Ek Din Is Trah Bhi Hota Hai
Aise Chehrun Ki Kami Toh Nhe
Jese Taza Gulab Hote Hain
Mahtab Aftab Hote Hain
Jese Shair K Khuab Hote Hain
Yeh Zarori Nhe K In Mein Se
Ap K Dil Mein Bhi Koi Utre
Ek Din Is Trah Bhi Hota Hai
Am Meyar E Husn Se Hat Kar
Koi Nazuk Se Purkashish Larki
Apni Masum Si Shararat Se
Dil Mein Chupk Se Yun Utarti Hai
Ap Be Ikhtiar Ho Kar
Ishq Mein Is K Kho Se Jate Hain
Sare Mahtab Dhal Se Jate Hain
Sare Khursheed Doob Jate Hain
Phool Shakhun Pe Sookh Jate Hain
Sirf Ek Dilnawazsa Chehra
Surakh Taza Gulab Bankar
Mahtab Aftab Se Barh Kar
Ek Shair K Khoab Se Barh Kar
Har Taraf Is Trah Damakta Hai
Ap Kuch Aur Dekhte Hi Nhe
Ap Kuch Aur Sochte Hi Nhe
Is Ki Ankhun Se Jam Pite Hain
Bas Usy Dekh Dekh Jeete Han
Ek Din Istrah Bhi Hota Hai