Ya Rab tere mahboob
ka jalwa nazar aaye
is noor mujassam ka saraapa nazar aaye
is noor mujassam ka saraapa nazar aaye
Ay kaash kabhi aisa
bhi ho kwaab me mere
hoon jis ki gulaami me who aqaa nazar aaye
hoon jis ki gulaami me who aqaa nazar aaye
Ta hashr meri qabar
me ho jaaye ujaala
marqad me jo un ka rukhe zebaa nazar aaye
marqad me jo un ka rukhe zebaa nazar aaye
Jis dar ka banaaya he
ghadaa mujh ko ilaahi
is dar pe kabhi kaash ye maghta nazar aaye
is dar pe kabhi kaash ye maghta nazar aaye
Roshan rahe aankhen
ye meri baade fana bhi
gar waqt nazaa ho shahe waala nazar aaye
gar waqt nazaa ho shahe waala nazar aaye
Kis aankh ne dekhi he
misaal un ki jahan me
sarkaar too konain me yakta nazar aaye
sarkaar too konain me yakta nazar aaye
Kaaba ay riaz is ko
banaa lo me dil ka
gar naqshe qadam mujh ko nabi nazar aaye
gar naqshe qadam mujh ko nabi nazar aaye
No comments:
Post a Comment
My Sweet Visitor, Comments are always appreciated. If you have any suggestion to make this website more better then please share your suggestion here......... Keep visiting babarhussain.com