Welcome to the world of poetry

Join us for Awesome Poetry Collection

Click Here to Join

Monday, 22 February 2016

Usey kehn, shab-e-tanhai, Wo jo bare sakoon se so raha hai



Usey kehna
shab-e-tanhai
Wo jo bare sakoon se so raha hai
usey kehna k
raat ka pichla pehar hai
aur hum abhi jagte hain
humari aankhon se neend koson door hai
humare lab abhi tak us k naghme gungunate hain
humara zehan ab bhi us ki batein sochta hai to
kabhi hum huns se dete hain
kabhi jee bhar k rote hain
shab-e-tanhai ki yakh basta hawao
usey kehna
hum ab bhi bawazo ho ker
us ka naam lete hain
usey kehna
Ya apna naqsh dho jaye
ya phir se apna ho jaye

No comments:

Post a Comment

My Sweet Visitor, Comments are always appreciated. If you have any suggestion to make this website more better then please share your suggestion here......... Keep visiting babarhussain.com