Welcome to the world of poetry

Join us for Awesome Poetry Collection

Click Here to Join

Friday 29 January 2016

Aap kahein aur hum na aayein Aise to halaat nahin

Aap kahein aur hum na aayein
Aise to halaat nahin
Manzil pe pahunchenge kaise
Aapka jab tak saath nahin

Aap kahein aur hum na aayein
Aise to halaat nahin

Chaahane waalon ki aaj duniya mein
Chaahane waale aa gaye
Ulfat ki may aankhon se lo
Aaj pilaane aa gaye
Aap piyein aur aap na jhoomein
Aapke bas ki baat nahi

Kasaa hua hai teer husn ka
Zara sambhal ke rahiyega
Nazar nazar ko maaregi
To kaatil hamein na kahiyega
Chaal chali hai soch ke humne
Is khel mein apni maat nahin

Paas aake yeh aapke
Hamein hone laga ehsaas hai
Dum hai to bas aapke dum se
Aap hi se saans hai
Bayaan karein jo haal-e-dil ko
Aise koi jazbaat nahin

Aap kahein aur hum na aayein
Aise to halaat nahin

Manzil pe pahunchenge kaise
Aapka jab tak saath nahin.

No comments:

Post a Comment

My Sweet Visitor, Comments are always appreciated. If you have any suggestion to make this website more better then please share your suggestion here......... Keep visiting babarhussain.com