zindagi se darte ho
zindagi to tum bhi ho, zindagi to hum bhi hein
zindagi to tum bhi ho, zindagi to hum bhi hein
Admi se darte ho
Admi to tum bhi ho, Admi to hum bhi hein
Admi zuban bhi hai, Admi bayan bhi hai
iss se tum nahi darte!
Admi to tum bhi ho, Admi to hum bhi hein
Admi zuban bhi hai, Admi bayan bhi hai
iss se tum nahi darte!
harf aur maEni k rishta hay Ahan se
Admi hai wabasta
iss se tum nahi darte
jo abhi nahi Aiy, uss ghari se darte ho
uss ghari ki Amad ki Agahi se darte ho!
iss se tum nahi darte
jo abhi nahi Aiy, uss ghari se darte ho
uss ghari ki Amad ki Agahi se darte ho!
pehle bhi to guzre hein
dawr narsaiy ke, be rya khudai ke
phir bhi ye samajhte ho, heich Arzumandi
ye shab e zuba’n bandi hai, rahe khudawandi hai!
tum magar ye kia jano,
dawr narsaiy ke, be rya khudai ke
phir bhi ye samajhte ho, heich Arzumandi
ye shab e zuba’n bandi hai, rahe khudawandi hai!
tum magar ye kia jano,
lab agar nahi hilte, haath jag uthate
hein
haath jaag uthate hein, rah ka nisha’n ban kar
noor ki zuba’n ban kar
roshni se darte ho!
roshni to tum bhi ho, roshni to hum bhi hein
haath jaag uthate hein, rah ka nisha’n ban kar
noor ki zuba’n ban kar
roshni se darte ho!
roshni to tum bhi ho, roshni to hum bhi hein
Admi hunse deikho, shehr phir basey
deikho
tum abhi se darte ho
tum abhi se darte ho
No comments:
Post a Comment
My Sweet Visitor, Comments are always appreciated. If you have any suggestion to make this website more better then please share your suggestion here......... Keep visiting babarhussain.com