Welcome to the world of poetry

Join us for Awesome Poetry Collection

Click Here to Join

Sunday 31 January 2016

Agar kisi roz Arsh wala, mjhy mily aur mjh sy puchy


Agar kisi roz Arsh wala,
mjhy mily aur mjh sy puchy,
Btao kya chahty ho mjh sy,
Jo maang lo gy ataa karoun ga,
Main sar jhuka kar usy kahoun ga,
Tu jaisy rakhy ga Khush rahoun ga,
Bas aik hasti sambhaal rakhna, 
Tu meri Maa ka khayal rakhna.

Saturday 30 January 2016

Maut barhaq sahi magar mohsin


Maut barhaq sahi magar mohsin

Sans laina bhi ek qayamat hai

Bikharta ja raha houn mein agoshe-e-tanhai mein

Bikharta ja raha houn mein agoshe-e-tanhai mein

Kash koi mera hota jo mujhe khud mein samait leta

Fasley barhey to ghalt femiyan or bhi barh gaen

Fasley barhey to ghalt femiyan or bhi barh gaen

Phir us nay wo bhi suna jo main nay kaha bhi nahi

Ham hi be tab nahin dard_e_judai ki qasam

Ham hi be tab nahin dard_e_judai ki qasam

Karwatten raat gaye woh bhi badalta ho ga

Aj phir un sy mulaqat hui hai yaro

Aj phir un sy mulaqat hui hai yaro

aj phir dil py koi zakham laga ho jesy

Adabe-e-wafa bhi seekho ishq ki bargah mein

Adabe-e-wafa bhi seekho ishq ki bargah mein

faqat youn dil laganay say dilon mein ghar nahi banty

Youn ba-kamal huway har kamal se pehlay

Youn ba-kamal huway har kamal se pehlay
jawab dhoundnay niklay sawal se pehlay

Jab imtiha'n ho karri shart kamrani ki
khushi khushi se milay gi kamal se pehlay

Fana ki had se houn ab intizar-e-mehdi mein
zawal ane ko hai la-zawal se pehlay

Yeh kis lahoo ki hai surkhi shafq k mathe pe
misal kon si hai be-misal se pehlay

Jab intedab-e-nakeerain hai jaza-o-saza
phir ihtisab hai kiyon intiqal se pehlay

Tum apnay zarf k aosaf khoob gnwao
wo torr de ga sabhi istimal se pehlay

Har aik rang pe mohsin ka rang tari hai
haseen woh hi tha hussn-o-jamal se pehlay

Wo ashk ban k mere chashm-e-tar mein jab aya

Wo ashk ban k mere chashm-e-tar mein jab aya
Sha'or soz-e-muhabbat ka mujh ko tab aya

Adhoray pan ka tamasha hai meray charon taraf
Yahan pe koi nahi jis k hissay mein sab aya

Phir us k bad zaba'n qaid ho gai meri
Bus aik bar tera nam zer-e-lab aya

Na sajda haye aqeedat mein be-khudi utri
Na khak-e-hast ko urrane ka koi dhab aya

Jissay yaqeen ho awaragi k maslik par
Ussay khayal dil-e-dar-badar ka kab aya

Ameer-e-shehar ne ahoo'n pe jab saza rakh di
Ghareeb-e-shehar ko tab yad apna 'rab' aya

Sufaid ho gaye jo sar k bal bhi
Humaray gaoo'n ka beta palat k ab aya

Kehty hen use shehar k sab log maseeha


Kehty hen use shehar k sab log maseeha 
wo shakhs mery dard sy anjan sa q hai..?

Be-adal hi hoti rahi yahan piyar ki taqseem 
is shehar mein piyar ka fuqdan sa q hai..?

Izhar k bawajood bhi wo mujh ko muyassar nahi to phir 
seene mein us k piyar ka toofan sa q hai..?

Jo hum sy koi ta'alluk hi nhi rakhta 
us shakhs k lout ane ka imkan sa q hai..?

Mitti ka bana hai to ghul q nhi jata 
pathar ka agar hai to phir insan sa q hai..?

Haya ki shokhiyon se uthty uthty jhuk gein

Haya ki shokhiyon se uthty uthty jhuk gein

Meri qismat mein un k teer bhi aaye kamaan ho kar

Wo kehti hai Batao be sabab q rooth jatay ho

Wo kehti hai
Batao be sabab q rooth jatay ho
Main kehta houn
Zara mujh ko manao acha lagta hai

Wo kehti hai
Mera dil tum se akhir q nahi bharta
Main kehta houn
Mohabat ki koi hadd hi nahi hoti

Wo kehti hai
Batao main tumhain q bha gai itna
Main kehta houn
Meri jan hadsay tu ho hi jatay hain

Wo kehti hai
Achanak main tumhain yoon hi rula doon tu
Main kehta houn
Mujhe darr hay k to bhi bheeg jaye gi

Wo kehti hai
Batao barishoun ki kya haqeeqat hay
Main kehta houn
K yeh tu badalon ki ankh roti hai

Wo kehti hai
Tumharay khwab saray q adhooray hain
Main kehta houn
Meri jan tum inhain takmeel de do na

Wohi lehja wohi tewar qasam hai tery wadoun ki

Wohi lehja wohi tewar qasam hai tery wadoun ki

zara bhi shaq nhi hota k ye jhooti tasalli hai

Tu na ata teri awaz to aya karti

Tu na ata teri awaz to aya karti

Ghar bhi qismat se tere ghar k brabar na mila

Bohat takleef deti hain teri yadein teray qisay

Bohat takleef deti hain teri yadein teray qisay

faqat itna hi kehna hai k loat ao to acha hai

Us ny phir sy salam bheja hy

Us ny phir sy salam bheja hy

phir kisi se bichar gya ho ga

Barbad ho k yar k dil me'n mili jagah

Barbad ho k yar k dil me'n mili jagah

Abad kar gayeen meri barbadiyan mujhy

Kitni zarkhaiz hai nafrat k liye dil ki zameen

Kitni zarkhaiz hai nafrat k liye dil ki zameen

waqt lagta hi nahi fassal ki tayyari mein

Unhen bewafa jo boloun to toheen hai wafa ki

Unhen bewafa jo boloun to toheen hai wafa ki

Wo wafa nibha rahy hain kabhi idher kabhi udhar

Ek lambi umar sy adat he tery sham_o_sehar ki

Ek lambi umar sy adat he tery sham_o_sehar ki

Ab kon teri yad k mamool ko badly

Laga khanjar jo seeny per howy kiya kiya riha qaidi

Laga khanjar jo seeny per howy kiya kiya riha qaidi

Hazaron hasratien niklen jo darwaza khula dil ka

Main agr aam sa lagta houn to..

Main agr aam sa lagta houn to...

kyun Dekh k baal sanwary uss ny...?

Samnay beth k dil ko jo churaye koi

Samnay beth k dil ko jo churaye koi

aesi chorii ka pata khak lagaye koi

Ishq ki rah main sath chaly thy donoun

Ishq ki rah main sath chaly thy donoun

Hum to barbad huye ap kahan tak pohnchy

Us ne narm kaliun ko rond rond paon sy

Us ne narm kaliun ko rond rond paon sy
tazgi baharon ki cheen li adaon sy

Paon me khayalon k rastay bichay hain
aj hi churaye hain phool us k gaon sy

Door door rehti hai aik gham zada larki
hijarton ki rahoun se vasall ki sarraon sy

Tere jisam ki khushbo sham ki udasi hai
motiye k phoolon ne cheen li hawao'n sy

Bhaij apne lehjy ki narm-garm atish ko
barf kab pighalti hai chand ki shu'aaon sy

Pyar ki kahani me such agar milay
umar band leti hain larkiyan wafaon sy

Tujh se humein koi tamanna kab thi ay zindagi

Tujh se humein koi tamanna kab thi ay zindagi

Hum to is aas pe jeete aaye hain k marna kab hai

Kyun hota hai ye aitbaar ki dehleezon pe aksar

Kyun hota hai ye aitbaar ki dehleezon pe aksar

Jo boht apney houn wohi apne nahi rehtay

Behtay huway dariya ki rawaani ko samajhta

Behtay huway dariya ki rawaani ko samajhta
lagti jo tujhe piyaas to paani ko samajhta

Karna tha tujhe ishq to phir ishq se pehlay
behtar tha muhabbat k ma'aani ko samajhta

Duniya na kabhi tootnay pindaar-e-muhabbat
ay kaash tu khud meri kahaani ko samajhta

Hijrat ka sabaq mujh ko wohi dene laga hai
jo shakhs nahi naqal-makaani ko samajhta

Rehta na kabhi bhi wo mery khuwaab se bahir
ek baar jo jazbaat-e-jawaani ko samajhta

Aata jo hunar mujh ko kharidaari ka main bhi
bazaar-e-zamaana ki giraani ko samajhta

Gambhir-e-masaa'il mein shab-o-roz k
fursat thi kisay Raat ki raani ko samajhta

Unki palkon se howi hai shuro ye daastan-e-muhabbat

Unki palkon se howi hai shuro ye daastan-e-muhabbat

Jin ka jhukna bhi qayamat aur uthna bhi qayamat

Husn-e-mujassimm ho ya ho saanwali si soorat

Husn-e-mujassimm ho ya ho saanwali si soorat

Ishq agar rooh sy ho tuo har roop ba-kamaal dikhta hy

Bohat choti si baat bhi afsaana bana deti hai

Bohat choti si baat bhi afsaana bana deti hai

tum kitaabon pe mere naam ko likha na karo

Unhoun ney aisi chaal chali k unki jeet yaqeeni thi

Unhoun ney aisi chaal chali k unki jeet yaqeeni thi

Phir apni apni qismat hai k haare hum, pachtaaye woh

Jane us shakhs ko ye kesa hunar aata hai

Jane us shakhs ko ye kesa hunar aata hai

Raat hoti hai woh aankon mein utar aata hai

Ab k wo milay ga to ye iltija karon ga

Ab k wo milay ga to ye iltija karon ga

Bin apne jeeney ka koi andaaz to sikhaya hota

Main iss muhabbat mein chup chap na marr jaon kahen

Main iss muhabbat mein chup chap na marr jaon kahen

Youn khamosh na reh kabhe aake neend se jaga de mujhko

Jaisey dhaaga ho koi tasbeeh me

Jaisey dhaaga ho koi tasbeeh me
meri saanson ke darmiyaan waise hai tu

Ehsas_e_muhabbat ki mithaas se mujhe agah na kar

Ehsas_e_muhabbat ki mithaas se mujhe agah na kar

Ye wo zehr hai jo mein pehley bhe pe chuka houn

Pocha tha us ne haal bari muddatoun k baad

Pocha tha us ne haal bari muddatoun k baad

kuch par gaya ha aankh men ye keh k ro pary

Kesy muhabbat karoun boht ghareeb houn

Kesy muhabbat karoun boht ghareeb houn

log bikty hain main khareed nahi paata

Tu hans raha hai mujh pe mera haal daikh ker

Tu hans raha hai mujh pe mera haal daikh ker

or phir bhi main shareek tere qehqahoun main houn

Na shayer houn main na sha'oor-e-ishq mujh ko

Na shayer houn main na sha'oor-e-ishq mujh ko

main to likhta houn k haal-e-dil bayan kar sakoun

Aur kuch nai hota to bhari barish main

Aur kuch nai hota to bhari barish main

Tujh se bichry huye raaston par safar krta houn

Tere aane ka maloom nahi

Tere aane ka maloom nahi

Barish ky hain imkaan bohat

Tm se na kat sakay ga andheron ka ye safar

Tm se na kat sakay ga andheron ka ye safar

ab sham ho rhi he mera hath thaam lo

Baal bikherey wo gum sum youn kharra hai jaisy



Baal bikherey wo gum sum youn kharra hai jaisy
hijar se wasta usko bhi parra hai jaisy

uski aankhon mein lahu utra nazar aata hai
raat bhar neend se lagta hai larra hai jaisy

ba-khaber achi tarah aandhi ki fiitrat se hai ye
phir bhi phool khud hi bikhrney pe arra hai jaisy

teri peshani mere honton ke dam se roshan
chaand maathy pe tere mein ne jarra hai jaisy

mere apno ne dya zakhm mujhy youn
sari duniya mein mera dil hi bara hai jaisy

Wo pathar bhi maaren to utha kar jholiyan bhar loun




Wo pathar bhi maaren to utha kar jholiyan bhar loun
kabhi mehboob ke tohfoun ko thukraya nahi krty

Wohi muntazir nigahen, wohi sham-e-gham ka aalam




Wohi muntazir nigahen, wohi sham-e-gham ka aalam
Hum azzal se tak rahy hain teri wapsi ka rasta

Chalo maana tumhari aadat hai tarpaana



Chalo maana tumhari aadat hai tarpaana
zara socho, koi mar gya to kyaa kro gy..?

Zindagi mein tu nahi to arzoo kis k liye




Zindagi mein tu nahi to arzoo kis k liye
ye Muhabbat kis liye, ye justuju kis k liye

mein tujhe dekha karoon aur tu mujhe dekha kare
ye nahi to phir bata k roo-ba-roo kis k liye

har sajawat jism-o-jaan ki kar to li mein ne magar
tu agar milta nhi to rang-o-boo kis k liye

dilbari k tere charche ja-ba-ja mein ne sune
tu agar mera nahi to phir hai tu kis k liye

har ghazal mein ne likhi hai teri hi zaat par
tu hi gar sunta nahi to guftagu kis k liye

Karb chehre se maah-o-saal ko dhoya jaye



Karb chehre se maah-o-saal ko dhoya jaye
aaj fursat se kaheen beth k roya jaye

phir kisi nazm ki taameer uthai jaye
phir kisi jism ko lafzon mein samoya jaye

kuch to ho raat ki sarhad mein utrney ki saza
garam suraj ko samundar mein daboya jaye

itni jaldi to badalte nahi houn ge chehre
gard-aalood hain aayino ko dhoya jaaye

mout se khauf-zada, jeeney se be-zaar hain log
aise moqay pe hansa jaaye ya roya jaye

Muhabbat zaat k andar koi gum zaat hoti hai



Muhabbat zaat k andar koi gum zaat hoti hai
Muhabbat k ta'aqqub me hamesha ghaat hoti hai

Muhabbat me khushi se mout ko hum orh lete hein
Zara socho k is me koi aisi baat hoti hai

Muhabbat shehad me lipta huwa ik zehar hai lekin
Muhabbat jeet hoti hai, Muhabbat maat hoti hai

Muhabbat khud zamana ho k bhi hai mosmon jesi
Kabhi ye subha hoti hai kabhi ye raat hoti hai


Muhabbat aisi khushbo hai kabhi ik ja nahi rehti
Kahin badal dikhati hai kahin barsat hoti hai

Muhabbat jisko hasil hai wo qismat ka sikandar hai
Muhabbat rabb ki janib se hasin soghat hoti hai

Har kisi ko kab bhala youn mustrad krta houn main



Har kisi ko kab bhala youn mustrad krta houn main
Tu hai khush qismat agar tujh se hasad krta houn main

bughz bhi seene mein rakhta houn amaanat ki tarah
nafraten karne pe aa jaon to had krta houn main

koi apne aap manwaane wala bhi to ho
maan'ne mein kab kisi ki rad-o-kad krta houn main

kuch shaoori sateh par, kuch la-shaoori taur par
kaar-e-fikar-o-fun mein ab sub ki madad krta houn main

iss liye mujh se khafa hain ehal-e-gulshan aaj kal
rang jhutlata houn, khushbu mustrad krta houn main

meray jazboo'n se bachaao, naik dil logo mujhe
roz-o-shab in bad-maashon ki madad krta houn main

dosroon k waastey likha huwa lagta hai jhoot
apni sachai ko aksar aap rad krta houn main

rang par aai huwi hai ab junoo'n khaizi meri
roz-o-shab toheen-e-arbaab-e-khird krta houn main

tooq gardin mein pehnta houn lahoo ki dhaar ka
khalq ko hairaan sajid zad-ba-zad krta houn main

Bare sakoon se rehte ho aaj kal mere baghair



Bare sakoon se rehte ho aaj kal mere baghair
jaisy kisi uljhan se chutkara mil gaya ho tum ko

Kabhi jo raahat_e_jaan tha use bhula bhi dia

Kabhi jo raahat_e_jaan tha use bhula bhi dia
agrcha dil ne hamen tanaa_e_wafa bhi dia

nahin k hamsafron k liye bany diwaar
jo barq_paa thay unhen ham ne raasta bhi dia

magr khuda ki sabhi bakhshishen anokhi hain
wafa k sath hamen yaar_e_bewafa bhi dia

main but bana usey dekhey giya to us ne kaha
guzr chuki ha bohat raat ab bujha bhi diya

faraz jis ne dilon ko udasiya'n bakhsheen
usi ne zakhm chhupaany ka hosla bhi dia

Usne narm kaliyon ko rond rond paaon sy

Usne narm kaliyon ko rond rond paaon sy
taazgi baharon ki cheen li adaaon sy

paaon mein khayaalon ke rastay bichay hain
aaj hi churaaye hain phool us ke gaaon sy

door door rehti hai aik gham-zadaa ladki
hijraaton ki rahon se vasall ki sarraon sy

tere jisam ki khushboo sham ki udaassi hai
motiye ke phoolon ne cheen li hawaaon sy

bhaij apne lehjy ki narm-garm aatish ko
barf kab pighalti hai chaand ki shuaaon sy

pyaar ki kahani mein such agar milay
umar baand leti hain lardkiyan wafaaon sy

Friday 29 January 2016

Aj Aakhan Waris Shah Noun, Kiton Kabraan Vichchon Bol,




Aj Aakhan Waris Shah Noun, Kiton Kabraan Vichchon Bol,
Te Aaj Kitab-E Ishq Daa Koii Aglaa Varkaa Phol

Ik Roii Sii Dhii Punjaab Dii, Tuun Likh Likh Maare Vaen,
Aaj Lakhaan Dhiiaan Rondiaa, Tainun Waris Shah Nun Kahen

Uth Dardmandaan Diaa Dardiaa, Uth Takk Apnaa Punjaab
Aaj Bele Lashaan Bichhiaan Te Lahu Dii Bharii Chenab

Kise Ne Panjan Panian Vichch Dittii Zahar Ralaa
Te Unhaan Paniiaan Dharat Nuun Dittaa Paanii Laa

Is Zarkhez Zamiin De Luun Luun Phuttia Zaher
Gitth Gitth Charhiaan Laalian Fuut Fuut Charhiaa Kaher

Veh Valliissii Vha Pher, Van Van Vaggii Jaa,
Ohne Har Ik Vans Di Vanjhalii Ditti Naag Banaa

Pehlaa Dang Madaarian, Mantar Gaye Guaach,
Dooje Dang Di Lagg Gayii, Jane Khane Nun Laag

Laagaan Kiile Lok Munh, Bus Phir Dang Hi Dang,
Palo Palii Punjaab De, Neele Pae Gaye Ang

Gale`On Tutt`E Geet Phir, Takaleon Tuttii Tand,
Trinjanon Tuttiaan Saheliaan, Charakhrre Ghuukar Band

Sane Sej De Beriaan, Luddan Dittiaan Rohr,
Sane Daliaan Peengh Aj, Piplaan Dittii Tor

Jitthe Vajdii Sii Phuuk Pyaar Dii, Ve Oh Vanjhalii Gayii Guaach
Raanjhe De Sab Veer Aaj, Bhul Gaye Uhadii Jaach

Dhartii Te Lahoo Varsiyaa, Kabraan Paiaan Choan,
Preet Diaan Shaahzaadiaan, Aaj Vichch Mazaaraan Roan

Aaj Sabbhe `Qaido` Ban Gaye, Husn Ishq De Chor
Aaj Kitthon Liaaiye Labbh Ke Waris Shah Ik Hor

Aaj Aakhan Waris Shah Nuun, Kiton Kabraan Vichchon Bol,
Te Aaj Kitaab-E Ishq Daa, Koii Aglaa Varkaa Phol

Jo Hum Kehte Hein Yeh Bhi Kyun Nahi Kehta , Yeh Kafir Hai



Jo Hum Kehte Hein Yeh Bhi Kyun Nahi Kehta , Yeh Kafir Hai
Humra Jabr Yeh Haans Kar Nahi Sehta,Yeh Kafir Hai

Yeh Insaan Ko Mazhaab Se Parknay Ka Mukhalif Hai
Yeh Nafrat Kay Qabiloun Main Nahi Rehta , Yeh Kafir Hai

Bohat Baysharam Hai Yeh Maa Jo Mazdoori Ko Nikli Hai
Ye Bacha Bhookh Aik Din Ki Nahi Sehta, Yeh Kafir Hai

Yeh Badal Aik Rastay Pay Nahi Chaltay Yeh Baghi Hain
Yeh Darya Iss Taraf Ko Kyun Nahi Behta, Yeh Kafir Hai

Hain Mushriq Yeh Hawain Roz Yeh Qibla Badalti Hain
Ghana Jungle Inhain Kuch Bhi Nahi Khata , Yeh Kafir Hai

Yeh Titli Fahasha Hai Phool Ke Bister Pe Sote Hai
Yeh Jugnu Shab Kay Parday Main Nahi Rehta, Yeh Kafir Hai

Sarr'an Tu Kisi Ka Gungunana Bhi Nahi Jaiz
Yeh Bawra Kyun Bhala Pher Chup Nahi Rehta , Yeh Kafir Hai

Idher udher ke bhi kirdaar aate jaate rahy

Idher udher ke bhi kirdaar aate jaate rahy
mere sukhan ka magar markazi khayal thi wo


Hur aik zok-e-sukhan k liye sawal thi wo
mery sukhan ka magar markazi kheyal thi wo

jub bhi chooma jo badan un ka to mehsoos hua
jesy khushboo sy bhara reshmi roomal thi wo

kabhi na un sy mohabat ka ehtiraam hua
magar k sharm o haya ki bhi ik misaal thi wo

humen to tark-e-marasim ny kar diya tha nidhal
gum-e-hijran main jany kesy to khush'hal thi wo

tamam umr ye husrat hi nichor'ry gi humen
dolat-e-piyar aor reham sy jo kung'gaal thi wo

Gulshan ki faqat phoolon se nahin kaaton se bhi zeenat hoti hai

Gulshan ki faqat phoolon se nahin kaaton se bhi zeenat hoti hai,
jeene ke liye is duniya mein gham ki bhi zaroorat hoti hai.

Ae waaiz-e-naadan karta hai tu ek qayamat ka charcha,
yahan roz nigahen milti hain yahan roz qayamat hoti hai.

Wo pursish-e-gham ko ayae hain kuch keh na sakoun chup reh na sakoun,
khaamosh rahoon to mushkil hai keh doon to shikaayat hoti hai.

Karna hi padega jabt-e-alam peene hi padenge ye aansoo,
fariyaad-o-fugaan se aey naadaan tauheen-e-mohabbat hoti hai.


Jo aake ruke daaman pe ‘Saba’ wo ashq nahin hai paani hai,
jo ashq na chhalke aankhon se us ashq ki keemat hoti hai.

Lamha bhar apna hawaon ko banany waly

Lamha bhar apna hawaon ko banany waly
Ab na ayen ge palat ker kabhi janay waly

Kia milay ga tujhay bikhray hovay khwabon k siwa
Rait par chand ki tasveer bananay waly

Sab ne pehna tha baray shauk se kaghaz ka libas
Jis qadar log thay barish main nahanay waly

Mar gaye hum to yeh kutbay pe likha jaye ga
Sou gaye aap zamanay ko jaganay waly

Dar-o-dewar pe hasrat si barasti hai qateel

Janay kis dais gaye piyar nibhanay waly!

Ehwal-e-gham-e- zaat sunany se raha main

Ehwal-e-gham-e- zaat sunany se raha main
ab khud ko ko tamasha to banany se raha main

hr baar main tazleel-e-anaa kr nahi sakta
hr baar usy ja k manany se raha main

ehsaan ka mafhoom hi ankhain na milana
ehsaan ksi ka b uthany se raha main

mumkin hai ksi roz ye akseer bana dy
is dil me lagi aag bujhany se raha main

jo zakhm rafiqon k rawaiyon se lgy hain
wo zakhm ksi ko b dikhany se raha main

jany do mujhe bazm-e-turaab main nahi ruko
baar-e-gham-e-tanhai uthany se raha main

darya hon to darya hi usy pesh kroun ga
piyasy ko samundar to pilany se raha main

Bichhda kahan hai yaar humara safar mein hai

Bichhda kahan hai yaar humara safar mein hai,
Ojhal nahin hua hai abhi tak nazar mein hai.

Ek haadse ne chheen liya hai usey magar,
Tasweer uski phir bhi meri chashm-e tarr mein hai.

Woh toh likha ke laayi hai kismat mein jaagna,
Maa kaise so sakegi ki beta safar mein hai.

Khud shaakh-e gul ko toot’te dekha hai aankh se,
Kis darza hausla abhi boorhe shajar mein hai.

Tanha mujhe kabhi na samjhna mere hareef,
Ek bhai mar gaya hai magar ek ghar mein hai.

Duniya se aakhirat ka safar bhi ajeeb hai,
Woh ghar pahunch gaya hai badan raahguzar mein hai.


Sab ordh lenge mitti ki chaaddar ko ek din,
Duniya ka har charaagh hawa ki nazar mein hai. !!

Dil-e-Umeed Tora Hay Kisi Nay

Dil-e-Umeed Tora Hay Kisi Nay
Sahara Day Kar Chora Hay Kisi Nay

Na manzal hay na manzal ka neshaa hay
Kahaan per la kar chora hay kisi nay

Mien un sheesha garoo se pochta hoon
Kah tota dil bhi jora hay kisi nay

Hay dewanoo ko zanjeroo se nesbat
Yeh rishta khub jora hay kisi nay

Mohabat nay mujhe barbaad kar kay
Lahoo dil ka nechoora hay kisi nay


Bhary mehfil mien majnoun nay pokara
Meray laila ko dekha hay kisi nay

Chalo hum maan lete hain, ye duniya jhoot kehti hai

Chalo hum maan lete hain,
ye duniya jhoot kehti hai,
tumhe hum se nahi ulfat,

chalo hum maan lete hain,
tumhari be"qrari ki,
wajha kuch aur hi hogi,.

Nigaahen mujse milte hi
tumhare muskrane ka
sabab kuch aur hi hoga,

jise km"fehm logon ne,
mohabbat naam de daala,

mgr itna bataa do tum,
bicharte waqt jan-e-jaan.

Palat kr dekh k hum ko,
tumhari jheel si aankhen,

chalakti ja rhi thi kyun..?
Hamain tarpaa rahi thi kyun..?

Hujoom mein tha wo khul kar na ro saka hoga

Hujoom mein tha wo khul kar na ro saka hoga
magar yaqeen hai k shab bhar na so saka hoga

Voh shakhs jis ko samajhney mein mujhko umar lagi
bichar k muj se kisi ka na ho saka hoga

Laraztey haath, shikasta si dor saanson ki
voh khushak phool kahan tak piro saka hoga

Boht ujaarr they pataal uski ankhon k
voh ansuon se na daman bhigo saka hoga


Merey liye voh qabeeley ko chor kar ata
muje yaqeen hai yeh uss sey na ho saka hoga

Apne mohabbat ka kuch haq adaa ker do

Apne mohabbat ka kuch haq adaa ker do
hamaare naam apni kuch wafa ker do

Ager ye mumkin nahe tere liye to
apni yaadon ko mujh se judaa ker do

Do bol mohabbat k bol ker
mere mohabbat ki aasan raah ker do

Rafta rafta jaa raha ho maut ki taraf
mujhe bachaney k liye zindagee ki dua ker do


Aisa nahe ker sakte tum to
hamesha k liye mujhe duniya se alvida ker do

Bohat takleef deta hai kisi ko alvida kehna

Bohat takleef deta hai kisi ko al-vida kehna !!

Dikhai kuch nahi deta
sunai kuch nahi deta
faqat kuch kap-kapatey lafz
jo hoonton per theher jayen
Ubharti doobti dharkan
usey aawaaz deti hai
Koi apna ke jis ka naam apne dil pe likha ho
ke jis ke wastey dil se duaein hi nikalti hoon
Bohat takleef deta hai ussi ko al-vida kehna
Jisey dil mein basaya ho
barey hi maan se jiss ko kabhi apna banaya ho
Bohat takleef deta hai ussi ko al-vida kehna
Bohat takleef deta hai
kisi ko al-vida kehna

Bhari Mehfil Mein Tanhai Ka Alam Dhond Leta Houn

Bhari Mehfil Mein Tanhai Ka Alam Dhond Leta Houn
Jahan Jata Hon Apne Dil Ka Mousam Dhond Leta Houn

Akela Khud Ko Jab Mehsos Kerta Hon Kisi Lamhay
Kisi Umeed Ka Chehra Koi Gham Dhond Leta Houn

Boht Hansi Nazar Ati Hein Jo Ankhain Sar E Mehfil
Main In Ankhon Kay Pechay Chashm E Purnam Dhond Leta Houn

Gale Lag Ker Kisi Kay Chahta Hon Jab Kabhi Rona
Shiksta Koi Apne Jesa Ham Dam Dhond Leta Houn

Calender Se Nahi Mashrot Mere Raat Din Sajid

Main Jesa Chahta Hon Wesa Mousam Dhond Leta Houn_!!

Aap kahein aur hum na aayein Aise to halaat nahin

Aap kahein aur hum na aayein
Aise to halaat nahin
Manzil pe pahunchenge kaise
Aapka jab tak saath nahin

Aap kahein aur hum na aayein
Aise to halaat nahin

Chaahane waalon ki aaj duniya mein
Chaahane waale aa gaye
Ulfat ki may aankhon se lo
Aaj pilaane aa gaye
Aap piyein aur aap na jhoomein
Aapke bas ki baat nahi

Kasaa hua hai teer husn ka
Zara sambhal ke rahiyega
Nazar nazar ko maaregi
To kaatil hamein na kahiyega
Chaal chali hai soch ke humne
Is khel mein apni maat nahin

Paas aake yeh aapke
Hamein hone laga ehsaas hai
Dum hai to bas aapke dum se
Aap hi se saans hai
Bayaan karein jo haal-e-dil ko
Aise koi jazbaat nahin

Aap kahein aur hum na aayein
Aise to halaat nahin

Manzil pe pahunchenge kaise
Aapka jab tak saath nahin.

Dil shikasta apnay jaisa yahan koi dafan hai

Dil shikasta apnay jaisa yahan koi dafan hai
der tak raat ko roney ki sada aati hai

jaisay chashmay peh nahati hui shehzad-e-khuab
chandni raat ab ashkon main naha jati hai

kia yahan dasht-e-tamanna main koi phool khila
ab idher roz kai baad-e-saba aati hai

kis dastak nay bohat chupkay sey sergoshi ki
chand sey chandni nazdeek hui jati hai

meri aankhon main uter aaye hain kaley badal
jao so jao k mausam bara jazbaati hai

khushk patton ko koi rond raha hai shayed
baal bikhraye huye baad-e-saba aati hai

Be chain buht phirna ghabraaye huwe rehna

Be chain buht phirna ghabraaye huwe rehna
ek aag si jazbun ki dhahkaaye uwe rehna

chhalkaaye huwe calna khushboo lab e lali ki
ek baagh sa saath apne mehkaaye huwe rehna

ek shaam si ker rakhnaa kajal ke karishme se
ek chaand saa aankhoun main chamkaaye huwe rehna

is husn ka shewah he jab ishq nazer aaye
parde main chalay jana shermaye huwe rehna

aadet hi bana li he tum ne tu munir apni
jis shahr main bi rehna uktaaye huwe rena

tum aaye ho na shab-e-intezaar guzri hai


tum aaye ho na shab-e-intezaar guzri hai
talaash men hai sehar baar baar guzri hai

junuun men jitni bhi guzri bakaar guzari hai
agar che dil pe kharaabi hazaar guzri hai

hui hai hazrat-e-naaseh se guftaguu jis shab
wo shab zaruur sar-e-kuu-e-yaar guzri hai

woh baat saare fasaane men jiskaa zikr na thaa
woh baat unko bahut naa-gavaar guzri hai

na gul khile hain, na un se mile, na mai pi hai
ajeeb rang men ab ke bahaar guzri hai

chaman men ghairat-e-gulchin pe jane kya guzri
qafas se aaj sabaa be – qaraar guzri hai

Ye inayatain gazab ki ye bala ki meharbani

Ye inayatain gazab ki ye bala ki meharbani
meri khairiat bhi poochi kisi aur ki zabaani

mera gham rulaa chuka he tujhe bikhri zulf wale
ye ghata bata rahi he ke baras chuka e paani

tera husn so raha thaa meri chedr ne jagayaa
wo nigaah main ne daali ke sanwer gai jawaani

meri be zabaan aankhoun se hain gire hain chend qatray
wo samjh sake tu aansoo na samjh sakain tu paani

Charagh lay k terey shehar sey guzarna hai

Charagh lay k terey shehar sey guzarna hai
yeh tajarba bhi humain aik baar kerna hai

main woh pahar hun jo cut raha hun pani sey
yeh dil nahi hai merey aansuoun ka jharna hai

merey aziz main utri nadi main kia utroon
mujhay charhay huye derya ko paar kerna hai

bohat jadeed hun lekin yeh mera wirsa hai
usi qadeem gali sey mujhay guzarna hai

tumhain khabar nahi suraj bhi aks hai mera
tamam din ka mujhay intizam kerna hai

woh aik shakhs k jis ko ghazal bhi kehtey hain
usi k naam sey jeena, usi sey merna hai

Ager tum dhoundhna chaho, tou main tum ko, khizan-raseeda,

Ager tum dhoundhna chaho,
tou main tum ko,
khizan-raseeda,
be-saaya darakhton main milon ga,
jahan mehtab si mehroom

raaton ko khizan araam kerti hai,
jahan girte howe patton k matam main,
nawa ka saaz shamil hai,
meri awaaz shamil hai,
ager tum dhoundhna chaho,
tou main tum ko,
kisi weeran basti main,
kisi be-aab sehra main milon ga,
k main sehra ki urrti rait k zarron ka hissa houn,
koi bhooli kahani houn,
koi qissa purana houn,
kisi din tum jo aa niklo,
kisi weraan qariye main,
kisi aise kharabe main,
jahan koi nahi rehta,
jahan tareek raton ko,
khamoshi cheekh ker apne makinon ko bulati hai,
achanak is kharabe main,
kahin betha howa dekho,
kisi tanha musafir ko,
tou phir itna samjha lena k tum ne pa lia mujh ko,
ager tum dhoundna chaho...!!!

Na wo fiker hai na wo shayeri na qalam main wo taab-o-taab hai,

Na wo fiker hai na wo shayeri na qalam main wo taab-o-taab hai,
main likhoun to kaise ghazal likhoun mera zehn zair-e-ataab hai,

jo chaman main bad-khizan chali wo chaman ka husn bhi le gai,
na bahar misl-e-bahar hai na gulab misl-e-gulab hai,

jo naqaab rukh se juda howe nigah-e-harees bhi waa howe,
mere dil ko jis ki talash thi ye wahi to jaan-e-shabab hai,

jo na sajda-e-haaye-khuloos ho usay sajda kehna hai kub rawa,
k khuloos hi to namaz hai k khuloos main sawaab hai,

wahi intezar k roz-o-shab wahi justaju hai wahi thakan,
meri zindagi bhi nisab hai teri zindagi bhi nisab hai,

mera hum-nawa mera hum-safar sar-e-raah milta to hai magar,
na salaam hai na kalaam hai na sawal hai na jawab hai,

yahan aik lamha bhi jaber se kisi tour kum nahi doston.
K qadam qadam pe salaib hai k qadam qadam pa azab hai,

naye jang ki nayi aag phir kisi pal kahin na bharrak uthe,
wo azaan-e-aman to de koi jo faridi kaar-e-sawab hai...!!!

Dil ki baat labon per la ker ab tak hum dukh sehte hain

Dil ki baat labon per la ker ab tak hum dukh sehte hain,
hum ne suna tha is basti main dil wale bhi rehte hain,

beet gaya sawan ka maheena mousam ne nazren badli,
lekin in pyasi aankhon main ab tak aansu behte hain,

aik humen aawara kehna koi barra ilzaam nahi,
dunia wale dil walon ko aur bphat kuch kehte hain,

jinki khatir shaher bhi chhorra jin k liye badnaam howe,
aaj wahi hum se begane begane se rehte hain,

wo jo abhi rah-guzr se chaak-e-garebaan guzra tha,
us aawara deewane ko jalib jalib kehte hain...!!!

Tumhen aisa kyon lagta hai k hum khud dhoundte hain

Tumhen aisa kyon lagta hai
k hum khud dhoundte hain apne rishton ko,
suno janaan! Kabhi aisa nahi hota,
tumharay aur mere chahne se kuch nahi hota,
k sub rishte, sabhi bandhan kahin pehle se rakhe hain,
wo saare aane wale pal jo aakhir beet jaate hain,
jo hum se jeet jate hain,
wo sub pehle se rakhe hain,
samjh ker soch ker rakhe hain saare pal,
sabhi rishte, sabhi mousam...!
Mohabbat bhi to lamha hai, mohabbat bhi to mousam hai,
yeh kis k dil pe utray ga?
Kahan per kub khile ga? Kon si galion main mehke ga?
Na-jaane kon sa dil is k rangon main fana hoga?
Na-jaane kon sa dil is lamhe ko paate he
ghani tareek galion ki musafat se reha ho ga...?
Wazahat hum nahi kerte,
mohabbat hum nahi kerte,
k ye to jadugarni hai jo hum ko dhound leti hai,
humen pehchan leti hai,
kisi masroof kamre main parri bekaar cheezon se
ye hum ko chhaan leti hai,
kabhi jub zakhm khalta hai,
bason aur daftaron ki bheer main bhi
ye humare saath chalti hai,
lahu ki dhoop main chup chaap jalti hai...!
Ye hum main baandh deti hai naye mousam,
naye sooraj, naye taare aur khusboo,
ye hum ko sonp deti hai

koi aizaz jis ka maan rakhna farz hota hai,
ye hum per bojh banti hai,
ye hum per qarz hota hai,
ye chahat hum nahi kerte,
suno janaan! Mohabbat hum nahi kerte...!!!

Ye nahi k meri mohabbaton ko kabhi kharaaj nahi mila

Ye nahi k meri mohabbaton ko kabhi kharaaj nahi mila,
magar ittefaaq ki baat hai, koi hum-mizaaj nahi mila,

mujhe aisa baagh nahi mila, jahan gul hon meri pasand k,
jahaan zinda rehne ka shoq ho mujhe wo samaaj nahi mila,

kisi dastaan qadeem main, mere do chiraagh bhi dafan hain,
main wo shahzada bakht houn jise takht-o-taaj nahi mila,

main aik aisi mout houn jis k sog main kaam band nahi howe,
koi shor-e-girya nahi uthha kahin ehtejaj nahi mila,

koi aas ho koi ummeed ho kahin us ki koi naveed ho,
kayi din howe mera khush-khabar mera khush-mizaj nahi mila,

teri guftugo main nahi mili wo mithhaas pyaar k shahed ki,
so, qaraar jesa qaraar bhi mere dil ko nahi mila...!!!

Tumhare aur mere chahnY se kuch nahi hota

Tumhare aur mere chahny se kuch nahi hota,
k sub rishte sub he bandhan,
kahin pehle se rakhe hain,
wo saare aane wale pal,
jo aakhir beet jaate hain,
jo hum se jeet jaate hain,
wo sub pehle se rakhe hain,
samajh ker, soch ker rakhe hain,
saare pal, sub he rishte, sub he mausam...
Mohabbat bhi tou lamha hai,
mohabbat bhi tou mousam hai,
yeh kis k dil pe utre ga,
kahan per kub khule ga,
kon si galion main mehke ga,
najane kon sa dil us ke rangoon main fana ho ga,
najane kon is lamhe ko paate he,
kabhi taareek galion ki musafat se reha ho ga...
Wazahat hum nahi kerte...
Mohabbat hum nahi kerte...
K ye tou jadugarni hai jo hum ko dhoundh leti hai,
humain pehchan leti hai,
kisi masroof kamre main,
parri be-jaan cheezon se,
ye hum ko chhaan leti hai,
humari unglion k nakhunon main saans leti hai,
kabhi jub zakham khulta hai,
bason aur daftaron ki bhheerr main bhi,
ye humare saath rehti hai,
lahoo ki dhoop main chup chap jalti hai,
hina ki khushbuon main jub utarti hai,
humari jaan leti hai...!!!

Bicharrne ki aziyat ko Ager tum jaan’na chaho

Bicharrne ki aziyat ko

Ager tum jaan’na chaho......

Tou kuch pal ko,
zara apni ye saans rok ker dekho,

tumhen mehsoos ye ho ga k,
bicharrna........

Mout jesa hai...!!!

Bachpan k dukh kitne achhe hote thay,

Bachpan k dukh kitne achhe hote thay,
tub to sirf khilone toota kerte thay,

wo khushian jaane kesi khushian theen?
Titli k pur noch ker uchhla kerte thay,

paaon maar k baarish k paani main,
khud apni naao duboya kerte thay,

ab sochen to *** si parrti hai dil pe,
rait k gharonde bana ker torra kerte thay,

chhote thay to makr-o-fareb bhi chhote thay,
daana daal ker chirrya pakrra kerte thay,

apne jal jaane ka khof bhi na tha humain,
jub jalte shoulon ko tang kia kerte thay,

khushboo k urrte he kyon murjha jate hain phool?
Kitne bhole-pan se hum poocha kerte thay,

aaj bhi wo taabeerain lahoo lahoo rulati hain,
bachpan main jo hum sapne dekha kerte thay,

ab to aik aansoo bhi ruswa ker jaata hai,
bachpan main tou jee bhar k ro lia kerte thay...!!!

Humare baad chali rasm-e-dosti k nahi?

Humare baad chali rasm-e-dosti k nahi?
Hawa ki zad main koi shama phir jali k nahe?

Bichharr k jub bhi mile mujh se pochta hai wo shaqs,
k in dinon koi taaza ghazal howe k nahi?

Suna hai aam thi kal shab ko chaand ki bakhshish,
bujhe gharon main bhi utri hai chandni k nahi?

Nikal k jis se howa apna dard awara,
kisi k dil main wo mehfil bhi phir saji k nahi?

Wo rah-guzar jo andheron main saans leti thi,
tumhare naqsh-e-qadam se chamak uthi k nahii?

Diyar-e-hijr se aaye ho kuch kaho mohsin,
k sham-e-ghum bhi kisi morr per mili k nahi?

Meri banjar si aankhon se, koi dhoka nahi khao

Meri banjar si aankhon se,
koi dhoka nahi khao,

k tum kub dekh sakte ho...?
Mere dil main chhupe ghaao,

ae mere kum-sukhan saathi...!
Tumhain shayad khabar ho gi...?

Mohabbat main jo behte hain,
wo aansoo khusk hote hain...!!!

Be-simt tha safar bhi thakne lage thay pair bhi,

Be-simt tha safar bhi thakne lage thay pair bhi,
sur per thi dhoop mere jalti thi rah-guzar bhi,

kuch dastakon ka fun bhi bhoola howa tha mujh ko,
aur log sub muqaffil rakhne lage thay dar bhi,

kuch wahem sa tha dil main kuch hosla bhi kum tha,
badli howi thi logon us shaqs ki nazar bhi,

katna he tha shajar ko is mousam-e-khizaan main,
patte bhi jharr chuke thay aur tha wo be-samr bhi,

is shaher ko raza jee! Kese samajh lain beena,
mitti main mil gaye hain hum jese ba-hunr bhi

Tumhain mujh ko satana hai? Chalo jee bhar k tang ker lo

Tumhain mujh ko satana hai?
Chalo jee bhar k tang ker lo...
K ye bachon ki aadat hai,
khilone haath main hon to,
zara bhi dum nahi lete,
magar thehro.....
Kabhi aisa bhi hota hai,
isay bhi zehen main rakhna,
zara see be-dheyani main,
zara see be-khayali main,
inhain ziada satao to,
ye akser rooth jate hain,
khilone toot jate hain...!!!

Chashm-e-num teri rawani se alag rehta houn

Chashm-e-num teri rawani se alag rehta houn,
aag he aag houn paani se alag rehta houn,

ghum-shuda houn dhound mut mera naam-o-nishan,
main to her yaad-dehani se alag rehta houn,

tu mere tazkira-e-ishq main kyon rehta hai,
main to khud apni kahani se alag rehta houn,

phool se tark-e-talluq ko zamana guzra,
ab to main teri her nishani se alag rehta houn,

aik se hain mujhe sub hazir-o-ghayeb,
main tere alam-e-faani se alag rehta houn...!!!

Main shaam yaadon k jangalon main guzarta houn

Main shaam yaadon k jungalon main guzarta houn k kuch likhon ga,
ye sara shehar hi so chuka hai main jaagta houn k kuch likhon ga,

bahaar rutt k wo khwab sare jo meri palkon pe aa saje thay,
wo khwab aankhon main jal chuke hain main jal raha hon k kuch likhon ga,

main pichle mousam ki barishon ko phir apni aankhon main la raha houn,
k ab k sawan ki rutt main main bhi ye sochta hon k kuch likhon ga,

ajeeb rutt hai judaiyon ki azaab din hain azaab raatain,
main chund mehmil se lafz likh ker ye sochta hon k kuch likhon ga,

main lafz palkon se chun raha hon main khwab kaghaz pe bun raha hon,
main teri aahat bhi sun raha hon main janta hon k kuch likhoun ga,

wo sare raste k jin pe hum tum chaley thay chahat k sung aatif,
main ab jo un per kabhi gaya tou ye janta houn k kuch likhon ga...!!!

Hawayen lout aai hain...

Hawayen lout aai hain
agercha main samjhta tha
k koi raasta louta nahi kerte
na darya murr k aate hain
na shaamen wapsi ki soch per emaan rakhti hain
agercha main samjhta tha
k lamhe to faqat aage he barrhte hain
magar afsurdagi ki is purani roo se lagta hai
mohabbat main to kuch bhi tay nahi hota
mohabbat kub kisi bhi tay-shuda raste pe chalti hai
meri afsurdagi chupke se mere kaan main kehti hai
farhat sochte kia ho
ye dekho
ye bhala kia hai
zara aankhen to kholo
Neend main doobe howe gham ki

Hawayen lout aai hain...!!!

Suno, naraz ho hum se? Magar hum wo hain jin ko manana bhi nahi aata,

Suno,
naraz ho hum se?
Magar hum wo hain jin ko manana bhi nahi aata,
kisi ne aaj tak hum se mohabbat jo nahi ki hai,
mohabbat kis tarah hoti hai?
Humare sheher k itraf main to,
sakht pehra tha khizaon ka,
aur is sheher-e-pareshaan ki faseelain,
zard bailon se ladi theen,
aur in main na khusboo thi na phool tum jesa,
mahek uthay humara deeda-o-dil jis ki qurbat se,
hum aise sheher ki sunsaan galion main,
kisi sookhe howe veeran patte ki tarah se thay,
k jub zalim hawa hum per qadam rakhti,
to us k paon k neeche humara dum nikal jaata,
magar patjhhar k wo mousam,
suna hai tal chuka hai ab to,
magar jo haar hona thi,
so wo ho chuki hum ko,
suno,
haare howe logon se to rootha nahi kerte...!!!