Welcome to the world of poetry

Join us for Awesome Poetry Collection

Click Here to Join

Friday 29 January 2016

Kabhi main aalam-e-imkaan se guzar jaata houn,

Kabhi main aalam-e-imkaan se guzar jaata houn,
aur kabhi jism ki daldal main utar jaata houn,

ye bhara sheher kabhi mujh main simat aata hai,
kabhi main sheher main her gaam bikhar jaata houn,

sheher se rehti hai aikk jang musalsal din bhar,
sheher jub haanpne lagta hai to ghar jaata houn,

is kashmakash main he milta hai nishaan hone ka,
jub bhi takmeel ka ehsaas ho mar jaata houn,

le urri roshni he jurrat-e-beenaayi meri,
ab to main din k ujale se bhi dar jaata houn,

apne zarre se he nazar aate hain ta-hud-e-nazar,
aik zara sur to jhukaon to bikhar jaata houn,

aik he aankh main apni he kahani dekhoun,
apna chehra nazar aata hai jidher jaata houn,

sheher sajate hain guzar-gahen chamak uthti hain,
apne he khoun main doobun to sanwar jaata houn,

khulta he nahi mout ka hangaam hai kia,
waqt ruk jaata hai ya main he theher jaata houn...!!!

No comments:

Post a Comment

My Sweet Visitor, Comments are always appreciated. If you have any suggestion to make this website more better then please share your suggestion here......... Keep visiting babarhussain.com