Welcome to the world of poetry

Join us for Awesome Poetry Collection

Click Here to Join

Friday 29 January 2016

Na wo fiker hai na wo shayeri na qalam main wo taab-o-taab hai,

Na wo fiker hai na wo shayeri na qalam main wo taab-o-taab hai,
main likhoun to kaise ghazal likhoun mera zehn zair-e-ataab hai,

jo chaman main bad-khizan chali wo chaman ka husn bhi le gai,
na bahar misl-e-bahar hai na gulab misl-e-gulab hai,

jo naqaab rukh se juda howe nigah-e-harees bhi waa howe,
mere dil ko jis ki talash thi ye wahi to jaan-e-shabab hai,

jo na sajda-e-haaye-khuloos ho usay sajda kehna hai kub rawa,
k khuloos hi to namaz hai k khuloos main sawaab hai,

wahi intezar k roz-o-shab wahi justaju hai wahi thakan,
meri zindagi bhi nisab hai teri zindagi bhi nisab hai,

mera hum-nawa mera hum-safar sar-e-raah milta to hai magar,
na salaam hai na kalaam hai na sawal hai na jawab hai,

yahan aik lamha bhi jaber se kisi tour kum nahi doston.
K qadam qadam pe salaib hai k qadam qadam pa azab hai,

naye jang ki nayi aag phir kisi pal kahin na bharrak uthe,
wo azaan-e-aman to de koi jo faridi kaar-e-sawab hai...!!!

No comments:

Post a Comment

My Sweet Visitor, Comments are always appreciated. If you have any suggestion to make this website more better then please share your suggestion here......... Keep visiting babarhussain.com