Allah agar
taufeeq na day, insaan ke bas ka kaam nahi
Faizan-e-Muhabbat
aam sahi, irfan-e-muhabbat aam nahi
Ya rab ye
maqam-e-ishq hai kya, go deedah-o-dil nakaam nahi
Taskeen hai
aur taskeen nahi, aaram hai aur aaram nahi
Kyun
mast-e-sharab-aiash-o-tarab, taklieef-e-tawajjoh farmaayen?
Aawaz-e-shikist-e-dil
hi to hai, aawaz-e-shikist-e-jaam nahi
Aata hai jo
bazm-e-jaana mein, pandaar khudi ke tod ke aa
Aye
hosh-o-khirad ke deewane, yan hosh-o-khirad ka kaam nahi
Ishq aur
gawar khud karlay, bay shart shikist-e-faash apni??
Dil ki bhi
kuch un ke saazish hai, tanha ye nazar ka kaam nahi
Zaahid tere
in sajdon ke iwaz sab kuch ho mubarak tujh ko magar
Wo sajdah
yahan hai kufr-e-jabeen, jo sajdah ke khud in'aam nahi
Ek
shahid-e-ma'ni wo surat ke milne ki tamanna sab ko hai
Hum is ke na
milne par hin fida lekin, yeh mazaq-e-aam nahi
No comments:
Post a Comment
My Sweet Visitor, Comments are always appreciated. If you have any suggestion to make this website more better then please share your suggestion here......... Keep visiting babarhussain.com