Phir kisi yaad nay
raat bhar hay jagaya mujh ko.
Kiya saza di hay
mohabat nay khudaya mujh ko.
Din ko aaram hai na raat
ko hay chain kabhi.
Janay kis khaak say
kudrat nay banaya mujh ko.
Dukh to yeh hay k
zamanay main milay ghair sabhi.
Jo mila hay woh mila
ban kay paraya mujh ko.
Jab koi bhi na raha
kandha mere ronay ko.
Ghar ki deewaron nay
seenay say lagaya mujh ko.
Yub to umeed-e-wafa
tum say nahein hay koi.
Phir charaghon ki
tarah kis nay jalaya mujh ko.
Bewafa zindagi nay jab
chor diya hay tanha.
Maot nay piyar say
pehloo main bithaya mujh ko.
Woh diya hoon jo
mohabat nay jalaya tha kabhi.
Gham ki andhi nay
subah aur shaam bujhaya mujh ko.
Kaisay bhoolon ga
tere saath guzare lamhay.
Yaad aata raha zulfon
ka hi saya mujh ko.
No comments:
Post a Comment
My Sweet Visitor, Comments are always appreciated. If you have any suggestion to make this website more better then please share your suggestion here......... Keep visiting babarhussain.com