Welcome to the world of poetry

Join us for Awesome Poetry Collection

Click Here to Join

Tuesday 19 April 2016

Kuch Dostun Ka Karam Kam Kar Gaya

Kuch Dostun Ka Karam Kam Kar Gaya
Manzil Se Fasla Humain Gumnam Kar Gaya

Khush Bakhti-E-Naseeb Ka Tara Ajeeb Tha
Roshan Howa Tou Zindagi Ki Sham Kar Gaya

Kuch Zindagi Guzarne Ka Dhang Tha Mukhtilif
Kuch Nam Hum Ko Bewaja Bednam Kar Gaya

Wo Shaks Apne Ishq Ki Qimat Na De Saka
Aur Hum Ko Rastay Mein Hi Neelam Kar Gaya

Sang Apny Le Gaya Meri Duniya Ki Roshni
Aur Lamhe Be Basi K Mere Nam Kar Gaya

Farooqi Apni Oot Mein Chupty Rahao Gay Tum
Karna Tha Jis Ne Kam Sar-E-Am Kar Gaya

No comments:

Post a Comment

My Sweet Visitor, Comments are always appreciated. If you have any suggestion to make this website more better then please share your suggestion here......... Keep visiting babarhussain.com