Bichhda kahan hai yaar humara safar
mein hai,
Ojhal nahin hua hai abhi tak nazar mein hai.
Ojhal nahin hua hai abhi tak nazar mein hai.
Ek haadse ne chheen liya hai usey
magar,
Tasweer uski phir bhi meri chashm-e tarr mein hai.
Tasweer uski phir bhi meri chashm-e tarr mein hai.
Woh toh likha ke laayi hai kismat
mein jaagna,
Maa kaise so sakegi ki beta safar mein hai.
Maa kaise so sakegi ki beta safar mein hai.
Khud shaakh-e gul ko toot’te dekha
hai aankh se,
Kis darza hausla abhi boorhe shajar mein hai.
Kis darza hausla abhi boorhe shajar mein hai.
Tanha mujhe kabhi na samjhna mere
hareef,
Ek bhai mar gaya hai magar ek ghar mein hai.
Ek bhai mar gaya hai magar ek ghar mein hai.
Duniya se aakhirat ka safar bhi ajeeb
hai,
Woh ghar pahunch gaya hai badan raahguzar mein hai.
Woh ghar pahunch gaya hai badan raahguzar mein hai.
Sab ordh lenge mitti ki chaaddar ko
ek din,
Duniya ka har charaagh hawa ki nazar mein hai. !!
Duniya ka har charaagh hawa ki nazar mein hai. !!
No comments:
Post a Comment
My Sweet Visitor, Comments are always appreciated. If you have any suggestion to make this website more better then please share your suggestion here......... Keep visiting babarhussain.com