Tu Ke Na
Waqif Hai Adab-e-Shehnshai Thi
Raqs Zanjeer Pehan Kar Bhi Kia Jata Hai
Tujh Ko Inkaar Ki Jurat Jo Howi To Kun Kar
Saya-e-Shah Main Istarah Jiya Jata Hai
Raqs Zanjeer Pehan Kar Bhi Kia Jata Hai
Tujh Ko Inkaar Ki Jurat Jo Howi To Kun Kar
Saya-e-Shah Main Istarah Jiya Jata Hai
Ahl-e-Sarwat
Ki Yeh Tajveez Hai, Sar-Kash Larki
Tujh Ko Darbar Main Korron Se Nachaya Jai
Tujh Ko Darbar Main Korron Se Nachaya Jai
Nachte Nachte Jo Hojai Payal Khamosh
Phir Na Ta-Zeest Tujhe Hosh Main Laya Jai
Log Is Manzar Jankaah Ko Jab Dekhen Gy
Aur Barh Jai Ga Kuch Sitwat-e-Shahi Ka Jalal
Tere Anjam Se Har Shaks Ko Ibrat Hogi
Sar Uthane Ka Raaya Ko Na Aye Ga Khayal
Taba-e-Shahana
Ye Jo Log Giraan Hote Hain
Haan..! inhen Zehar Bhara Jaam Diya Jata Hai
Tu Ke Na Waqif Hai Adab-e-Shehnshai Thi
Raqs Zanjeer Pehan Kar Bhi Kia Jata Hai
Haan..! inhen Zehar Bhara Jaam Diya Jata Hai
Tu Ke Na Waqif Hai Adab-e-Shehnshai Thi
Raqs Zanjeer Pehan Kar Bhi Kia Jata Hai
No comments:
Post a Comment
My Sweet Visitor, Comments are always appreciated. If you have any suggestion to make this website more better then please share your suggestion here......... Keep visiting babarhussain.com