Welcome to the world of poetry

Join us for Awesome Poetry Collection

Click Here to Join

Monday, 11 January 2016

Sirf itna nahi dil dukha kar gaya, sara jeewan woh mera sazaa kar gaya



Sirf itna nahi dil dukha kar gaya
sara jeewan woh mera sazaa kar gaya

jis ki tu raah takta hai sham-o- sehar
sab hawaley woh tere bhalaa kar gaya

phool khushbu chaman chand tarey sabaa
saarey sathi woh hum se khafaa kar gaya

tu kahan aur yeh bewafayi kahan
yeh zamana tujhe bewafaa kar gaya

sab darakhton pe kuch kuch likha reh gaya
naam aese woh mera mitaa kar gaya

yaad meri sataye gi shab bhar usey
aaj din bhar humain jo sataa kar gaya

yeh bhi mumkin hai wo na lottay kabhi
jo humain chaar din ka bataa kar gaya

No comments:

Post a Comment

My Sweet Visitor, Comments are always appreciated. If you have any suggestion to make this website more better then please share your suggestion here......... Keep visiting babarhussain.com