
Ager kuchh
naam daina ho ....
Mujhay
insaan mat kehna .....
Judaa
chehray, juda bay-shak sabhi ke kaam hotay hai'n ...
Magar
insaaniyat ke abb yahaa'n per daam hotay hai'n ....
Mere tum
daam mat dena .........
Mujhay ye
naam mat daina .......
Agar kuchh
naam daina ho ..
Mujhay
ehsaas keh daina ............
Magar thehro!
..
Mujhay
ehsaas mat kehnaa ..
Mera buss
naam reh jaay mujhay aisay nahi'n rehnaa ..
Mujhay
ehsaas mat kehnaa ..
Ager kuchh
naam daina ho, mujhay saawan he keh daina ..
Magarr
thehro....!
Mujhay
saawan nahi'n kehnaa ..
Barasta
hai magar rut ke badaltay beet jaata hai ..
Mujhay
saawan nahi'n kehna ..
Ager kuchh
naam daina ho, mujhay aansoo he keh daina ..
Janam
laina kisi ki aankh mai'n, rukhsaar per marna ..
Yahi jis
ki haqeeqat hai ..
Chalo
aansoo he keh daina ..
Magar
daikho ........
Kisi ki
aankh mai'n mujh ko kabhi aanay nahi'n daina ..
Ke qeemat
aansoo'on ki abb adaa tum se nahi'n ho gee ..
Nahi'n tum
yu'n nahi'n kehna ..
Mujhay aansoo
nahi'n kehnaa ..
Mujhay
aankho'n mai'n bastaa ik hasee'n sapnaa he keh daina ..
Ke sapnay
aankh mai'n taaro'n ki tarhaa jhilmilaatay hai'n ..
Magar
thehro.......! .
Mujhay
sapnaa nahi'n kehnaa..
Ke sapnay
toot jaatay hai'n ..
Mujhay
apnaa nahi'n kehna ..
Ke apnay
rooth jaatay hai'n .....!!!!!!
No comments:
Post a Comment
My Sweet Visitor, Comments are always appreciated. If you have any suggestion to make this website more better then please share your suggestion here......... Keep visiting babarhussain.com