Teri Baatain Hi Sunaane
Aaye
Dost Bhi Dil Hi Dukhaane Aaye
Phool Khilte Hain To Hum Sochte Hain
Tere Aane Ke Zamaane Aaye
Aisi Kuch Chup Si Lagi Hai Jaise
Hum Tujhe Haal Sunaane Aaye
Ishq Tanhaa Hai Sar-E-Manzil-E- Gham
Kon Ye Bojh Uthaane Aaye
Ajnabi Dost Hamen Dekh K Hum
Kuch Tujhe Yaad Dilane Aaye
Dil Dharakta Hai Safar K Hangaam
Kaash Phir Koi Bulaane Aaye
Ab To Rone Se Bhi Dil Dukhta Hai
Shaayad Ab Hosh Thikaane Aaye
Kyaa Kahin Phir Koi Basti Ujri
Log Kyoon Jashn Manaane Aaye
So Raho Maut K Pahloo Mein Faraz
Neend Kis Waqt Na Jaane Aaye
Dost Bhi Dil Hi Dukhaane Aaye
Phool Khilte Hain To Hum Sochte Hain
Tere Aane Ke Zamaane Aaye
Aisi Kuch Chup Si Lagi Hai Jaise
Hum Tujhe Haal Sunaane Aaye
Ishq Tanhaa Hai Sar-E-Manzil-E- Gham
Kon Ye Bojh Uthaane Aaye
Ajnabi Dost Hamen Dekh K Hum
Kuch Tujhe Yaad Dilane Aaye
Dil Dharakta Hai Safar K Hangaam
Kaash Phir Koi Bulaane Aaye
Ab To Rone Se Bhi Dil Dukhta Hai
Shaayad Ab Hosh Thikaane Aaye
Kyaa Kahin Phir Koi Basti Ujri
Log Kyoon Jashn Manaane Aaye
So Raho Maut K Pahloo Mein Faraz
Neend Kis Waqt Na Jaane Aaye

No comments:
Post a Comment
My Sweet Visitor, Comments are always appreciated. If you have any suggestion to make this website more better then please share your suggestion here......... Keep visiting babarhussain.com