Welcome to the world of poetry

Join us for Awesome Poetry Collection

Click Here to Join

Wednesday 23 December 2015

Mera Payambar Azeem tar hai




Mera payambar azeem tar hai
kamaal-e-khallaq zaat uski
jamaal-e-hasti hayaat uski
bashar nahi azmat-e-bashar hai
mera payambar azeem tar hai

woh sharah-e-ehkaam-e- haq ta'ala
woh khud he qanoon... Khud hawala
woh khud he qur'an... Khud he qari
woh aap mehtaab aap haala
woh aqs bhi.. Aur aaina bhi
woh nukta bhi ...khat bhi ...da'ira bhi
woh khud nazaara hai.. Khud nazar hai
mera payambar azeem tar hai

sha'oor laaya kitab laaya
woh hashr tak ka nisaab laya
diya bhi kaamil nizaam us ne 
aur aap he inqualaab laya
woh ilm ki aur amal ki had bhi 
azal bhi uska hai aur abad bhi
woh har zamane ka raahbar hai
mera payambar azeem tar hai

bas aik mashkeeza ik chatai
zara se jau aik char paayi
badan pe kapde bhi vaajibi se
na khush libasi na khush qaba'i
yehi hai kul kainaat jiski
gini na jaye sifaat jiski
wohi to sultaan-e-bahr-o-bar hai
mera payambar azeem tar hai

jo apna daaman lahoo se bhar le
museebatein apni jaan par le
jo tegh zan se lade nihatta
jo ghaalib aakar bhi sulha kar le
aseer dushman ki chaah mein bhi
mukhalifon ki nigaah mein bhi
ameen hai sadiq hai motabar hai
mera payambar azeem tar hai

jiss'e shah-e-shash jehat dekhun
usay ghareebon ke saath dekhun
inan-e-kaun-o-makan jo thaamey
kudal par bhi woh haath dekhun
lage jo mazdoor shah aisa
na zar na dhan sarbarah aisa
falak nasheen ka zameen pe ghar hai
mera payambar azeem tar hai

woh khalwaton mein bhi saf ba saf bhi
woh iss taraf bhi woh uss taraf bhi
mahaaz o mimbar thikaane us ke
woh sar ba sijda bhi sar ba saf bhi
kahin woh moti ..kahin sitaara
woh jame-ee-yat ka ista'ara
woh subh-e-tahzeeb ka gajar hai
mera payambar azeem tar hai


No comments:

Post a Comment

My Sweet Visitor, Comments are always appreciated. If you have any suggestion to make this website more better then please share your suggestion here......... Keep visiting babarhussain.com