Welcome to the world of poetry

Join us for Awesome Poetry Collection

Click Here to Join

Thursday, 4 February 2016

Sangay Mar-Mar Se Tarasha Hua Ye Shukh Badan

Sangay Mar-Mar Se Tarasha Hua Ye Shukh Badan
Itna Dil Kash Hai Ke Apnanay Ko Ji Chahta Hai

Surkh Honton Mein Terkti Hai Ye Rangeen Sharaab
Jis Pe Kar Behak Janay Ko Ji Chahta Hai

Naram Seenay Mein Daraktay Hain Woh Nazuk Tufaan
Jin Ki Lahroon Mein Utar Janay Ko Ji Chahta Hai

Tum Se Kya Rishta Hai Kab Se Hai Yeh Maloom Nahin
Lekin Is Hussn Pe Mar Janey Ko Jee Chahta Hai

Rakh Ley Kal Ke Liye Yeh Doosri Pazebdil
Kal Is Bazzm Mein Phir Aney Ko Jee Chahta Hai

Be-Khabar Soye Hain Woh Loot Ke Neendain Meri
Jazba-E-Dil Pe Tarss Khaney Ko Jee Chahta Hai

Kab Se Khamosh Ho Aye Jane Jahan Kuch To Bolo
Kya Abhi Bhi Sitam Aur Dhaney Ko Jee Chahta Hai

Chorr Kar Tum Ko Kahan Chain Miley Ga Hum Ko
Yahin Jeeney Yahin Mar Janey Ko Jee Chahta Hai

Apne Hathon Se Sanwara Hai Tumhein Qudrat Ne
Dekh Ker Dekhte Reh Jane Ko Jee Chahta Hai

No comments:

Post a Comment

My Sweet Visitor, Comments are always appreciated. If you have any suggestion to make this website more better then please share your suggestion here......... Keep visiting babarhussain.com