Suna hoga
bohat tum ne ….
Kahin
aankhoun ki rim jhim ka
Kahin
palkon ki shabnam ka…
Parha hoga
bohat tumne ….
Kahin
lehjay ki barish ka
Kahin
sagar ke aansoo ka…
Magar tum
ne kabhi humdam …
Kahin
daikhay? Kahin parkhay?
Kisi
tehreer ke aansoo??…!!
Mujhe teri
judaai ne …
Yehi
mairaaj bakhshi hai…
Ke main jo
lafz likhta houn …
Woh saray
lafz rotay hain
Ke main jo
harf bunta houn …
Woh saray
bain krtay hain
Mere sang
is judaai main …
Mere alfaz
martay hain
Sabhi
tareef krtay hain …
Meri
tehreer ki lekin..
Kabhi koi
nahin sunta …
Mere alfaz
ki siski…
Falak bhi
jo hila daalay..
Mere
lafzon main hain shamil …
Usi taseer
ke aansoo…
Kabhi
daikho mere humdam…
Meri
tehreer ke aansoo..!!!
No comments:
Post a Comment
My Sweet Visitor, Comments are always appreciated. If you have any suggestion to make this website more better then please share your suggestion here......... Keep visiting babarhussain.com