Zikr-e-shab-e-firaq
se wehshat usye bhi thi
Meri trah
kisi se mohabat usye bhi thi
Mujh ko bhi
shoq tha naye chehron ki deed ka
Rasta badal
k chalne ki aadat usye bhi thi
Us raat dair
tk wo raha mahv-e-guftugoo
Masroof main
bhi kam tha fraghat usye bhi thi
Sunta tha wo
bhi sab se purani kahaniyan
Shayad
rafaqaton ki zaroorat usye bhi thi
Mujh se
bichar k shehr mein ghul mil gaya wo shakhs
Halan-keh
shehr bhar se rafaqat usye bhi thi
Wo mujh se
barh k zabt ka aadi tha je gaya
Wrna hr aik
sans qayamat usye bhi thi
Tanha hoa
safr se to mujh pr khula ye bhed
Saaye se
pyar dhoop se nafrat use bhi thi
No comments:
Post a Comment
My Sweet Visitor, Comments are always appreciated. If you have any suggestion to make this website more better then please share your suggestion here......... Keep visiting babarhussain.com