Tanaao mein jab aa jayen to dhaagay
toot jatay hen
zara si baat pe dereena rishtay toot jatay hen
tumen is baat pe hairat k toota hai humara dil
muqabil jab hon pather to sheeshay toot jatay hen
guzartay waqat se cheezen purani ho hi jati hen
dilon mein mail parti hai to jazbay toot jatay hen
hazaron khawhishen tarteeb pati hen khayalon mein
magar jab aankh khulti hai to sapnay toot jatay hen
najanay kion tumhari yaad aati hai mujhe os dam
mere aangan me jab bailon k pattay toot jate hen
dukhon me to nikal aatay hen aankhon se aanso
khushi k mosamoun me bhi kinaray toot jatay hen

No comments:
Post a Comment
My Sweet Visitor, Comments are always appreciated. If you have any suggestion to make this website more better then please share your suggestion here......... Keep visiting babarhussain.com