Welcome to the world of poetry

Join us for Awesome Poetry Collection

Click Here to Join

Saturday 30 January 2016

Behtay huway dariya ki rawaani ko samajhta

Behtay huway dariya ki rawaani ko samajhta
lagti jo tujhe piyaas to paani ko samajhta

Karna tha tujhe ishq to phir ishq se pehlay
behtar tha muhabbat k ma'aani ko samajhta

Duniya na kabhi tootnay pindaar-e-muhabbat
ay kaash tu khud meri kahaani ko samajhta

Hijrat ka sabaq mujh ko wohi dene laga hai
jo shakhs nahi naqal-makaani ko samajhta

Rehta na kabhi bhi wo mery khuwaab se bahir
ek baar jo jazbaat-e-jawaani ko samajhta

Aata jo hunar mujh ko kharidaari ka main bhi
bazaar-e-zamaana ki giraani ko samajhta

Gambhir-e-masaa'il mein shab-o-roz k
fursat thi kisay Raat ki raani ko samajhta

No comments:

Post a Comment

My Sweet Visitor, Comments are always appreciated. If you have any suggestion to make this website more better then please share your suggestion here......... Keep visiting babarhussain.com