Welcome to the world of poetry

Join us for Awesome Poetry Collection

Click Here to Join

Friday, 1 January 2016

mere pagal piya meri chahat na kar


mere pagal piya meri chahat na kar
mujhey dekha na kar
mujhe sochaa na kar.
Meri be.khawab aankhon mein na janka kar
mein to khoo jao gi mujhey dhoonda na kar…
mein hun bad-e-saba jo rukti nahi
mein hun aesi ghatta jo barasti nahi
mien aesi leher hun jis mein halchal na ho
na tum ko dabo dey ye lehrein kahein
mere pagal piya aesi khawaesh na kar
mein woh sapna hun jo k sach na ho
mein woh umid hun jo k adhoori rahey
mein woh rasta hun jiski na manzil miley
mein woh sehraa hun k jis mein bhatak jao ge
mere pagal piya aese raste pe na chal
mein aesi kiran hun jo k be- noor hai
mein to woh sep hun jiss mein moti na miley
mein to woh khooshbo hun jiss ko bikar jana hai
mere pagal piya mera picha na kar
mein to woh shaam hun jo k dhal jaye gi

No comments:

Post a Comment

My Sweet Visitor, Comments are always appreciated. If you have any suggestion to make this website more better then please share your suggestion here......... Keep visiting babarhussain.com