Welcome to the world of poetry

Join us for Awesome Poetry Collection

Click Here to Join

Tuesday 19 April 2016

Taluq Is Tarha Tora Nahi Kertay Ke Phir Say Jorna Dushwar Ho Jaye

Taluq Is Tarha Tora Nahi Kertay
Ke Phir Say Jorna Dushwar Ho Jaye
Hayat Ik Zehr Main Doobi Howe Talwar Ho Jaye

Muhabbat Is Tarha Chora Nahi Kertay

Khafa Houney Ki Rasmain Hain
Bigarnay K Tareekay Hain
Rawaj-O-Rasm Tark-E-Dosti Per So Kitabain Hain
Rawadari Ka Hargiz Rasta Chora Nahi Kertay

Taluq Is Tarha Tora Kertay

Kabhi Bulbul Gulooun Ki Khamoshi Say Rooth Jati Hay
Per Aglay Sal Sab Kuch Bhool Ker Phir Lot Ati Hay
Sabhi Bhanwrooun Ko Gul Harjai Kehtay Hain
Magar Thori Si Zidd K Bad Bandhan Khol Detay Hain
Kabhi Podooun Say Pani Door Ho Jaye
To Hamsaya Darakhtooun K Hath Paighamat Jatay Hain

Muhabbat Main Sabhi Ik Dosray Ko Azmatay Hain

Mager Aisa Nahi Kertay
Ke Har Umeed Har Imkan Mit Jaye
Kahan Tak Khainchni Hay Dor Ye Andaza Rakhtay Hain

Hamesha Char Deewari Main Ik Darwaza Rakhtay Hain

Judai Mustaqil Ho Jaye
To Ye Zindagi Zindan Ho Jaye
Ager Khushboo Hawaooun Say Marasim Munqata Ker Lay

To Khud Main Doob Ker Be-Jan Ho Jaye

Sunoo
Jeenay Say Moun Mora Nahi Kertay
Muhabbat Is Tarha Chora Nahi Kertay

Sunoo Jana
Ager Naraz Ho To Main Manati Hooun
Magar Dekho
Kisi Bhalay Shaiyer Nay
Shaiyed Apnay Lafzooun Main Kaha Tha Keh

Ager Ham Na Rahay To Phir Koun Tum Ko Manaye Ga

Chalo Ab Man Bhi Jao Na
Ke Ranjish Rabtooun Ko Munqata Kernay Main Mahir Hay

Sunoo Jana
Ager Naraz Ho To Main Manati Hooun

No comments:

Post a Comment

My Sweet Visitor, Comments are always appreciated. If you have any suggestion to make this website more better then please share your suggestion here......... Keep visiting babarhussain.com