Mere lab-o-qalam ke ajz ko koi aisa
hunar-e-kamal dy
Jo meri khwahishon ke jhund ko
takmeel ke darje ma dhal dy
Meri khilwaton ke ay razdaan, meri
jalwaton ke rafiq sun
Kisi se kuch bhi gharaz nahi, mujhe
apna aks-e-khayaal dy
Kabhi youn bhi ho ke wo choom kar
mere in laboun ko payar se
Meri rooh ke zakhm samait le, mujhe
jaan'kani se nikaal dy
Teri chahaton ke dais ma mere
roz-o-shab tamam houn
Tere bicharne ka koi dar na ho mujhe
aise maah-o-saal dy
Meri be'basi ko zubaan mile, meri
kam'nigaahi ujaal dy
Ke jahaan se kuch na talab rahe,
mujhe aisa izn-e-sawal dy
Mujhe um'r bhar naseeb ho, meri
zindagi pe moheet ho
Jo kabhi bhi khatm na ho saky, mujhe
aisa koi wisaal dy
No comments:
Post a Comment
My Sweet Visitor, Comments are always appreciated. If you have any suggestion to make this website more better then please share your suggestion here......... Keep visiting babarhussain.com