Ajab pagal si larki hai
mjhy her roz kehti hai
batao kuch neya likha
mai jab bhi us se kehta houn
keh han aik nazm likhi hai
magar unwaan dena hai
boht bechain hoti hai
wo kehti hai
sunao
mai isey aik acha sa unwaan deti hon
wo meri nazm sunti hai
aur uski bolti ankhein
kisi missrey
kisi tashbeeh par yun muskurati hain
mujhay lafzoon se kiranein phootti mehsoos hoti hain
wo meri nazm ko acha sa ik unwaan deti hai
aur iss k aakhri missrey k neechay
ik adaa-e-be niyazi se
wo apna naam likhti hai
main kehta hon
suno
ye nazm meri hay
to phir tum ne kyon apnay naam se mansoob kar li hay
meri yeh baat sun kar uss ki aankhein muskurati hain
wo kehti hai
bara saada sa rishta hay
keh jaisy tum mere ho
mjhy her roz kehti hai
batao kuch neya likha
mai jab bhi us se kehta houn
keh han aik nazm likhi hai
magar unwaan dena hai
boht bechain hoti hai
wo kehti hai
sunao
mai isey aik acha sa unwaan deti hon
wo meri nazm sunti hai
aur uski bolti ankhein
kisi missrey
kisi tashbeeh par yun muskurati hain
mujhay lafzoon se kiranein phootti mehsoos hoti hain
wo meri nazm ko acha sa ik unwaan deti hai
aur iss k aakhri missrey k neechay
ik adaa-e-be niyazi se
wo apna naam likhti hai
main kehta hon
suno
ye nazm meri hay
to phir tum ne kyon apnay naam se mansoob kar li hay
meri yeh baat sun kar uss ki aankhein muskurati hain
wo kehti hai
bara saada sa rishta hay
keh jaisy tum mere ho
iss tarah yeh nazm meri hay
ajab pagal si larki hai
ajab pagal si larki hai
No comments:
Post a Comment
My Sweet Visitor, Comments are always appreciated. If you have any suggestion to make this website more better then please share your suggestion here......... Keep visiting babarhussain.com