Hui hai shaam to aankhon men bas gaya
phir tu
Kahaan gaya hai mere shahr ke
musaafir tu
Bahut udaas hai ik shakhs tere jaane
se
Jo ho sake to chalaa aa usi ki
khaatir tu
Meri misaal ki ik nakhl-e-
khushk-e-saharaa houn
Tera khayaal ki shaakh-e- chaman ka
taair tu
Main jaanta houn ke duniya tujhe
badal degi
Main maanta houn ke aisa nahin
bazaahir tu
Hansi khushi se bichhar jaa agar
bichharna hai
Ye har maqaam pe kya sochta hai
aakhir tu
Faraz tu ne use mushkilon men daal
diya
Zamaana saahib-e-zar aur sirf shaayar
tu
No comments:
Post a Comment
My Sweet Visitor, Comments are always appreciated. If you have any suggestion to make this website more better then please share your suggestion here......... Keep visiting babarhussain.com