Welcome to the world of poetry

Join us for Awesome Poetry Collection

Click Here to Join

Saturday 30 April 2016

Nakam Nhe Nashad Bhi Nahi
Mein Qas Bhi Nahe Farhad Bhi Nahe

Puunu Bhi Nahe Ranjha Bhi Nahe
Wamik Bhi Nahe Mirza Bhi Nahe

Wo Loog Toh Bas Afsana Hain
Is Shidat Se Begana Hain

Mein Zinda Ek Haqeqat Hun
Ser Ta Pa Jaba E Ulfat Hun

Mein Tum Ko Dekh Kar Jeeta Hun
Her Lamha Tum Pe Marta Hun

Mein Aisi Muhabbat Karta Hun
Tum Kesee Muhabbat Karte Ho?

Tum Jahan Pe Beith K Jate Ho
Jis Cheez Ko Hath Lagaty Ho

Mein Wahin Pe Beith Rehta Hun
Is Cheez Ko Chuta Rehta Hun

Mein Aisee Muhabbat Karta Hun
Tum Kesee Muhabbat Karte Ho

Tum Jis Se Hans K Milte Ho
Mein Usko Dost Banata Hun

Tum Jis Raste Pe Chalte Ho
Mein Is Raste Se Ata Jata Hun

Mein Aisee Muhabbat Karta Hun
Tum Kesee Muhabbat Karte Ho

Tum Jioun Ko Dekhte Rehte Ho
Wo Khoab Serhane Rakhta Hun

Mein Tum Se Milne Julne K
Kitne Hi Bahane Rakhta Hun

Mein Aisee Muhabbat Karta Hun
Tum Kesee Muhabbat Karte Ho?

Kuch Khoab Saja Kar Ankhun K
Palkun Se Moti Chunta Hun

Koi Lams Agar Cho Jay Toh
Mein Pehrun Tum Ko Sochta Hun

Mein Aisee Muhabbat Karta Hun
Tum Kesee Muhabbat Karte Ho?

Jis Bagh Mein Subah Ko Jati Ho
Jis Sabze Pe Tum Chalti Ho

Jo Shakh Tumhain Cho Jati Hai
Jo Khushboo Tum Ko Bhati Hai

Wo Oos Tumhare Chehre Per
Jo Qatra Qatra Girti Hai

Wo Titlee K Phulooun Ko
Jo Tum Se Milne Ati Hai

Jo Tum Ko Chooune Ati Hai
In Sab K Nazuk Jazbu Mein

Mere Dil Ki Dhahrkan Basti Hai
Mere Rooh Bhi Shamil Rehti Hai

Tum Pass Raho Yeh Duur Raho
Nazru Mein Samai Rehti Ho

Mein Tum Ko Takta Rehta Hun
Mein Tum Ko Sochta Rehta Hun

Mein Aisee Muhabbat Karta Hun
Tum Kesee Muhabbat Karte Ho?

Mein Aisee Muhabbat Karta Hun
Tum Kesee Muhabbat Karte Ho????

No comments:

Post a Comment

My Sweet Visitor, Comments are always appreciated. If you have any suggestion to make this website more better then please share your suggestion here......... Keep visiting babarhussain.com