Chalo phir dhoond
laayen hum,
usi masoom bachpan ko,
usi masoom bachpan ko,
Unhi masoom khushion
ko,
Unhi rangeen lamhon
ko,
Jahan gham ka pata na
tha,
Jahn dukh ki samajh
na thi,
Jahan bs muskurahat
thi,
baharen hi baharen theen,
baharen hi baharen theen,
Chalo phr dhoond
layen hum,
usi masoom bachpan ko,
usi masoom bachpan ko,
K jb saawan barasta
tha,
to us kaaghaz ki kashti ko,
banana aur dubo dena,
boht acha sa lgta tha,
to us kaaghaz ki kashti ko,
banana aur dubo dena,
boht acha sa lgta tha,
Aur is duniya ka hr
chehra,
boht sacha sa lgta tha,
boht sacha sa lgta tha,
Chalo phir dhoond
layen hm,
usi masoom bchpan ko..
usi masoom bchpan ko..
No comments:
Post a Comment
My Sweet Visitor, Comments are always appreciated. If you have any suggestion to make this website more better then please share your suggestion here......... Keep visiting babarhussain.com