Welcome to the world of poetry

Join us for Awesome Poetry Collection

Click Here to Join

Tuesday, 26 January 2016

Na jaane ye yaadein bhi kya cheez hain

Na jaane ye yaadein bhi kya cheez hain
jab aati hai to rukne ka naam hi nahi leti
jab nahi aati to barson baras tak nahi aati
kabhi kabhi main sochta hoon jab hamare
apne hamare paas hote hai to hamein
waqt ke guzarne ka ehsaas tak nahi hota
magar jab hamare apne humse door
chale jate hai yani ek jahan se dusre jahan
ek sheher se dusre sheher ek ghar se dusre ghar
phir wo hamein najane kyon itna yaad aate hai
bananewala aise rishte banata hi kyon hai
jis mein yaad naam ki koi shay ho
jaane wale to chale hi jate hai
kisike chehre pe muskurahat saja ke
aur kisiki aankhon mein
jhilmilate aansu saja ke
wo sab baatein bhool jaate hai wo sab shikwe
bhi khatam ho jate hai garz ke har baatein
bhula di jati hai bas reh jati hai to inki yaadein
jo hamesha yaad rehti hai in mehki hui
gulabon ki tarah jo patti patti
bankar bikhar to jate hai
magar apni khushbu bikher jaate hai...

No comments:

Post a Comment

My Sweet Visitor, Comments are always appreciated. If you have any suggestion to make this website more better then please share your suggestion here......... Keep visiting babarhussain.com