Teri
ankhoun si ankhain
Aaj ek
chehray pe dekhi hain
Wohi
rangat, banawat
Aur wesi
be-rukhi un main
Bichartay
waqt jo mene
Teri
ankhoun main dekhi thi
Teri
ankhoun si ankhoun ne
Mujay ek
pal ko dekha tha
Wo pal ek
aam sa pal tha
Puranay
kitnay mousam,
Kitnay
manzar mene dekhay thay
Meri jaan
main ye samjha tha
Teri
ankhoun si ankhain jab
Meri
ankhoun ko dekhain gi
To aik
lamhay ko sochain gi
Ke in
ankhoun ko pehlay bhi
Kisi
chehray pe dekha hai
Magar in
jheel ankhoun main
Shanasaayi
nhi jagi
Meri
ankhain !!
Teri
ankhoun si ankhoun k liye
Kab khaas
ankhain thin
Teri
ankhoun ne shayed ye
Keyi
chehron pe dekhi houn
Ke ye to
aam aankhain hain
Main aisa
soch sakta tha
Magar main
kia karon dil ka
Jo ab yeh
yaad rakhay ga
Teri
ankhoun si ankhain
Main ne ek
chehray pe dekhi thin !!
Phir us
kabaad kitnay din
Meri
ankhoun main sawan tha..
No comments:
Post a Comment
My Sweet Visitor, Comments are always appreciated. If you have any suggestion to make this website more better then please share your suggestion here......... Keep visiting babarhussain.com