Aah Jaan soz
ki mahrumi-e-taseer na dekh
Ho hi
jaayegi jeene ki koi tadbeer na dekh
Hadisay aur
bhi guzre hain teri ulfat ke siva
Haan mujhe
dekh, ab meri tasveer na dekh
Dekh zindaan
se paray rang-e-chaman, josh-e-bahar
Raqs karna
hia to phir paaun ki zanjeer na dekh
Yeh zara dur
pe manzil, ye ujala, ye sukun
Khwab ko
dekh abhi khwab ki ta'beer na dekh
Kuch bhi ho
phir bhi dukhe dil ki sada hun nadaan
Meri baaton
ko samajh talkhi-e-taqdeer na dekh
No comments:
Post a Comment
My Sweet Visitor, Comments are always appreciated. If you have any suggestion to make this website more better then please share your suggestion here......... Keep visiting babarhussain.com