Dost ban kar bhi nahin sath nibhane
wala
Wohi andaz hai zalim ka zamane wala
Ab ise log samajhate hain giraftar
mera
Sakht naadim hai mujhe daam mein lane
wala
Kya kahen kitne marasim the hamare is
se
Wo jo ik shakhs hai munh pher ke jane
wala
Tere hote hue aa jati thi sari duniya
Aaj tanha houn to koi nahi aaney wala
Muntazir kis ka houn tooti hui dehleez
pe main
Kon aayega yahan kon hai aane wala
Maine dekha hai baharon mein chaman
ko jalte
Hai koi khwaab ki taabeer bataane
wala
Kya khabar thi jo meri jaan mein
ghula hai itna
Hai wohi mujhko sar-e-daar bhi laane
wala
Tum takalluf ko bhi ikhlaas samajhte
ho faraz
Dost hota nahin har haath milane wala
No comments:
Post a Comment
My Sweet Visitor, Comments are always appreciated. If you have any suggestion to make this website more better then please share your suggestion here......... Keep visiting babarhussain.com