Welcome to the world of poetry

Join us for Awesome Poetry Collection

Click Here to Join

Thursday 31 December 2015

Mitti ki Muhabbat Bhoolay Naheen

Mitti ki Muhabbat Bhoolay Naheen

Mitti ki Muhabbat Bhoolay Naheen
Hum koi Shahadat Bhoolay Naheen

Rahay Garm Lahoo Yeh Sham-o-Sahar
Abhi Karna hai Hamain Aagay Safar

Maazi ki Musaafat Bhoolay Naheen
Hum koi Shahadat Bhoolay Naheen

Mitti ki Muhabbat Bhoolay Naheen
Hum koi Shahadat Bhoolay Naheen

Dukh Jhel Chukay Sukh Baant Chukay
Jo Waqt Kara tha Kaat Chukay

Apnon ki Rafaqat Bhoolay Naheen
Hum koi Shahadat Bhoolay Naheen

Mitti ki Muhabbat Bhoolay Naheen
Hum koi Shahadat Bhoolay Naheen

Jab Waqt-e-Shahadat Aa Jaaye
Aur Jaa’n bhi Nisar ho jaaye

Purkhon ki Riwayat Bhoolay Naheen
Hum koi Shahadat Bhoolay Naheen

Mitti ki Muhabbat Bhoolay Naheen
Hum koi Shahadat Bhoolay Naheen

Ya Nabi (SAWW) Dekha Ye Rutba Aapki Naalein Ka



Ya Nabi (SAWW) Dekha Ye Rutba Aapki Naalein Ka
Arsh Ne Chooma Hai Talwa Aapki Naalein Ka

Aapki Khidmat Ka Mujhko Kaash Mil Jaata Sharaf
Baandhta Haathon Se Tasma Aapki Naalein Ka

Aapke Qadmon Ki Narmi Qalb Par Mehsoos Ki
Jab Bhi Mein Ne Naqsh Dekha Aapki Naalein Ka

Hashr Mein Jab Log Choomay Aapka Dust-e-Karam
Sab Say Chup Kar Loon Mein Boosa Aapki Naalein Ka

Roz-e-Mehshar Sar Pe Soraj Jab Sawaa Neezay Pe Ho
Aik Nezay Per Ho Saaya Aapki Naalein Ka

Jiss Se Aagay Jaayein Tou Jal Jaye Par Jibril Ke
Uss Se Aagay Jaana Dekha Aapki Naalein Ka

Taaj Kyun Na Bheek Maangay Aapki Naalein Ki

Taajwar Khaatay Hain Sadqa Aapki Naalein Ka

Wednesday 30 December 2015

Tujhe Zindagi Ka Shaoor Tha, Tera Kia Bana?

Tujhe zindagi ka shaoor tha, tera kia bana?
Tu khamosh kion hai mujhe bata, tera kia bana?

Wo naseeb se teri jang thi, meri bhi thi,
main to kamyab na ho saka, tera kia bana?

Nayi manzilon ki talash thi so bichar gaye,
main bichar k tujh se bhatak gaya, tera kia bana?

Main muqable mein shareek tha faqat is liye,
koi mujh se aa k bhi poochta, tera kia bana?

Mujhe ilm tha k shikast mera naseeb hai,
tu umeed-war tha jeeta ka, tera kia bana?


Tu khamosh tha to mujhe laga k khush hai tu,
tere bolne se pata chala k tera kia bana.

Kuch aesey log jo zehan sey bhulaey nahi jaatey

Kuch aesey log jo zehan sey bhulaey nahi jaatey
kuch aesey lamhey jo dil sey mitaatey nahi jaatey

Dard ki chaadrein meri ghazlon ko dhaanp leti hein
mujh sey sheiron mein naey rang dikhaey nahi jatey

Be-basi barrh ke meri aankhon mein utar aati hey
meri hansi sey merey aansu chupaaey nahi jaatey

Teri tehreeron sey aati hey terey haathon ki mehak
bewafaa mujh sey terey khat jalaaey nahi jaatey

Wafaa ki raahon mein bujhney ke baad ye jaana hey
sar-e-hawa deeye mohabbat ke sajaey nahi jaatey


Aey merey khuda taqdeer ko itna to batayaa hota
dukhon ke pahaarr insaanon pe giraey nahi jaatey

Baba Mery Pyaare Baba, Mujh ko Bhi Tum Yaad Aate Ho,



Baba Mery Pyaare Baba,
Mujh ko Bhi Tum Yaad Aate Ho,
Mama Meri Pyari Mama,
Tum bhi Mujh ko Yaad Aati Ho.
Baba Mere…
Ye Na Samajhna Haar Gaya Hon,
Main Duniya Se Paar Gaya Hon,
Beta Houn Main Tera Baba,
Aaj Haseen Hai Mera Baba,
Tum ko Fakhar Hai Mujh py Baba,
Naaz Jahan Ko Tujh pe Baba,
She lena Ye Judai Baba,
Jo Qismat Me Ai Hai Baba,
Khwabon Mein Ab Baat Rahe Gi,
Yaad Meri Tere Sath Rahe Gi,
Baba Mere…
Ilm Ki Dolat Bharti Rahy Gi,
Umeed Ki Shamma Jalti Rahy Gi,
Pak Watan Hai Jaan Humari,
Iske Dum Se Shaan Humari,
Hum Na Ruke Hain,
Na Hi Ruke Gy,
Hum Hain Mujahid,
Hum Na Jhuke Gy,
Yaad Kary Ga Hum ko Zamana,
Hum ko Kabhi Na Dil Se Bhulana,
Baba Mujh ko Yaad Aate Ho,
Maan Bhi Mujh ko Yaad Aati Hain.
Beta Mere Pyare Raja
Tum bhi Mujh ko Yaad Aate ho.

Baba Mere…

Zillat-e-tanhai se ghabra k aayi hoon



Zillat-e-tanhai se ghabra k aayi hoon,
Main abhi abhi sheher-e-wafa se aayi hoon,

Kuch dair hawa ko batoon me lagaye rakhna,
Main ghar mein ek charagh jala k aayi hoon,

Uss ne pocha hai ehd-e-wafa nibhao gay?
So haathon mein quran utha k aayi hoon,

Wo chahe to ab mujh se tark-e-talluq kar le,
Wo meri zindagi hai usay bata k aayi hoon,

Wo ab bhi mujhe anna parast samajhta hai,

Main jisay ro ro ke mana k aayi hoon,

Main jeet k haara to kis morr pe aa k



Main jeet k haara to kis morr pe aa k,
toota tera sahara to kis morr pe aa k,

Nishan tak na raha meri chahton ka,
mujhe taqdeer ne mara to kis morr pe aa k,

Jab na rahi dil mein koi pyar ki hasrat,
mujhe tum ne pukara to kis morr pe aa k,

Umar bhar doobte rahy hum gham k sumandar mein,
ab k mila kinara to kis morr pe aa k,


Guzri hai umar sari yun aawara gardi mein,
tu ne zindagi ko sanwara to kis morr pe aa k.

Es shehr-e-khrabi me halaat k mary hain


Es shehr-e-khrabi me halaat k mary hain,
hum ooj-e-suraiya se tooty howe taary hain,

Jo kuch bhi howa hai ab ik roz to hona tha,
kia tum se karen shikwa gardish me sitary hain,

Ik shehr me rah k bhi hum tum se juda yun hain,
aapas me juda jesy darya k kinary hain,

Apnon se adawat hai, ghairon se mohabbat hai,
duniya se niralay sab andaz tumhary hain,

Yaadon k andhery me sathi hain mery gham k,
aakash pe jitny bhi chand aur sitaary hain,

Tanha thy na tanha hain es shehr-e-mohabbat me,
allah ki rahmat hai ghairon k sahaary hain,

Kashti hai mohsin apni mojoon k talatum me,
toofan hai qiyamat ka aur zoor k dhaary hain.

Mujhe zindagi me qadam qadam pe teri raza ki talash hai,



Mujhe zindagi me qadam qadam pe teri raza ki talash hai,
tery ishq mein aey mere khuda mujhe inteha ki talash hai,
Main gunahon mein hun ghira howa, main zameen pe hoon gira howa,
jo mujhe gunah se nijat de, mujhe us dua ki talash hai,
Main ne jo kia wo bura kia, main ne khud ko khud hi tabah kia,
jo tujhe pasand ho mere rab mujhe us ada ki talash hai,

Tere dar pe hi mera sar jhuke, mujhe aur kuch nahi chahiye,
mujhe sab se kar de jo beniaz mujhe us anaa ki talash hai.

Ye mizaj-e-yaar ko kia howa, Unhain mujhse pyar hai aaj kal



Ye mizaj-e-yaar ko kia howa?
Unhain mujhse pyar hai aaj kal,

meri justaju, meri guftagu,
mera intezaar hai aaj kal,

Wo tere khatoot nikaalna,
kabhi dekhna kabhi choomna,

yehi mashghala, yehi silsila,
yehi karobaar hai aaj kal,

Issy qatal ker, ussay qatal ker,
tujhy saat khoon muaaf hain,
teri saltanat, tera dabdaba,
tera iqtedaar hai aaj kal,


Aray kaif kal to tu rind tha,
mere yaar tujh ko ye kia howa?

Barra mazhabi, barra paarsa,
barra deendaar hai aaj kal,

Roshni k teer sy aankhein lahoo karta howa


Roshni k teer sy aankhein lahoo karta howa,
bujh raha hon main shehar ko surkhru karta howa,

Kaash tere aur mere faasiley bhi khatam hon,
sochta rehta hon zakhmon ko rafu karta howa,

Tu kisi ka ho chuka hai kia dua maangon ga main,
baith rehta hon tazabzub mein wuzu karta howa,

Is andheirey mein koi to ho jo mera saath de,
thakk gaya hon main akela guftagu karta howa,

Dhool sokhi pattiyon ka maqbara hoti hoi,
phool khushboo k millan ki aarzoo karta howa,

Sard shamoon mein kisi ka garm kamra aur tu,
main tere waadon ka maatam koo bakoo karta howa,


Ab k shahid woh nadaamat hai k apne aap ko,
mar raha hoon aainey k rubaru karta howa.

Behalti jaye gi sarkash mohabbat dekhty jao


Behalti jaye gi sarkash mohabbat dekhty jao,
tumhe duniya sikha de gi siyasat dekhtey jao,

Barry oonchy suron me baat karty ho mohabbat ki,
mohabbat hai khasaron ki tijarat dekhty jao,

Hum apny phool se jazby bikhairen gy fizaon me,
chalay gi hum se khushbu ki riwayet dekhty jao,

Rida-e-khwab ko hum noor ki barish me dhoyen gy,
mohabbat ko bana dengy ebadat dekhtey jao,

Humari aarzoon ko khuli parwaz karny do,
kary ga aasman in ki hifazat dekhtey jao,

Hum apni aatish-e-jan se jalayen gy diye har soo,
humary lafz baanten gy hrarat dekhtey jao,


Abhi to zeest k jalty howe sehra me chalna hai,
urry gi sir talak gard-e-musafat dekhtey jao.

Ye chubhan akailay pan ki, ye laggan udaas shab say

Ye chubhan akailay pan ki,
ye laggan udaas shab say,

Main hawa say lar raha hoon,
tujhe kia bataon kab say,

Ye saher ki saazishen thien,
k ye inteqaam-e-shab tha,

Mujhe zindagi ka sooraj
na bacha saka ghazab say,

Tere naam say shafaa ho
koi zakham wo ataa kar,

Mera naama bar milay to
usay kehna ye adab say,

Wo jawaan rutoon ki shamein
kahan kho gain hain mohsin,

Main to bujh k reh gaya hon
 wo bicher gaya hai jab say.

Paida rah-e-khalos mein dushwariyan na kar

Paida rah-e-khalos mein dushwariyan na kar,
chahat nahi to hum se ada kariyan na kar,


Lafzoon se khailny ki zarorat nahi tujhy,
saada diloon k sath ye fankariyan na kar,


Jin se nahi lagao unhein munh bhi na laga,
be wajah har dukaan se khridariyan na kar,


Tu shakh-e-gul hai koi amar bail to nahi,
wabasta har shajar se wafadariyan na kar,

Taaza hai dil pe daagh agar pehli maat ka,
phir doosri shikast ki tayariyan na kar.

Bikhar rahi hai meri zaat usay kehna

Bikhar rahi hai meri zaat usay kehna,
kabhi milay to yehi baat usay kehna,

Wo sath tha to zamana tha humsafar mera,
magar ab koi nahi mery sath usay kehna,

Usay kehna k bin uskay din nahi katta,
sisak sisak k katti hai raat usay kehna,

Usay pukaron k khud hi pohanch jaon uskay pass,
nahi rahy wo halaat usay kehna,

Agar wo phir bhi na lautay to aey meharban sahil,
humari zeest k halaat usay kehna,


Her jeet us k naam kar raha hoon main,
main manta hoon apni maat usay kehna.

Wo jo mehv thy sar-e-aaina, pas-e-aina bhi to dekhty

Wo jo mehv thy sar-e-aaina, pas-e-aina bhi to dekhty,
kabhi roshni me wo teergi ko chupa howa bhi to dekhty,

Sar-e-aab jo raha tashna lab, to ye zabt-e-gham ki hai inteha,
mery haal pe thy jo nuqta cheen mera hosla bhi to dekhty,

Wo utar gaye thy jo paar khud, mujhe beech behar me chor kar,
tha jo un me itna hosla mujhe doobta bhi to dekhty,

Jinhen mujhse hai ye gila k main raha be nayaz-e-khaloos-o-rabt,
mery gird rasm-o-riwaj ka kabhi daira bhi to dekhty,

Wo meri hansi se hain khush gumaan, k nishat-e-zeest hai muddua,
mery ashk-e-gham ka ruka howa kabhi qaafla bhi to dekhty,

Hoon saza k baad bhi mohtaram, to hain hairaton me ye log kio?
Zara zehr-haq ka meri tarha, kabhi zaiqa bhi to dekhty,


Wo bohat hi sehal samajh rahy thy meri tishnagi se mout ko,
mery jism se tooti saans ka, wo rabta bhi to dekhty.

Koi Haar Gaya Koi Jeet Gaya, Ye Saal Bhi Aakhir Beet Gaya


Koi Haar Gaya Koi Jeet Gaya,
Ye Saal Bhi Aakhir Beet Gaya…!,
Kabhi Sapny Sjaye Aankhon Mein
Kabhi Beet Gaye Pal Baaton Mein,
Kuch Talkhi bhary Lamhaat Bhi Thy,
Kuch Hadsy aur Sadmaat Bhi Thy,
Kuch Berukhi Kuch Becheni,
Kuch Mun Me Simti Veerani,
Kuch Lamhon Ko Barbaad Kia
Kuch Lamhy Thy Yaadgar Bohat,
Per Ab K Baras Ay Dost Mery,
Mujhy Rub Se Dua Ye Mangny Do,
Koi Pal Na Tera Udas Guzry,

Koi Rog Na Tujhy Raas Guzry,

Nateeja phir wohi hoga Suna hai chaal badly ga




Nateeja phir wohi hoga.
Suna hai chaal badly ga..
Parindy phir wohi hoon gy

Shikari jaal badly ga....!!
Badalna hai to din badlo
Badalty kiun ho hindso ko....??
Maheeny phir wohi hoon gy
Suna hai saal badly ga....!!

Chalo hum maan lety hain
Maheena sathh (60) saaloon' ka
Btao kitny saaloon' mein

Hamara haal badly ga....??

December Tum Na Jao Naa...



Abhi Lamhy Nahi Bikhrey
Abhi Mausam Nahi Bichrey _____!!

Merey Kamre Ki Thandak Me
Abhi Kuch Dhoop Baqi Hai _____!!

Meri Diary Ke Kuch Safhey
Abhi Kuch Keh Nahi Paaye _____!!

Merey Aangan Ke Sub Pauday
Abhi Bhi Gungunatey Han _____!!

Merey Be_Jaan Honton Par
Abhi Muskaan Vesi Hai _____!!

Kisi Ke Laut Aane Ka
Abhi Imkaan Baqi Hai _____!!



DECEMBER _____!!
Baat Ik Sun Lo _____!!

Suno… _____!!
Tum Maan Jao Na _____!!

K Jab Tak Wo Nahi Aata _____!!
December Tum Na Jao Na _____!!

Tuesday 29 December 2015

Yeh to socha bhi nahi tha keh woh mar jaye ga



Yeh to socha bhi nahi tha keh woh mar jaye ga
Chand ik Qabar kay seeny mein utar jaye ga

Yeh jo ik Khawab sa Palkon say bandha rakha hai
Aankh jhapko gay to Daman mein bikhar jaye ga

Hijr ki reeg rawan sath liye phirti hai
Is kharabe mein bhala Kon kidhar jaye ga

Husn aur Ishq kay mabain Thani hai ab kay
Is larayi mein kisi aik ka Sar jaye ga

Tu ne dekha hai kuch is tarah kay aye surat e mah
Hath Dil peh jo na rakha to thehar jaye ga

Dekhna aik na aik Din teri Khushboo ka jamal
Dard ki tarah rag e jaan mein Utar jaye ga

Yeh meri umer ka sehra mere Dajlon ka sarab
Sar e mazgan na rahe ga to Kidhar jaye ga

Woh tah-e-dast bhi kia khoob kahani ger tha…. baatoun baatoun main mjhy chaand bi laa deta tha



Woh tah-e-dast bhi kia khoob kahani ger tha….

baatoun baatoun main mjhy chaand  bi laa deta tha

Rahon pe nazar rakhna honto’n pe dua rakhna


Rahon pe nazar rakhna honto’n pe dua rakhna
Aa jaey koi shaid, darwaza khula rakhna

Ehsaas ke shamaa ko, iss tarah jala rakhna
Apni bhi khabar rakhna, uss ka bhi pata rakhna

Raato’n ko bhatakny ke, deta hy saza mujh ko
Dushwaar hy pehlu mein, dil, tery binaa rakhna

Logo’n kee nigaho’n ko parh leny kee aadat hy
Haalaat ke tehreerei’n, chehry se bachaa rakhna

Bhoolu’n mein agar ay dil, tu yaad dila dena
Tanhai k lamho’n ka, har zakhm haraa rakhna

Ik boond bhi ashko’n kee, daaman na bigho paey
Gham uss ke amaanat hy, palko’n pe sajaa rakhna

Iss tarah qateel uss se, bartaao rahy apna

Wo bhi na bura maany, dil ka bhi kahaa rakha

Iss shehar mein aysi bhi qayamt na hoi thi


Iss shehar mein aysi bhi qayamt na hoi thi
Tanha thy magar, khud se to vehshat na hoi thi

Yeh din hy k, yaro’n ka bharosa bhi nahe hy
Wo din thy k, dushman se bhi nafrat na hoi thi

Ab saans ka ehsas bhi ik baar-e-gira’n hy
Khud apne khilaaf aesi baghavat na hoi thi

Ujray huay iss dil k har ik zakhm se poocho
Iss shehr mein kis kis se muhabbat na hoi thi

Ab tery qareeb aa k bhi, kuch soch raha hoon
Pehly tujhy kho kar bhi, nadamat na hoi thi

Khawabo’n ke hawa raas thi jab tak mujhy mohsin

Yoo’n jaagty rehna meri aadat na hoi thi

Mujhe khud se hain shikaytain, mujhe zindagi se gilaa nahi


Mujhe khud se hain shikaytain,
mujhe zindagi se gilaa nahi
Ke jo chaha mene woh paa liya,
nahin aesa kuch jo mila nahi

Mere aas paas hai roshni,
mere raaston mein chirag hain,
Yeh tere karam ka hai mojzaa,
meri justuju ka silaa nahi

Teri aankh se jo haseen ho,
woh nigaah jag main bani nahi
Tere rukh ko jis se misaal doon,
koi aesa phool khilaa nahi

Yeh jo teri zulf ka hai haashia,
yeh jo tera chehra hai khush’numa,
Koi raat aesi siyaah nahin,
kisi subaah mein yeh jala nahi

Yeh jo mehr-o-maa ki hain haaltain!
Yeh jo aayino ki hain hairtain,
Hain azzal se sab yeh isi tarah,

koi apni jagha se hillaa nahi

Kaar-e-duniya main kuch aye dil nahi behter tu bhi


Kaar-e-duniya main kuch aye dil nahi behter tu bhi
Koocha-e-ishq se chun laya hai kankar tu bhi

Jab talak baam-e-falak par hai, sitara tu hai
Aur agar toot ke gir jaye tau pathar tu bhi

Ye qanaa’t bhi muhabbat ki ataa hai warna
Shehr main aur buhat, aik gadager tu bhi

Mere andazay se kuch barh ke thi zalim duniya
Paaon rakh rah-e-tamanna pe sanbhal ker tu bhi

Ajnabi lagta hai kiyun aalam-e-bedaari mujhay
Kahin rehta hai mere khwaab ke andar tu bhi

Main usi morr pe manzil ki talab chorr aai
Ho liya jab se mere saath safar per tu bhi

Main kiran war shab-e-mah main tujh per utri
Mauj der mauj utha ban ke samander tu bhi

Mangna bhool gai main tau tamanna ka sila

Do jahan saamnay phailay thay baraber tu bhi

Kahin chand rahon mein kho gaya


Kahin chand raahon mein kho gaya
khain chandni bhi bhatak gayi
Mein charagh wo bhi bujha howa,
meri raat kesey chamak gayi

Meri dastaan ka urooj tha,
teri narm palkon ki chha’oon mein
Merey sath tha tujhey jagna,
teri ankh kesey jhapak gayi

Kabhi hum miley bhi to kia miley,
wohi dorian wohi fasley
Na kabhi hamarey qadam barhey,
na kabhi tumhari jhijhak gayi

Tere hath se mere hont tak
wohi intazar ki piyas hai
Mere naam ki jo sharab thi
kahin raste mein chhalak gayi

Tujhey bhool janey ki koshishain,
kabhi kamyaab na ho sakin
Teri yaad shakh-e-gulab hai,

jo hawa chali to lachak gayi

Kahin be kinaar se ratjagey kahin zernigar se khwab de


Kahin be kinaar se ratjagey kahin zernigar se khwab de
Tera kya usool hai zindagi mujhey kaun iska hisaab de

Jo bichha sakun teray wastey jo saja sakein teray raastay
Meri dastaras mein sitarey rakhh meri muththiyon ko gulaab de

Yeh jo khwahishon ka parind hai issey mosamon se gharz nahin
Yeh urrey ga apni hi mauj mein issey aab de kay sarab de!

Tujhey chhu liya tou bharak uththey meray jsim o jaan mein charagh se
Issi aag mein mujhey raakh ker issi sholagii main shabaab de

Kabhi yuun bhi ho teray ru baru mein nazar mila ker yeh keh sakun
Meri hasraton ko shumar ker meri khwahishon ka hisaab de

Teri ik nigah kay faiz se meri kasht-e-harf chamak uththey

Mera lafz lafz ho kehkashan mujhey aik aesi kitaab de

Mere ghummon ka madaawa Sharaab hai Saaqi


Mere ghummon ka madaawa Sharaab hai Saaqi
Na rok haath k ghum be-hisaab hai Saaqi

Shau'ur zehen ko dasta hai naagino ki tarah
Pila! k hosh mein rehna azaab hai Saaqi

Sakun hayat ka chota sa baab hai piyaare
Sukun k baab mein poori kitaab hai Saaqi

Gham-o-Alam ka, musarrat ka, shaadmani ka
Har ik sawaal ka bus ik jawaab hai, Saaqi

Mubaada kaan dharun naasihon ki baaton par

Behak na jaaon, zamana kharaab hai Saaqi

Tujh par koi ilzaam jo dhartay bhi to kaisy


Tujh par koi ilzaam jo dhartay bhi to kaisy
Hum ehd-e-muhabbat se mukartay bhi to kaisy

Wo shakhs to yaklakht hi hat jata tha peechhay
hum toot k qadmon main bikhartay bhi to kaisy

Ilzaam ye aata k tujhay bhool gaye thay
Aye dost! Tujhay yaad jo kartay bhi to kaisy

Kia khaak muqaddar se koi hum ko gila ho
Bigron k muqaddar thay, sanwartay bhi to kaisy

Mehroom hi rehtay jo tere radd- e-amal say
Aye jaan! Tere pyaar main martay bhi to kaisy

Jeevan hi guzara tha thapairon main jo hum nay
Hum ab kisi toofaan se dartay bhi to kaisy

Ek paaki-e-damaan pe sada naaz raha tha
Darya-e-muhabbat main utartay bhi to kaisy

Har roz ki zillat bhi gawara to nahi thi
Us raah se hum roz guzartay bhi to kaisy

Jeenay ki saza daiti hay, jeenay nahi daiti
Dunya! Tera tawaan jo bhartay bhi to kaisy

Bach kar na nikal paaye saraab ishq se un kay
Dooba tha samandar main, ubhartay bhi to kaisy.