmain Hain
Bigarnay K Tareekay Hain
Rawaj-O-Rasm Tark-E-Dosti Per So Kitabain Hain
Rawadari Ka Hargiz Rasta Chora Nahi Kertay

Taluq Is Tarha Tora Kertay

Kabhi Bulbul Gulooun Ki Khamoshi Say Rooth Jati Hay
Per Aglay Sal Sab Kuch Bhool Ker Phir Lot Ati Hay
Sabhi Bhanwrooun Ko Gul Harjai Kehtay Hain
Magar Thori Si Zidd K Bad Bandhan Khol Detay Hain
Kabhi Podooun Say Pani Door Ho Jaye
To Hamsaya Darakhtooun K Hath Paighamat Jatay Hain

Muhabbat Main Sabhi Ik Dosray Ko Azmatay Hain

Mager Aisa Nahi Kertay
Ke Har Umeed Har Imkan Mit Jaye
Kahan Tak Khainchni Hay Dor Ye Andaza Rakhtay Hain

Hamesha Char Deewari Main Ik Darwaza Rakhtay Hain

Judai Mustaqil Ho Jaye
To Ye Zindagi Zindan Ho Jaye
Ager Khushboo Hawaooun Say Marasim Munqata Ker Lay

To Khud Main Doob Ker Be-Jan Ho Jaye

Sunoo
Jeenay Say Moun Mora Nahi Kertay
Muhabbat Is Tarha Chora Nahi Kertay

Sunoo Jana
Ager Naraz Ho To Main Manati Hooun
Magar Dekho
Kisi Bhalay Shaiyer Nay
Shaiyed Apnay Lafzooun Main Kaha Tha Keh

Ager Ham Na Rahay To Phir Koun Tum Ko Manaye Ga

Chalo Ab Man Bhi Jao Na
Ke Ranjish Rabtooun Ko Munqata Kernay Main Mahir Hay

Sunoo Jana
Ager Naraz Ho To Main Manati Hooun

Bharam Uski Nafrat Ka Aj Aur Reh Jane Do

Bharam Uski Nafrat Ka Aj Aur Reh Jane Do
Ashkoun Ko Ankhoun Me Aj Aur Reh Jane Do

Dharakhta To Dil Uska Bhi Hoga
Uski Be-Rukhi Ka Parda Aj Aur Reh Jane Do

Bohat Hua Tamsha Bohat Jee Liye
Usko Mujh Se Ghafil Aj Aur Reh Jane Do

Aj To Raqeeb Bhi Mere Sare Khush Hounge
Uske Chahney Waloun Me Mera Nam Aj Aur Reh Jane Do

Maloom He Mujhe Uski Be-Niazi Ka Alam
Mere Intizar Ka Bharam Aj Aur Reh Jane Do

Bas Ata Hi Hoga Qasid Qaza Ka
Ye Darwaza Khula Aj Aur Reh Jane Do

Kisi Ne To Kabhi Pukara Hoga Haseeb
Who Baz-Gasht Hawa Me Aj Aur Reh Jane Do

Pichle Pehr Ka Chand Jab Khuley Dareeche Se

Pichle Pehr Ka Chand

Jab Khuley Dareeche Se Jhankta Hai

To Be-Sakhta Mera Man Meri Ankhein

Tujhey Pukarne Lagti Hain

Aur Hath Ddua K Liye Uth Jate Hain

Kyun K Main Ne Suna Hai

Pichle Pehr Mangi Hui Duayen Qabool Hoti Hain

Jab Aglay Sal Yahi Waqat Araha Ho Ga

Jab Aglay Sal Yahi Waqat Araha Ho Ga
Ye Koun Janta Hay Koun Kis Jagha Hoga

Tu Meray Samnay Betha Hay Aur Mey Soochta Hun
Kay Atay Lumhooun May Jena Bhi Ik Saza Hoga

Yahi Damaktay Huay Pal Dhowan Dhowan Houn
Yahi Chamakta Hua Din Bujha Bujha Hoga

Lahoo Rulayay Ga Woh Dhoop Chaoun Ka Manzar
Nazar Uthaoun Ga Jis Simt Jhutputa Hoga

Yahi Jagha Hai Hum Aj Jahan Mil Kay Bethay Hein
Isi Jagha Pay Khuda Janay Kal Ko Kya Hoga

Bichernay Walay Tujhay Dekh Dekh Soochta Hooun
Tu Phir Milay Ga To Kitna Badal Gaya Ho Ga