Kitabein jhankti
hain band almaari kay sheeshoun se
Bari
hasrat se takti hain
Maheenoo
ab mulaaqat nahi hoti
Jo shamein
in ki sohbat main kata karti thein,,,,ab aksar
Guzar
jaati hian computer kay pardon par
Bari
bachain rahti hian kitabein
Zaban par
zaiqa aata tha jo in safhe palatne ka
Ab ungli
click karne se bas
Ik jhapki
guzarti hai
Buhat kuch
tah ba tah khulta chala jaata hai parde par
Kitabon se
jo zaati rabta tha kat gaya hai
Kabhi
seeny pe rakh ke lait jaate the
Kabhi godi
main rakhte thay
Kabhi
ghutno ko apne rahal ki soorat bana kar
Neem
sajday main parha karty thay,choote thay jabhee se
Khuda nay
chaha to wo sara ilm to milta rahega baad main bhi
Magar who
jo kitabon main mila karte thay sookhay phool
Kitabein
mangne,girnay,uthane kay bahane rishty bante thay
Unka kya
hoga
Who shayad
ab nahi houngay!
No comments:
Post a Comment
My Sweet Visitor, Comments are always appreciated. If you have any suggestion to make this website more better then please share your suggestion here......... Keep visiting babarhussain.com