Welcome to the world of poetry

Join us for Awesome Poetry Collection

Click Here to Join

Tuesday, 26 January 2016

Tujh par koi ilzaam jo dhartay bhi to kaisay

Tujh par koi ilzaam jo dhartay bhi to kaisay
Hum ehd-e-muhabbat se mukartay bhi to kaisay

Wo shakhs to yaklakht hi hat jata tha peechhay
hum toot k qadmon main bikhartay bhi to kaisay

Ilzaam ye aata k tujhay bhool gaye thay
Aye dost! Tujhay yaad jo kartay bhi to kaisay

Kia khaak muqaddar se koi hum ko gila ho
Bigron k muqaddar thay, sanwartay bhi to kaisay

Mehroom hi rehtay jo tere radd- e-amal say
Aye jaan! Tere pyaar main martay bhi to kaisay

Jeevan hi guzara tha thapairon main jo hum nay
Hum ab kisi toofaan se dartay bhi to kaisay

Ek paaki-e-damaan pe sada naaz raha tha
Darya-e-muhabbat main utartay bhi to kaisay

Har roz ki zillat bhi gawara to nahi thi
Us raah se hum roz guzartay bhi to kaisay

Jeenay ki saza daiti hay, jeenay nahi daiti
Dunya! Tera tawaan jo bhartay bhi to kaisay

Bach kar na nikal paaye saraab ishq se un kay

Dooba tha samandar main, ubhartay bhi to kaisay.

No comments:

Post a Comment

My Sweet Visitor, Comments are always appreciated. If you have any suggestion to make this website more better then please share your suggestion here......... Keep visiting babarhussain.com