Mujh ko
yaqeen hai sach kahti thien jo bhi ammi kahti thien
jab mere bachpan k din thay, chand me pariyaan rahti thien
jab mere bachpan k din thay, chand me pariyaan rahti thien
ek ye din
jab apnon ne bhi hum se naataa tor liyaa
ek wo din jab per ki shaakhen bojh hamara sahti thien
ek wo din jab per ki shaakhen bojh hamara sahti thien
ek ye din
jab sari sarken roothi roothi lagti hain
ek wo din jab ‘aao khelain’ saari galiyaan kahti thien
ek wo din jab ‘aao khelain’ saari galiyaan kahti thien
ek ye din
jab jaagi raatain deewaaron ko takti hain
ek wo din jab shamon ki bhi palken bojhal rahti thien
ek wo din jab shamon ki bhi palken bojhal rahti thien
Ek ye din
jab zehn me saari aiyyaari ki baten hain
ek wo din jab dil me bholi bhaali baten rahti thien
ek wo din jab dil me bholi bhaali baten rahti thien
Ek ye din
jab laakhon gham aur kaal para hai aansu ka
ek wo din jab ek zara si baat pe nadiyaan bahti thien
ek wo din jab ek zara si baat pe nadiyaan bahti thien
Ek ye ghar
jis ghar me mera saaz o saamaan rahta hai
ek wo ghar jis ghar me meri burhi naani rahti thien
ek wo ghar jis ghar me meri burhi naani rahti thien
No comments:
Post a Comment
My Sweet Visitor, Comments are always appreciated. If you have any suggestion to make this website more better then please share your suggestion here......... Keep visiting babarhussain.com