Jalte Hountoun Pe Tabassum Jo
Machalta Hai Kabhi
Zakham Dhul Jate Hain Sawan Jo Barasta Hai Kabhi
Main Ne Sochoun Main Tarashay Hain Khad-O-Khal Tere
Mere Baray Main Bata Tum Ne Bhi Socha Hai Kabhi
Charhtay Suraj Se Kabhi Tum Ne Milayi Hain Nazren
Tum Ne Kirnoun Ki Taraf Ghor Se Dekha Hai Kabhi
Log Pathar Main Khilate Hain Umeedoun Ke Gulab
Yun Bhi Mumkin Hai Bata Aisa Bhi Hota Hai Kabhi
Tum Ne Samjha Tha Ke Main Lot Ke A Jaounga
Ankh Se Bichra Hua Ashk Bhi Lota Hai Kabhi

No comments:
Post a Comment
My Sweet Visitor, Comments are always appreciated. If you have any suggestion to make this website more better then please share your suggestion here......... Keep visiting babarhussain.com