Na jaane
ye yaadein bhi kya cheez hain,
Jab aati
hai to rukne ka naam hi nahi leti,
Jab nahi
aati to barson baras tak nahi aati,
Kabhi
kabhi main sochta houn jab hamare,
Apne
hamare paas hote hai to hamein,
Waqt ke
guzarne ka ehsaas tak nahi hota,
Magar jab
hamare apne humse door,
Chale jate
hai yani ek jahan se dusre jahan,
Ek sheher
se dusre sheher ek ghar se dusre ghar,
Phir wo
hamein najane kyon itna yaad aate hai,
Bananewala
aise rishte banata hi kyon hai,
Jis mein
yaad naam ki koi shay ho,
Jaane wale
to chale hi jate hai,
Kisike
chehre pe muskurahat saja ke,
Aur kisiki
aankhoun mein jhilmilate aansu saja ke,
Wo sab
baatein bhool jaate hai wo sab shikwe,
Bhi khatam
ho jate hai garz ke har baatein,
Bhula di
jati hai bas reh jati hai to inki yaadein,
Jo hamesha
yaad rehti hai in mehki hui,
Gulabon ki
tarah jo patti patti bankar bikhar to jate hai,
Magar apni
khushbu bikher jaate hai...
No comments:
Post a Comment
My Sweet Visitor, Comments are always appreciated. If you have any suggestion to make this website more better then please share your suggestion here......... Keep visiting babarhussain.com