Uth Meri
Jaan Mere Saath Hi Chalna Hai Tjhy
Qalb-e-Mahool
Mein Larzaann Sharar-e-Jang Hain Aj
Hously Waqt
Ke Aur Zeest Ke Yak-rang Hain Aj
Aab-geenon
Mein Tapaan Walwale-e-Sang Hain Aj
Hussn Aur
Ishq Ham Aawaaz-o-Hum-ahang Hain Aj
Jis Mein
Jalta hon Usi Aag Mein Jalna Hai Tjhy
Zindagi jahd
Mein hai, Sabar ke Qaboo meN nahiN
nabz e hasti
ke lahu kaanpte aansoo Mein Nahin
Udne khule
Mein Hai Nakhat, Kham-e-Gesoo Mein Nahin
Jannat Ek
Aur Hai Jo Mard Ke Pahlu Mein Nahin
Us Ki Aazad
Ravish Par Bhi Machalna Hai Tjhy
Qadar Abtak
Teri Tareekh Ne Jani Hi Nahin
tujh Mein
Sholay Bhi Hain Bas Ashk Fashani Hi Nahin
Tu Haqeqat
Bhi Hai Dilchasp Kahani Hi Nahin
Teri Hasti
Bhi Hai Ek Cheez Jawani Hi Nahin
Apni Tareekh
Ka Unwaan Badalna Hai Tjhy
Todd Kar
Rasm Ke But Band-e-Qadamat Se Nikal
zoof-e-Ishrat
Se Nikal Vaham-e-Nazakat Se Nikal
Nafs Ke
Kheenche Howe Halqa-e-Azmat Se Nikal
Qaid Ban
Jaye Mohabbat To Mohabbat Se Nikal
Raah Ka
Khaar Hi Kya Gul Bhi Kuchalna Hai Tjhy
Todd Ye Aazm
Shikan Silsila-e-Pand Bhi Todd
Teri Khatir
Hai Jo Zanjeer Wo Saugand Bhi Todd
Tooq Ye Bhi
Hai Zamma-rud Ka Gulu-Band Bhi Todd
Todd
Paimana-e-Mardan-e-Khiradmand Bhi Todd
Ban Ke
Tufaan Chalakna Hai Ubalna Hai Tjhy
Tu
Falatoon-o-Arastu Hai To Zohra Parveen
Tere Qabze
Mein Hai Gardoon Teri Thokar Mein Zameen
Han Utha
Jald Utha Paa-e-Muqadar Se Jabeen
Main Bhi
Rukne Ka Nahin, Waqt Bhi Rukne Ka Nahin
Ladd-Khada-Yegi
Kahan Tak Ke Sanbhalna Hai Tjhy
No comments:
Post a Comment
My Sweet Visitor, Comments are always appreciated. If you have any suggestion to make this website more better then please share your suggestion here......... Keep visiting babarhussain.com