Wohi Ishq Jo Tha Kabhi Junoon Ussay
Roz-Gaar Bana Diya
Kahin Zakhm Bech K Aa Gaye Kahin Sher Koi Suna Diya
Wohi Hum K Jin Ko Aziz The Dur-E-Abroo Ki Chamak Dhamak
Yahi Hum K Roz-E-Siyah Mein Zar-E-Dagh-E-Dil Bhi Luta Diya
Kabhi Youn Bhi Tha K Hazaar Teer Jigar Me Thy To Dukhi Na Thy
Magar Ab Ye Kisi Mehrabaani K Tapak Ne Bhi Rula Diya
Kabhi Khud Ko Toot'tay Phot'tay Bhi Jo Dekhtay To Hazeen Na Thy
Magar Aaj Bhi Khud Pe Nazar Pari To Shikast-E-Jaan Ne Hila Diya
Koi Nama Dilbar-E-Shehr Ka K Ghazal Gari Ka Bahana Ko
Wohi Harf-E-Dill Jisay Muddaton Se Hum Ahl-E-Dil Ne Bhula Diya

No comments:
Post a Comment
My Sweet Visitor, Comments are always appreciated. If you have any suggestion to make this website more better then please share your suggestion here......... Keep visiting babarhussain.com