Jab Se Wo Aya Hai Meray Dhiyaan
Mein
Zehan-O-Dil Hain Aalam-E-Wajdaan Mein
Khud-Ba-Khud Khuwaabon K Dar Khulney Lagay
Kaon Aya Hai Mere Imkaan Mein
Hum Ne Tera Zikar Chherra Aur Phir
Roshni Si Ho Gayi Dalaan Mein
Wo Gya To Rooh Ko Bhi Le Gya
Baat Kiya Thi Dil K Is Mehmaan Mein
Hussan Parday Se Nikal Kar Aur Bhi
Daal Deta Hai Khalal Emaan Mein
Jab Kiya Ghaate Ka Hi Saoda Kiya
Umar Bhar Hum To Rahay Nuqsaan Mein
Chand Sapnay Hain Mere Saathi
Aur Kiya Rakha Hai Ab Samaan Mein
Zehan-O-Dil Hain Aalam-E-Wajdaan Mein
Khud-Ba-Khud Khuwaabon K Dar Khulney Lagay
Kaon Aya Hai Mere Imkaan Mein
Hum Ne Tera Zikar Chherra Aur Phir
Roshni Si Ho Gayi Dalaan Mein
Wo Gya To Rooh Ko Bhi Le Gya
Baat Kiya Thi Dil K Is Mehmaan Mein
Hussan Parday Se Nikal Kar Aur Bhi
Daal Deta Hai Khalal Emaan Mein
Jab Kiya Ghaate Ka Hi Saoda Kiya
Umar Bhar Hum To Rahay Nuqsaan Mein
Chand Sapnay Hain Mere Saathi
Aur Kiya Rakha Hai Ab Samaan Mein
No comments:
Post a Comment
My Sweet Visitor, Comments are always appreciated. If you have any suggestion to make this website more better then please share your suggestion here......... Keep visiting babarhussain.com