Khwaab ab
husn-e-tasavvur ke ufaq se hain pare
Dil ke ek
jazbaa-e-ma’suum ne dekhe the jo khawaab
Aur
ta’beeron ke tapte hue sehraaon men
Tashnagii aabla-paa,
sh’ola-bakaf mauj-e-saraab
Ye tau
mumkin nahiin bachpan ka ko’ii din mil jaaye
Yaa palat
aaye ko’ii sa’aat-e-naayaab-e-shabaab
Phuut
nikle kisii afsurdah tabassum se kiran
Yaa damak
utthe kisii dast-e-buriidah men gulaab
Aah !
Patthar kii lakiiren hain ke yaadon ke nuquush
Kaun likh
saktaa hai phir umr-e-guzishtaa kii kitaab
Beete
lamhaat ke soye hue tuufaanon men
Tairte
phirte hain phuutii huii aankhoun ke habaab
Taabish
rang-e-shafaq, aatish ruu-e-khurshiid
Mal ke
chehre pe sahar aayii hai khuun ahbaab
Jaane kis
mor pe, kis raah men kyaa beetii hai
Kis se
mumkin hai tamannaon ke zakhmon ka hisaab
Aastiinon
ko pukaarenge kahaan tak aansuun
Ab tau
daaman ko pakarte hain lahuu ke gardaab
Dekhtii
phirtii hai ek ek ka munh khaamoshii
Jaane kyaa
baat hai sharmindah hai andaaz-e-khitaab
Dar-ba-dar
thokaren khaate huve phirte hain savaal
Aur mujrim
ki tarah unse gurezaan hain javaab
Sarkashii,
phir main tujhe aaj sadaa detaa hun
Main teraa
shaa’iir-e-aawaaraa-o-be-baak-o-kharaab
Phenk phir
jazbaa-e-betaab ki aalam pe kamand
Ek khwaab
aur ai himmat-e-dushwaar pasand
No comments:
Post a Comment
My Sweet Visitor, Comments are always appreciated. If you have any suggestion to make this website more better then please share your suggestion here......... Keep visiting babarhussain.com