Khaloos E
Dil Kii Roshnaaii Ley Kar Ba-Deeda E Tar Hussain (R.A) Likhna
Tum Aisa
Karna Kitaab E Dil Kay Wraq Wraq Par Hussain (R.A) Likhna
Haroof
Khusboo Kay Phool Ban Kar Tumharey Seenay Mein Khil Uthien Gey
Tum Aisa
Karna K Apni Aankhon Pey Apney Lab Par Hussain (R.A) Likhna
Yeh Pair
Sarey Yeh Sab Prinday Adab Sey Sajda Karien Gey Un Ko
Tum Aisa
Karna K In Hawaaon Kii Jhaalron Par Hussain (R.A) Likhna
Tumharey
Tareek Manzron Mein Ujaalien Phootien Gey Noor Ban Kar
Tum Aisa
Karna K Apney Ghar Mein Darood Parh Kar Hussain (R.A) Likhna
Kasheed Kar
Key Gulaab Ka Arq Fizza Mein Peham Chirakna Us Ko
Phir In
Sunehrii Fizaaon Par Roshnii Ka Paikar Hussain (R.A)Likhna
Hussain
(R.A) Parh Kar Phir Usko Likhna Phir Usko Likh Kar Tum Aisa Karna
K Aaj Tak
Tum Nay Jo Bhi Likha Tum Us Ka Mehwar Hussain (R.A)Likhna
Azaan Dien
Gii Tumhaari Aankhien Namaz Misray Adda Karien Gii
Tum Aisa
Karna K Raah E Haq Mein Hussain (R.A) Parh Kar Hussain
(R.A) Likhna
Wo Barchiyan
Wo Chamaktey Khanjar Wo Taptey Sehra Pukaartey Hain
Tum Aisa
Karna K Karbala Kay Badan Pey Ja Kar Hussain (R.A) Likhna
Agar Kitabat
Ka Shoq Ho To Kitaab E Sabr O Raza Mein Mohsin
Jahaan
Shaheedon Ka Naam Likhna To Sab Sey Uper Hussain (R.A) Likhna
No comments:
Post a Comment
My Sweet Visitor, Comments are always appreciated. If you have any suggestion to make this website more better then please share your suggestion here......... Keep visiting babarhussain.com