Welcome to the world of poetry

Join us for Awesome Poetry Collection

Click Here to Join

Tuesday 19 April 2016

Sham E Gham Jab Bikhar Gaiee Hoo Gee

Sham E Gham Jab Bikhar Gaiee Hoo Gee
Janay Kis Kis Kay Ghar Gaiee Hoo Gee

Itni Larzan Na Thee Chiragh Ke Loo
Apnay Saye Say Dar Gayee Hoo Gee

Chandini Ik Shab Ke Mehuman Thee
Subah Hootay Hee Mar Gayee Hoo Gee

Dair Tuk Woh Khafa Rahay Mujh Say
Door Tuk Yeah Khabar Gayee Hoo Gee

Aik Darya Ka Rukh Badaltay Hee
Aik Nadee Phir Utar Gayee Hoo Gee

Jiss Tarhan Woh Safar Pay Nikla Tha
Saree Rounaq Udhar Gayee Hoo Gee

Rat Souraj Ko Dhooundnay Kay Liyeah
Ta Ba Hud E Sehar Gayee Hoo Gee

Mairee Yadooun Kee Dhoop Chaooun Mein
Uss Ke Sourat Nikhar Gayee Hoo Gee

Ya Taluq Na Nibh Saka Uss Say
Ya Tabiyat Hee Bhar Gayee Hoo Gee

Tairi Pal Bhar Ke Dosti Mohsin
Uss Ko Bad`Nam Kar Gayee Hoo Gee

No comments:

Post a Comment

My Sweet Visitor, Comments are always appreciated. If you have any suggestion to make this website more better then please share your suggestion here......... Keep visiting babarhussain.com