Kis Khuwaab Ki Ye Hum Ko Tabeer Nazar
Aai
Zindaan Nazar Aya Zanjeer Nazar Aai
Sab Apnay Azaabon Mein Apnay Hisabon Mein
Duniya Ye Qayamat Ki Tassveer Nazar Aai
Kuch Dekhtay Rehnay Se Kuch Sochtay Rehnay Se
Ek Shakhs Mein Duniya Ki Taqdeer Nazar Aai
Jalta Tha Main Aago'n Mein Rota Tha Main Khuwaaboo'n Mein
Tab Harf Mein Ye Apni Tassveer Nazar Aai
Darbaar Mein Haazir Hain Phir Ehal-E-Qalam Apnay
Kiya Harf-E-Bayaa'n Mein Hai Taseer Nazar Aai
Kuch Khuwaab Gulaab Aisay Kuch Zakham Azaab Aisay
Phir Dil K Khhandar Mein Ek Tameer Nazar Aai
Ek Khuwaab K Aalam Mein Dekha K Hum Donon
Lo Shamma Ki Shab Hum Ko Shamsheer Nazar Aai
Un Zameeno'n Mein Wo Kaam Kiya Hum Ne
Phir Un Ki Zameen Apni Jageer Nazar Aai

No comments:
Post a Comment
My Sweet Visitor, Comments are always appreciated. If you have any suggestion to make this website more better then please share your suggestion here......... Keep visiting babarhussain.com