Kamaal-e-aashiqui
har shakhs to haasil nahi hota
Hazaaron
mein koi majnoon koi farhaad hota hai
Jab
yaad kisi ki aati hai, jab zikr-e-baharan hota hai
Aankhon
se tapaktay hain aansu, daaman pe charagaan hota hai
Ehsaan
jatanay lagta hai, jis waqt koi ehsan karay
Har
lafz namak ban jata hai, har zakhm namakdaan hota hai
Jab
zaahid-o-maikash bhuule se jaate hain mukhaalif simt kahin
Maikhaane
sajaaye jaate hain, masjid mein charaghaan hota hai
Jab
maslihatein chhaa jati hain, arbab-e-chaman ke zahnon par
Ta'meer
ke pahlu mein pinhaan takhreeb ka samaan hota hai
Us
gham ki latafat ko yaro kya ahl-e-khirad bhi samjhenge
Wo
gham jo tabassum mein dhal ka chahray se numayan hota hai
Aye
noor wo apni kashti ko har waqt sambhaale rahte hain
Maujon
ki ravani se jin ko andaza-e-toofan hota hai
No comments:
Post a Comment
My Sweet Visitor, Comments are always appreciated. If you have any suggestion to make this website more better then please share your suggestion here......... Keep visiting babarhussain.com