Welcome to the world of poetry

Join us for Awesome Poetry Collection

Click Here to Join

Friday, 22 January 2016

Suno tum ne kaha tha na


Suno tum ne kaha tha na!!
Mjhy jazb-e-muhbt say
kabhi jo tum pukaro gy
main uss din lot aaon ga!!

To daikho na!!

Kai lamhoun
kai saloun
kai sadiyoun
se tera rasta takti
yeh meri muntzar ankhain
mere dil ki ye dharkan aur sansain
bus tumhara naam laiti hain
wohi ik wird karti hain
meri ankhoun k sahil par
teri khwahish ki mojoun ne
bari halchal machai hai
teri tasveer,sookhay phool aur tohfay!
Teri chahat ki khushbu main
abhi takk sans laitay hain
woh sabb rastay k jin par tum
hmaray sath chaltay thay
woh sabb rastay jahan teri
hansi k phool khiltay thay
jahan pairhoun ki shakhoun par
hum apna naam likhtay thay
udasi say bharay manzar
tumharay lot kar anay ki
umeedain dilatay hain
suno kuch bhi nahi badla
tumharay paaun ki awaz sunnay ki
mere kamray ki bai tarteeb
chezain muntazir hain
suno!!!
Takmeel paati chahton ko
adhoora to nahi choro
mujhay matt azmao tum


Chalo abb lot aao tum!!!!

No comments:

Post a Comment

My Sweet Visitor, Comments are always appreciated. If you have any suggestion to make this website more better then please share your suggestion here......... Keep visiting babarhussain.com